SHAWORDS

dekhaa jo aaina to mujhe sochnaa paDaa — Faragh Rohvi

HomeFaragh RohviGhazal
"dekhaa jo aaina to mujhe sochnaa paDaa khud se na mil sakaa to mujhe sochnaa paDaa us kaa jo khat milaa to mujhe sochnaa paDaa apnaa saa vo lagaa to mujhe sochnaa paDaa mujh ko thaa ye gumaan ki mujhi mein hai ik anaa dekhi tiri anaa to mujhe sochnaa paDaa duniyaa samajh rahi thi ki naaraaz mujh se hai lekin vo jab milaa to mujhe sochnaa paDaa sar ko chhupaaun apne ki pairon ko Dhaanp luun chhoTi si thi ridaa to mujhe sochnaa paDaa ik din vo mere aib ginaane lagaa 'faraagh' jab khud hi thak gayaa to mujhe sochnaa paDaa"
Urdu

دیکھا جو آئینہ تو مجھے سوچنا پڑا خود سے نہ مل سکا تو مجھے سوچنا پڑا اس کا جو خط ملا تو مجھے سوچنا پڑا اپنا سا وہ لگا تو مجھے سوچنا پڑا مجھ کو تھا یہ گماں کہ مجھی میں ہے اک انا دیکھی تری انا تو مجھے سوچنا پڑا دنیا سمجھ رہی تھی کہ ناراض مجھ سے ہے لیکن وہ جب ملا تو مجھے سوچنا پڑا سر کو چھپاؤں اپنے کہ پیروں کو ڈھانپ لوں چھوٹی سی تھی ردا تو مجھے سوچنا پڑا اک دن وہ میرے عیب گنانے لگا فراغؔ جب خود ہی تھک گیا تو مجھے سوچنا پڑا

Hindi

देखा जो आईना तो मुझे सोचना पड़ा ख़ुद से न मिल सका तो मुझे सोचना पड़ा उस का जो ख़त मिला तो मुझे सोचना पड़ा अपना सा वो लगा तो मुझे सोचना पड़ा मुझ को था ये गुमाँ कि मुझी में है इक अना देखी तिरी अना तो मुझे सोचना पड़ा दुनिया समझ रही थी कि नाराज़ मुझ से है लेकिन वो जब मिला तो मुझे सोचना पड़ा सर को छुपाऊँ अपने कि पैरों को ढाँप लूँ छोटी सी थी रिदा तो मुझे सोचना पड़ा इक दिन वो मेरे ऐब गिनाने लगा 'फ़राग़' जब ख़ुद ही थक गया तो मुझे सोचना पड़ा

dekhā jo ā.īna to mujhe sochnā paḌā
Faragh Rohvi
Faragh Rohvi
Faragh Rohvi
poet35 quotes

More by Faragh Rohvi

View all →
Quote
"kabhi na sochaa thaa main ne uDaan bharte hue ki ranj hogaa zamin par mujhe utarte hue ye shauq-e-ghota-zani to nayaa nahin phir bhi utar rahaa huun main gahraaiyon mein Darte hue havaa ke rahm-o-karam par charaagh rahne do ki Dar rahaa huun nae tajrabaat karte hue na jaane kaisaa samundar hai ishq kaa jis mein kisi ko dekhaa nahin Duub ke ubharte hue main us gharaane kaa chashm o charaagh huun jis ki hayaat guzri hai khvaabon mein rang bharte hue main sab se miltaa rahaa hans ke is tarah ki mujhe kisi ne dekhaa nahin TuTte bikharte hue 'faraagh' aise bhi insaan main ne dekhe hain jo sach ki raah mein paae gae hain marte hue"
Faragh RohviFaragh Rohvi
Quote
"labon ke saamne khaali gilass rakhte hain samundaron se kaho ham bhi pyaas rakhte hain har ek gaam pe raushan huaa khudaa kaa gumaan isi gumaan pe yaqin ki asaas rakhte hain ham apne aap se paate hain koson duur use vahi khudaa ki jise aas-paas rakhte hain chaDhaa ke daar-e-qanaaat pe har tamannaa ko jo ek dil hai use bhi udaas rakhte hain ziyaan-pasand hamaaraa mizaaj hai varna nigaah ham bhi zamaana-shanaas rakhte hain hamaare tan pe koi qimti qabaa na sahi ghazal ko apni magar khush-libaas rakhte hain chalo ki raah-e-tamannaa mein chal ke ham bhi 'faraagh' zamin-e-dil pe ghamon ki asaas rakhte hain"
Faragh RohviFaragh Rohvi
Quote
"kahin suraj kahin zarra chamaktaa hai ishaare se tire kyaa kyaa chamaktaa hai falak se jab nai kirnein utarti hain guhar saa shabnami qatra chamaktaa hai use duniyaa kabhi dariyaa nahin kahti chamakne ko to har sahraa chamaktaa hai sitaara to sitaara hai mire bhaai kabhi teraa kabhi meraa chamaktaa hai miri maili hatheli par to bachpan se gharibi kaa kharaa sonaa chamaktaa hai mashaqqat ki badaulat hi jabinon par pasine kaa har ik qatra chamaktaa hai qarine se taraashaa hi na jaae to kisi pahlu kahaan hiiraa chamaktaa hai ye kyaa turfa-tamaasha hai siyaasat kaa kahin khanjar kahin neza chamaktaa hai tasavvur mein 'faraagh' aaThon pahar ab to koi chehra ghazal jaisaa chamaktaa hai"
Faragh RohviFaragh Rohvi
Quote
"kabhi harif kabhi ham-navaa hamin Thahre ki dushmanon ke bhi mushkil-kushaa hamin Thahre kisi ne raah kaa patthar hamin ko Thahraayaa ye aur baat ki phir aaina hamin Thahre jo aazmaayaa gayaa shahr ke faqiron ko to jaan-nisaar-e-tariq-e-anaa hamin Thahre hamin khudaa ke sipaahi hamin muhaajir bhi the haq-shanaas to phir rahnumaa hamin Thahre dilon pe qaul-o-amal ke vo naqsh chhoDe hain ki peshvaaon ke bhi peshvaa hamin Thahre 'faraagh' ran mein kabhi ham ne munh nahin moDaa maqaam-e-ishq se bhi aashnaa hamin Thahre"
Faragh RohviFaragh Rohvi
Quote
"main ek buund samundar huaa to kaise huaa ye mojaza mire andar huaa to kaise huaa ye bhed sab pe ujaagar huaa to kaise huaa ki mere dil mein tiraa ghar huaa to kaise huaa na chaand ne kiyaa raushan mujhe na suraj ne to main jahaan mein munavvar huaa to kaise huaa na aas-paas chaman hai na gul-badan koi hamaaraa kamra moattar huaa to kaise huaa zaraa si baat pe ik gham-gusaar ke aage main apne aape se baahar huaa to kaise huaa sulagte sahraa mein tufaan kaa saamnaa thaa mujhe ye maarka jo huaa sar huaa to kaise huaa vo jang haar ke mujh se ye puchhtaa hai ki main baghair tegh muzaffar huaa to kaise huaa sunaa hai amn-paraston kaa vo ilaaqa hai vahin shikaar kabutar huaa to kaise huaa"
Faragh RohviFaragh Rohvi

More on Khudi

View all →
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar