Quote
"ishq hai banda-e-aazaad kaa maqsud-e-hayaat aql-e-but-gar ne taraashe hain hazaaron maabud vusatein aur ataa arsa-e-aafaaq ko kar tang hai mere junun pe ye jahaan-e-mahdud fauqiyat dete hain mazhab pe jo qaumiyyat ko un kaa idraak moattal hai basirat mahdud ab kahaan husn-e-khud-aaraa mein kham-e-zulf-e-ayaaz ab kahaan ishq ke maslak mein tariq-e-mahmud na vo manzil-gah-e-majnun hai na vo vaadi-e-najd rah-rav-e-shauq-o-tamanna ki hain raahein masdud zehn mein un ke kahaan shoala-e-takhliq-e-sukhan jo ye kahte hain ki afkaar pe taari hai jumud shama-e-aivaan-e-tarab qismat-e-munim 'faaruq' dil-e-majbur ki taqdir faqat shoala-e-dud"
