SHAWORDS

dil-e-sitam-zada betaabiyon ne luuT liyaa — Insha Allah Khan Insha

"dil-e-sitam-zada betaabiyon ne luuT liyaa hamaare qible ko vahhaabiyon ne luuT liyaa kahaani ek sunaai jo hir-raanjhaa ki to ahl-e-dard ko punjabiyon ne luuT liyaa ye mauj-e-laala-e-khud-rav nasim se bole ki koh-o-dasht ko sairaabiyon ne luuT liyaa sabaa qabila-e-lailaa mein uD gai ye khabar ki naaqa najd ke aaraabiyon ne luuT liyaa kisi tarah se nahin niind aati 'inshaa' ko isi khayaal mein be-khvaabiyon ne luuT liyaa"
Urdu

دل ستم زدہ بیتابیوں نے لوٹ لیا ہمارے قبلہ کو وہابیوں نے لوٹ لیا کہانی ایک سنائی جو ہیر رانجھا کی تو اہل درد کو پنجابیوں نے لوٹ لیا یہ موج لالہ خود رو نسیم سے بولے کہ کوہ و دشت کو سیرابیوں نے لوٹ لیا صبا قبیلۂ لیلیٰ میں اڑ گئی یہ خبر کہ ناقہ نجد کے اعرابیوں نے لوٹ لیا کسی طرح سے نہیں نیند آتی انشاؔ کو اسی خیال میں بے خوابیوں نے لوٹ لیا

Hindi

दिल-ए-सितम-ज़दा बेताबियों ने लूट लिया हमारे क़िबले को वहहाबियों ने लूट लिया कहानी एक सुनाई जो हीर-राँझा की तो अहल-ए-दर्द को पंजाबियों ने लूट लिया ये मौज-ए-लाला-ए-ख़ुद-रौ नसीम से बोले कि कोह-ओ-दश्त को सैराबियों ने लूट लिया सबा क़बीला-ए-लैला में उड़ गई ये ख़बर कि नाक़ा नज्द के आराबियों ने लूट लिया किसी तरह से नहीं नींद आती 'इंशा' को इसी ख़याल में बे-ख़्वाबियों ने लूट लिया

dil-e-sitam-zada betābiyoñ ne luuT liyā
Insha Allah Khan Insha
Insha Allah Khan Insha
Insha Allah Khan Insha
poet133 quotes

More by Insha Allah Khan Insha

View all →
Quote
"zinhaar himmat apne se hargiz na haariye shishe mein us pari ko na jab tak utaariye auzaa'a DhunDh-DhaaD ke yaaron se sikhiye hote nahin jahaan mein ham se niyaariye ai ashk-e-garm kar mire dil kaa ilaaj kuchh mashhur hai ki choT ko paani se dhaariye jo ahl-e-faqr-o-shaah khumhaare ke hain murid paale hain in sabhon ne kabutar kumhaariye galne ki daal yaan nahin bas khushka khaaiye ai shaikh saahab aap na shekhi baghaariye kal jin ko khire kakDi kyaa kos kaaT kar aaj us pari ne in ko diye narm aariye ho aab mein kadar to Thahar jaaiye Tuk ek dil mein kudurat aave to kyunkar nithaariye hai kaun si ye vaza bhalaa sochiye to aap baatein udhar ko kiije idhar aankh maariye puchhe haqiqat ek ne jo amn-e-raah ki to bole sar jhukaa ke bachaa vo madaariye khatra na aap kiije bas ab khair shauq se sonaa uchhaalte hue ghar ko sidhaariye hai jo buland-hausla un ki ye chaal hai kyaa phir unhein bigaaDiye jin ko sanvaariye panDit ji ham mein un mein bhalaa kaise hone ke pothi ko apne kholiye kuchh to bichaariye 'inshaa' koi javaab bhi denaa nahin hamein baang-e-jaras ki tarah kahaan tak pukaariye"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"khol aaghosh na tu mujh se rukaavaT se lipaT ab jo lipTaa hai to aa pyaar ki karvaT se lipaT us ne sar apnaa dhunaa dekh shigaaf-e-dar se kar ke ghash rah gae ham us ki jo chaukhaT se lipaT dhuum ye baada-kashon ki hai ki mai-khaane mein mast jaate hain suraahi ki ghaTaa-ghat se lipaT jon gali mein mujhe aate hue dekhaa to vo shokh apni chaukhaT se uchak jhaT se gayaa paT se lipaT shaikh se iid ko kyuun aap ham-aaghosh hue goyaa jaataa hai bhalaa aise bhi khōsaT se lipaT jis ko kahte hain taraaqi ki phaban so zaalim rah gai hai tiri choli ki phansaavat se lipaT piis Daal aaj tu mere bhi phaphule dil ke aa na aa mujh se Tuk aisi hi sajaavaT se lipaT dham se ham dono gire farsh pe hain ruup ki raat rah gayaa un kaa dupaTTa bhi chhapar-khaT se lipaT choT khaa kar lagi kahne ki agar aisaa hai hai galaa khelnaa tujh ko to kisi naT se lipaT raad ke saath hai 'inshaa' mire naale kaa vo ruup jaise guTh jaati hain sum duun mein tirvaT se lipaT"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"lab pe aai hui ye jaan phire yaar gar is taraf ko aan phire chain kyaa ho hamein jab aaTh pahar apne aankhon mein vo javaan phire khun-e-aashiq chhuTaa ki hai laazim tere talvaar par ye saan phire saaqiyaa aaj jaam-e-sahbaa par kyuun na lahraati apni jaan phire hichkiyaan li hai is tarah bat-e-mai jis tarah gaTkari mein taan phire yaa to vo ahd the ki ham hargiz na phireinge agar jahaan phire aae ab roke ho maaaz-allaah aap se shakhs ki zabaan phire ruuTh kar uTh chale the 'inshaa' se baare phir ho ke mehrbaan phire"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha
Quote
"ye nigah ye munh ye rangat ye misi ye laal-e-khandaan ghazab aur tis pe lenaa ye zabaan ba-zer-e-dandaan sitam aur naaz khush hai sanamaa vale na-chandaan ki pare falak se guzri ye sadaa-e-dard-mandaan ye namak ye chhap ye saj-dhaj ye adaa ko dekh teri ba-talaatum-e-tahayyur hue gharq hosh-mandaan vo latifaa-goi us ki vo fasaahat aur balaaghat nahin is qadar ki bole koi shaair-o-sukhandaan falak-ul-buruj par se kahein sab malaaek aamin na asar ho kis tarah se ba-duaa-e-mustamindaan ye nasib apne dekho ki samajh ke said-e-laaghar udhar aan bhi na phaTke kabhi aah said-bandaan but-e-sang-dil khudaa kaa tujhe tars ho jo kuchh bhi tu shikasta dil ko mat kar ki ye shisha hai na sandaan ba-kamaal-e-fazl-o-daanish ye baiid hai ki 'inshaa' ghalati pe tu musir ho ba-misaal-e-khud-pasandaan"
Insha Allah Khan InshaInsha Allah Khan Insha

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud