Quote
"sar jhukaae sar-e-mahshar jo gunahgaar aae us ke andaaz pe rahmat ko na kyuun pyaar aae jaam-o-paimaana se mai-khaana se kyaa kaam use ho ke saaqi ki nigaahon se jo sarshaar aae di sadaa dil ne zaraa aur bhi dushvaar ho raah raaste jab bhi mire saamne hamvaar aae zindagi kyuun na mire maut pe un ki jo log muskuraate hue zindaan se sar-e-daar aae main ne tazin-e-chaman ke liye khuun apnaa diyaa paae phuul auron ne hisse mein mire khaar aae baankpan apni tabiat kaa kabhi kam na huaa saamne apne koi laakh tarah-daar aae aise jaan-baazon ki ban jaae na kyuun maut hayaat muskuraate hue 'aasi' jo sar-e-daar aae"
A
Aasi Ramnagri