SHAWORDS

dil ki yaad-dahaani se — Hammad Niyazi

HomeHammad NiyaziGhazal
"dil ki yaad-dahaani se aankh khuli hairaani se rang hain saare miTTi ke be-range is paani se harf-nigaari sikhi hai kamre ki viraani se peD ujaDte jaate hain shaakhon ki naadaani se daagh-e-girya aankhon kaa kab dhultaa hai paani se haar diyaa hai ujlat mein khud ko kis aasaani se khauf aataa hai aankhon ko bhed bhari uryaani se roz pasina bahtaa hai aankhon ki peshaani se"
Urdu

دل کی یاد دہانی سے آنکھ کھلی حیرانی سے رنگ ہیں سارے مٹی کے بے رنگے اس پانی سے حرف نگاری سیکھی ہے کمرے کی ویرانی سے پیڑ اجڑتے جاتے ہیں شاخوں کی نادانی سے داغ گریہ آنکھوں کا کب دھلتا ہے پانی سے ہار دیا ہے عجلت میں خود کو کس آسانی سے خوف آتا ہے آنکھوں کو بھید بھری عریانی سے روز پسینہ بہتا ہے آنکھوں کی پیشانی سے

Hindi

दिल की याद-दहानी से आँख खुली हैरानी से रंग हैं सारे मिट्टी के बे-रंगे इस पानी से हर्फ़-निगारी सीखी है कमरे की वीरानी से पेड़ उजड़ते जाते हैं शाख़ों की नादानी से दाग़-ए-गिर्या आँखों का कब धुलता है पानी से हार दिया है उजलत में ख़ुद को किस आसानी से ख़ौफ़ आता है आँखों को भेद भरी उर्यानी से रोज़ पसीना बहता है आँखों की पेशानी से

dil kī yād-dahānī se
Hammad Niyazi
Hammad Niyazi
Hammad Niyazi
poet32 quotes

More by Hammad Niyazi

View all →
Quote
"vo nigah jab mujhe pukaarti thi dil ki hairaaniyaan ubhaarti thi apni naadida ungliyon ke saath mere baalon ko vo sanvaarti thi roz main us ko jiit jaataa thaa aur vo roz khud ko haarti thi pattiyaan muskuraane lagti thiin shaakh se phuul jab utaarti thi jin dinon main use pukaartaa thaa ek duniyaa mujhe pukaarti thi sehn mein chhaanv thi darakhton ki jo miri shaairi nikhaarti thi baargaahon mein ghusl-e-girya se ruuh apni thakan utaarti thi ik lagan thi chubhan thi jo bhi thi roz siine mein din guzaarti thi"
Hammad NiyaziHammad Niyazi
Quote
"bhulaa diyaa bhi agar jaae sarsari kiyaa jaae mutaalea miri vahshat kaa laazmi kiyaa jaae ham aise log jo aainda o guzishta hain hamaare ahd ko maujud se tahi kiyaa jaae khabar mili hai ki us khush-khabar ki aamad hai so ehtimaam-e-sukhan aaj multavi kiyaa jaae hamein ab apne nae raaste banaane hain jo kaam kal hamein karnaa hai vo abhi kiyaa jaae nahin baiid ye ahkaam-e-taaza jaari hon ki gumbadon se parindon ko ajnabi kiyaa jaae bas ek lamha tire vasl kaa mayassar ho aur us visaal ke lamhe ko daaimi kiyaa jaae"
Hammad NiyaziHammad Niyazi
Quote
"yaqin ki saltanat thi aur sultaani hamaari damakti thi duaa ki lau se peshaani hamaari mahaktaa thaa ghane peDon se viraana hamaaraa jahaan-e-aab-o-gil par thi nigahbaani hamaari hamaare jism ke TukDe hue raunde gae ham magar zinda rahi aankhon mein hairaani hamaari ham is khaatir tiri tasvir kaa hissa nahin the tire manzar mein aa jaae na viraani hamaari bahut lambe safar ki gard chehron par paDi thi kisi ne dasht mein surat na pahchaani hamaari kisi ne kab bhalaa jaanaa hamaaraa karb-e-vahshat kisi ne kab bhalaa jaani pareshaani hamaari"
Hammad NiyaziHammad Niyazi
Quote
"hamaare bas mein kyaa hai aur hamaare bas mein kyaa nahin jahaan-e-hast-o-bud mein kisi pe kuchh khulaa nahin huzur-e-khvaab der tak khaDaa rahaa saver tak nasheb-e-qalb-o-chashm se guzar tiraa huaa nahin nazar mein ik charaagh thaa badan mein ek baagh thaa charaagh o baagh ho chuke koi rihaa rahaa nahin ujaD gaiin haveliyaan chali gaiin saheliyaan dilaa tiri qabil se koi bhi ab bachaa nahin havas ki razm-gaah mein badan ki kaar-gaah mein vo shor thaa ki duur tak kisi ne kuchh sunaa nahin na jaane kitne yug Dhale na jaane kitne dukh pale gharon mein haanDiyon tale kisi ko kuchh pata nahin vo peD jis ki chhaanv mein kaTi thi umr gaanv mein main chuum chuum thak gayaa magar ye dil bharaa nahin"
Hammad NiyaziHammad Niyazi
Quote
"jab munDeron pe parindon ki kumak jaari thi lafz the lafzon mein ehsaas ki sardaari thi ab jo lauTaa huun to pahchaan nahin hoti hai kahaan divaar thi divaar mein almaari thi vo haveli bhi saheli thi paheli jaisi jis ki inTon mein mire khvaab the khuddaari thi aakhiri baar main kab us se milaa yaad nahin bas yahi yaad hai ik shaam bahut bhaari thi puchhtaa phirtaa huun galiyon mein koi hai koi hai ye vo galiyaan hain jahaan log the sarshaari thi peD the chand makaanon mein zamaanon jaise jin ki chhaanv mein miri ruuh ki lu jaari thi kyaa bhale din the hamein khel thaa hansnaa ronaa saans lenaa bhi hamein jaise adaakaari thi bas koi khvaab thaa aur khvaab ke pas-manzar mein baagh thaa phuul the khushbu ki numudaari thi ham ne dekhaa thaa use ujle dinon mein 'hammaad' jin dinon niind thi aur niind mein bedaari thi"
Hammad NiyaziHammad Niyazi
Quote
"gali kaa manzar badal rahaa thaa qadim suraj nikal rahaa thaa sitaare hairaan ho rahe the charaagh miTTi mein jal rahaa thaa dikhaai dene lagi thi khushbu main phuul aankhon pe mal rahaa thaa ghaDe mein tasbih kartaa paani vazu ki khaatir uchhal rahaa thaa shafiq poron kaa lams paa kar badan sahife mein Dhal rahaa thaa duaaein khiDki se jhaankti thiin main apne ghar se nikal rahaa thaa zaiif ungli ko thaam kar main baDi sahulat se chal rahaa thaa ajiib hasrat se dekhtaa huun main jin makaanon mein kal rahaa thaa"
Hammad NiyaziHammad Niyazi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer