SHAWORDS

dil ko nahin hai 'ilm ki dhaDkan kidhar gai — Basharat Gill

HomeBasharat GillGhazal
"dil ko nahin hai 'ilm ki dhaDkan kidhar gai aise guzar rahi hai ki jaise guzar gai dikhtaa nahin jo chaahe faqat us ko dekhnaa dikhtaa hai jo kab us ki taraf hai nazar gai ab janvari ki dhuup bhi lagti hai june si sar se tire khayaal ki chaadar utar gai vo khvaahish-e-visaal thi yaa khushk ret thi jitnaa sameTaa us ko vo utnaa bikhar gai laalach faqat gunaah hai jannat kaa chaahe ho ye baat sun ke khvaahishon ki huur mar gai"
Urdu

دل کو نہیں ہے علم کہ دھڑکن کدھر گئی ایسے گزر رہی ہے کہ جیسے گزر گئی دکھتا نہیں جو چاہے فقط اس کو دیکھنا دکھتا ہے جو کب اس کی طرف ہے نظر گئی اب جنوری کی دھوپ بھی لگتی ہے جون سی سر سے ترے خیال کی چادر اتر گئی وہ خواہش وصال تھی یا خشک ریت تھی جتنا سمیٹا اس کو وہ اتنا بکھر گئی لالچ فقط گناہ ہے جنت کا چاہے ہو یہ بات سن کے خواہشوں کی حور مر گئی

Hindi

दिल को नहीं है 'इल्म कि धड़कन किधर गई ऐसे गुज़र रही है कि जैसे गुज़र गई दिखता नहीं जो चाहे फ़क़त उस को देखना दिखता है जो कब उस की तरफ़ है नज़र गई अब जनवरी की धूप भी लगती है जून सी सर से तिरे ख़याल की चादर उतर गई वो ख़्वाहिश-ए-विसाल थी या ख़ुश्क रेत थी जितना समेटा उस को वो उतना बिखर गई लालच फ़क़त गुनाह है जन्नत का चाहे हो ये बात सुन के ख़्वाहिशों की हूर मर गई

dil ko nahīñ hai 'ilm ki dhaḌkan kidhar ga.ī
Basharat Gill
Basharat Gill
Basharat Gill
poet9 quotes

More by Basharat Gill

View all →
Quote
"agar jaanaa zaruri thaa to chupke se chale jaate ki ik khush-fahmi si rahti sahaare jis ke ji paate abhi bhi vaqt lagtaa hai abhi bhi fan nahin kaamil agarche 'umr guzri hai hamein is dil ko bahlaate raho apne hi ghar mein tum paraae fard ke maanind sitam dekho taqaaza hai raho is par bhi itraate samaa'at ne Duboyaa hai gulon ki siskiyaan sun kar na kaanon tak sadaa aati na aansu aankh tak aate ye ‘ahd-e-kam-nigaahi hai yahaan shikva nahin kaafi kahaan shikve shikaayat hain kisi patthar ko kumhlaate"
Basharat GillBasharat Gill
Quote
"ye zulm-o-jabr ke mausam mein ho banjar nahin jaati nazar-andaaz hone se sadaaqat mar nahin jaati nigah vaise to puure shahr ki nigraan Thahri hai magar apne garebaan ki taraf aksar nahin jaati kabhi mat bhuul karnaa dil kahin par bhuul aane ki paDe ik baar jo 'aadat vo jivan-bhar nahin jaati na jaane mere siine mein ye kaisaa khauf paltaa hai jo baahar saans aa jaae vo phir andar nahin jaati hamesha se hi tanhaai hamaare saath phirti hai hai shaayad ye bhi be-ghar tab hi apne ghar nahin jaati"
Basharat GillBasharat Gill

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud