"ye ek kaam bachaa thaa so vo bhi karne lage nafas nafas mein udaasi ke jaam bharne lage abhi to in ko murattab hi kar rahe the ham khayaal safha-e-qirtaas par bikharne lage sitam-zarifi-e-dauraan bhi raas aane lagi ye kis ki zulf ke saae mein ham sanvarne lage udaas naslon ko darkaar hai ik aur safar rukh-e-sahar pe shabon ke nuqush ubharne lage musaafiraan-e-taghayyur hain kaise saada mizaaj hayaat-e-nau ki bashaarat pe kaan dharne lage bas itnaa qissa hai aankhon mein khvaab aane kaa uThe sanbhal ke chale aur phir Thaharne lage"
dil ko ye ehsaan uThaanaa paDtaa hai — Ahmar Nadeem
"dil ko ye ehsaan uThaanaa paDtaa hai aankhon se ahvaal sunaanaa paDtaa hai raatein khair guzar jaati hain khalvat mein din mein to kirdaar nibhaanaa paDtaa hai lahza lahza khvaab mayassar aate hain rafta rafta hosh ganvaanaa paDtaa hai chupke chupke apne andar jaate hain sahme sahme baahar aanaa paDtaa hai basti basti viraani hai sadiyon ki sahraa se ye raaz chhupaanaa paDtaa hai khaamoshi hi khaamoshi ho pahlu mein tab duniyaa mein shor machaanaa paDtaa hai"
دل کو یہ احسان اٹھانا پڑتا ہے آنکھوں سے احوال سنانا پڑتا ہے راتیں خیر گزر جاتی ہیں خلوت میں دن میں تو کردار نبھانا پڑتا ہے لحظہ لحظہ خواب میسر آتے ہیں رفتہ رفتہ ہوش گنوانا پڑتا ہے چپکے چپکے اپنے اندر جاتے ہیں سہمے سہمے باہر آنا پڑتا ہے بستی بستی ویرانی ہے صدیوں کی صحرا سے یہ راز چھپانا پڑتا ہے خاموشی ہی خاموشی ہو پہلو میں تب دنیا میں شور مچانا پڑتا ہے
दिल को ये एहसान उठाना पड़ता है आँखों से अहवाल सुनाना पड़ता है रातें ख़ैर गुज़र जाती हैं ख़ल्वत में दिन में तो किरदार निभाना पड़ता है लहज़ा लहज़ा ख़्वाब मयस्सर आते हैं रफ़्ता रफ़्ता होश गँवाना पड़ता है चुपके चुपके अपने अंदर जाते हैं सहमे सहमे बाहर आना पड़ता है बस्ती बस्ती वीरानी है सदियों की सहरा से ये राज़ छुपाना पड़ता है ख़ामोशी ही ख़ामोशी हो पहलू में तब दुनिया में शोर मचाना पड़ता है

More by Ahmar Nadeem
View all →"ye ek din kaa nahin tajraba hai barson kaa kabhi samajh mein na aayaa khitaab aankhon kaa huzur aap bhi to is qadar ziyaada hain shumaar kaun kare kam-nazar harifon kaa 'adaavatein hi sahi kuchh to ho 'ayaan ham par bahut hi sakht hai ye marhala hijaabon kaa jo baat dil mein nahin thi zabaan pe aai hai galaa na ghonT de ye vaqt ab dalilon kaa"
"aalaam-e-rozgaar se mar'ub ho gae saare usuul 'ishq ke maa’yub ho gae shaayad main apne aap se ghaafil na rah sakaa kuchh log meri zaat se mansub ho gae pahle-pahal to ham pe tiraa kuchh asar huaa phir dekhte hi dekhte maghlub ho gae pohnchaa na kuchh hamaaraa kahaa un ke zauq tak samjhe the ham ki saahib-e-uslub ho gae shohrat ki saadgi ne bhi kyaa kyaa na kuchh kiyaa kitne hi badtarin the jo khuub ho gae teraa firaaq baa'is-e-kaif-o-nashaat thaa duniyaa tire visaal mein majzub ho gae 'ahmar' kaa kyaa banaa koi puchhe to ye kaho nazr-e-sitam-zarifi-e-mahbub ho gae"
"tashbih ramz ras na kinaae ke bas mein hai vo husn-e-be-misaal miri dastaras mein hai aisaa nahin ki sirf hami hain thakan se chuur barson ki ik thakaan sadaa-e-jaras mein hai ahvaal mere shor-e-salaasil ke sun rafiq jaise ravaan-davaan koi dariyaa qafas mein hai ai chaaraagar ilaaj-e-gham-e-dil faqat nahin vahshat kaa ik jahaan tire bul-havas mein hai vaise to ho chuki hai mukammal miri ghazal ik matla'-e-'uruj magar pesh-o-pas mein hai"
"dasht-e-junun mein mere baraabar nahin koi honge hazaar qais pa 'ahmar' nahin koi tum ne chuni hai raah jo hamvaar hai bahut zaahid tumhaari raah mein patthar nahin koi tanhaa hi dushmanon ki hadon tak pahunch gayaa buzdil chale the saath mein lashkar nahin koi 'izzat-maaab qibla-o-'aali-janaab aap 'aali-janaab aap saa ahqar nahin koi is gham mein dil-girafta hai 'ahmar-nadim’ bas sar par gunah kaa bojh hai mahshar nahin koi"
"hangaama-e-hayaat ko koi to naam de ai zindagi mujhe tu munaasib maqaam de jaldi na kar ki saaqiyaa ye fe'l hai buraa baaqi hai shab tamaam saliqe se jaam de charchaa miri shikast kaa kuchh der tak to ho main kab ye chaahtaa thaa baqaa-e-davaam de ye kyaa ki ek taal pe duniyaa hai mahv-e-raqs is gardish-e-kuhan ko nae subh-o-shaam de 'ahmar-nadim' zabt ke pahlu ko thaam kar kyaa tausan-e-hayaat ko koi lagaam de"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"