Quote
"ye ek kaam bachaa thaa so vo bhi karne lage nafas nafas mein udaasi ke jaam bharne lage abhi to in ko murattab hi kar rahe the ham khayaal safha-e-qirtaas par bikharne lage sitam-zarifi-e-dauraan bhi raas aane lagi ye kis ki zulf ke saae mein ham sanvarne lage udaas naslon ko darkaar hai ik aur safar rukh-e-sahar pe shabon ke nuqush ubharne lage musaafiraan-e-taghayyur hain kaise saada mizaaj hayaat-e-nau ki bashaarat pe kaan dharne lage bas itnaa qissa hai aankhon mein khvaab aane kaa uThe sanbhal ke chale aur phir Thaharne lage"
