Quote
"dhokaa thaa har ik barg pe TuuTe hue par kaa vaa jis ke liye rah gayaa daamaan sharar kaa main ashk huun main os kaa qatra huun sharar huun andaaz baham hai mujhe paani ke safar kaa karvaT si badaltaa hai andheraa to use bhi de dete hain ham saadaa-manush naam sahar kaa tohmat si liye phirte hain sadiyon se sar apne rusvaa hai bahut naam yahaan ahl-e-hunar kaa qaaem na rahaa khaak se jab rishta-e-jaan to bas dhuul pata puchhne aati thi shajar kaa jo shaah ke kaandhon ki vajaahat kaa sabab hai dekho to bhalaa taaj hai kis kaasa-e-sar kaa ashkon se tapaan hai kabhi aahon se khunuk hai ik umr se 'maajid' yahi mausam hai nagar kaa"
