Quote
"mizaaj-e-aalam-e-imkaan hai barham dekhiye kyaa ho sitam-kash pai-ba-pai hote hain baaham dekhiye kyaa ho gae vo din ki aavaazon pe khaamoshi kaa pahra thaa ba-har su gunjtaa hai soz-e-paiham dekhiye kyaa ho ye kaisaa rang-e-mahfil hai pareshaan hai bahut saaqi bane baiThe hain sab mai-khvaar hamdam dekhiye kyaa ho chaman mein rang laaegi sabaa ki aabla-paai pilaati hai lahu shaakhon ko shabnam dekhiye kyaa ho nazar Takraa rahi hai ab shuaa-e-mehr-e-taabaan se hui hai khushk kab ki chashm-e-pur-nam dekhiye kyaa ho rah-e-gham mukhtasar kar di hai bazm-e-naa-shakebaa ne hue hain manzilon ke faasle kam dekhiye kyaa ho"
