SHAWORDS

dukh to har ghar mein jaataa hai — Mohammad Alvi

HomeMohammad AlviGhazal
"dukh to har ghar mein jaataa hai har ghar se us kaa naata hai ek se ik mil jaataa hai to sukh detaa hai sukh paataa hai raaton ko dariyaa mein utar ke chaand kise milne aataa hai chhoD ke apnaa 'aks parinda pyaas bujhaa ke uD jaataa hai ye meraa saaya to nahin hai mere pichhe kyon aataa hai kis ko maar rakhaa hai 'alvi' kaun ye ghazlein bhijvaataa hai"
Urdu

دکھ تو ہر گھر میں جاتا ہے ہر گھر سے اس کا ناطہ ہے ایک سے اک مل جاتا ہے تو سکھ دیتا ہے سکھ پاتا ہے راتوں کو دریا میں اتر کے چاند کسے ملنے آتا ہے چھوڑ کے اپنا عکس پرندہ پیاس بجھا کے اڑ جاتا ہے یہ میرا سایہ تو نہیں ہے میرے پیچھے کیوں آتا ہے کس کو مار رکھا ہے علویؔ کون یہ غزلیں بھجواتا ہے

Hindi

दुख तो हर घर में जाता है हर घर से उस का नाता है एक से इक मिल जाता है तो सुख देता है सुख पाता है रातों को दरिया में उतर के चाँद किसे मिलने आता है छोड़ के अपना 'अक्स परिंदा प्यास बुझा के उड़ जाता है ये मेरा साया तो नहीं है मेरे पीछे क्यों आता है किस को मार रखा है 'अलवी' कौन ये ग़ज़लें भिजवाता है

dukh to har ghar meñ jaatā hai
Mohammad Alvi
Mohammad Alvi
Mohammad Alvi
poet223 quotes

More by Mohammad Alvi

View all →
Quote
"raat bhar pi ke laDkhaDaate raho subh masjid mein sar jhukaate raho toD Daalo tilism-e-bu-e-gul mausam-e-gul mein khaak uDaate raho mahl taa'mir kar lo dariyaa mein ret mein kashtiyaan chalaate raho hijr ki shab guzar hi jaaegi taaza filmon ke giit gaate raho phuns mein aag dhar ke haT jaao chain ki baansuri bajaate raho mat Daro nanhe-munne olon se be-dhaDak apnaa sar munDaate raho sab raqibon se dosti kar lo man-ghaDat vasl ki sunaate raho ab bhi milte hain gaanTh ke puure DhunDh lo aur udhaar khaate raho naam rakh lo khalil khaan apnaa aur phir faakhta uDaate raho log maghlub ho hi jaaeinge she'r ghaalib ke gungunaate raho ham bhi ustaad hain suno 'alvi' apni ghazlein hamein dikhaate raho"
Mohammad AlviMohammad Alvi

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"sharik-e-aalam-e-kaif-o-surur main bhi thaa ki raat jashn mein tere huzur main bhi thaa ajiib vaqt thaa duniyaa qarib thi mere ghazab ye thaa tire daaman se duur main bhi thaa ghamon ke ghere mein jab raqs kar rahi thi hayaat tamaash-bin ki tarah be-shuur main bhi thaa na ruknaa raah mein shart-e-safar mein shaamil thaa thakan se varna bahut chuur chuur main bhi thaa utar rahaa thaa lahu kis balaa kaa aankhon mein tire khayaal mein us dam zarur main bhi thaa guzarte vaqt ne pahre baiThaa diye 'aabid' khataaein un ki na thiin be-qusur main bhi thaa"
Aabid AdeebAabid Adeeb