"apne dil mein aag lagaani paDti hai aise bhi ab raat bitaani paDti hai us ki baatein sun kar aise uThtaa huun jaise apni laash uThaani paDti hai vo khvaabon mein haath chhuDaa kar jaae to nindon mein aavaaz lagaani paDti hai kyaa khushbu se main us ki bach paaungaa raste mein jo raat ki raani paDti hai ab jaa kar ke baat samajh mein aai hai lekin ab kamzor javaani paDti hai"
duniyaa ko haadson mein giraftaar dekhnaa — Ashfaq Rasheed Mansuri
"duniyaa ko haadson mein giraftaar dekhnaa jab dekhnaa ho doston akhbaar dekhnaa phir us ke baad shauq se baiat karo magar pahle amir-e-shahr kaa kirdaar dekhnaa us ki taraf hai amn kaa parcham lagaa huaa lekin miraa vo khvaab mein talvaar dekhnaa nisbat hai ham ko tiin sau terah se aaj mumkin nahin ke ham ko paDe haar dekhnaa vo shakhs kyaa gayaa miri binaai le gayaa main jis ko chaahtaa thaa lagaataar dekhnaa 'ashfaaq' tum ko yaad hai maghrib ke baad mein jaanaa chhaton pe chaand se rukhsaar dekhnaa"
دنیا کو حادثوں میں گرفتار دیکھنا جب دیکھنا ہو دوستوں اخبار دیکھنا پھر اس کے بعد شوق سے بیعت کرو مگر پہلے امیر شہر کا کردار دیکھنا اس کی طرف ہے امن کا پرچم لگا ہوا لیکن مرا وہ خواب میں تلوار دیکھنا نسبت ہے ہم کو تین سو تیرہ سے آج ممکن نہیں کے ہم کو پڑے ہار دیکھنا وہ شخص کیا گیا مری بینائی لے گیا میں جس کو چاہتا تھا لگاتار دیکھنا اشفاقؔ تم کو یاد ہے مغرب کے باد میں جانا چھتوں پہ چاند سے رخسار دیکھنا
दुनिया को हादसों में गिरफ़्तार देखना जब देखना हो दोस्तों अख़बार देखना फिर उस के बा'द शौक़ से बैअ'त करो मगर पहले अमीर-ए-शहर का किरदार देखना उस की तरफ़ है अम्न का परचम लगा हुआ लेकिन मिरा वो ख़्वाब में तलवार देखना निस्बत है हम को तीन सौ तेरह से आज मुमकिन नहीं के हम को पड़े हार देखना वो शख़्स क्या गया मिरी बीनाई ले गया मैं जिस को चाहता था लगातार देखना 'अश्फ़ाक़' तुम को याद है मग़रिब के बाद में जाना छतों पे चाँद से रुख़्सार देखना

More by Ashfaq Rasheed Mansuri
View all →"miri ghazal gungunaa rahaa thaa vahi jo mujh se khafaa rahaa thaa mere khayaalon mein gum thaa shaayad vo apnaa kangan ghumaa rahaa thaa main baadalon ko milaa milaa kar usi kaa chehra banaa rahaa thaa binaa tumhaare na ji sakeinge vo niind mein budbudaa rahaa thaa jo us ki aankhon se pi li ik din kai dinon tak nasha rahaa thaa"
"dimaagh-o-dil mein halchal ho rahi hai nadi yaadon ki be-kal ho rahi hai tu apne face ko Dhank kar nikalnaa nagar mein dhuup paagal ho rahi hai tumhaari yaad kaa Daaka paDaa hai hamaari ziist chanmbal ho rahi hai abhi to shauq se phaaDaa hai daaman abhi to bas rehearsal ho rahi hai tiri aankhon pe chashma gair kaa hai miri tasvir ojhal ho rahi hai"
"zamin par nim-jaan yaari paDi hai idhar khanjar udhar aari paDi hai mere hi sar pe hain ilzaam saare baDi mahngi vafaa-daari paDi hai 'ajab saa khauf phailaa hai vatan mein havaa ke haath chingaari paDi hai bichhaD kar ho gayaa barbaad vo bhi hamein bhi choT ye kaari paDi hai samundar se koi rishta hai is kaa nadi kis vaaste khaari paDi hai"
"hairat hai vo khuun ki baatein karte hain jo aksar qaanun ki baatein karte hain jin ki jebein aksar khaali rahti hain jaane kyuun qaarun ki baatein karte hain apni galiyon kaa bhi jin ko ilm nahin dekho vo rangun ki baatein karte hain kab se mausam sard paDaa hai milne kaa aur vo hain ki june ki baatein karte hain dil ki duniyaa big-baazaar mein rahti hai vo mujh se parchun ki baatein karte hain"
"apni ghazlon ko risaalon se alag rakhtaa huun yaani ye phuul kitaabon se alag rakhtaa huun haan buzurgon se aqidat to mujhe hai lekin mushkilein apni mazaaron se alag rakhtaa huun manzilein aa ke mere paanv mein gir jaati hain hausla jab main thakaanon se alag rakhtaa huun un ki aamad kaa pata deti hai khushbu un ki us ghaDi khud ko jahaanon se alag rakhtaa huun hosh vaale mujhe apnon mein ginaa karte hain main kahaan khud ko divaanon se alag rakhtaa huun mujh ko achchhaa nahin lagtaa ye umidein TuTein is liye tiir kamaanon se alag rakhtaa huun"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"