SHAWORDS

Duub kar meri mar gai aankhein — Aves Sayyad

HomeAves SayyadGhazal
"Duub kar meri mar gai aankhein dekhi jab vo shanaavari aankhein meri baatein bahut ghumaati hain kaash hotin paDhi likhi aankhein 'mir' ne bhi suni ghazal us se jab khuli us ki masnavi aankhein ik safar saat aasmaanon kaa ik zamin par musaafiri aankhein ab talak meri ruuh andar hai koi khole vazaaifi aankhein jhiil par naachtaa huaa ik mor us pe teri jhuki hui aankhein teri aankhon pe ye ghani zulfein teri zulfon pe ye miri aankhein"
Urdu

ڈوب کر میری مر گئی آنکھیں دیکھی جب وہ شناوری آنکھیں میری باتیں بہت گھماتی ہیں کاش ہوتیں پڑھی لکھی آنکھیں میرؔ نے بھی سنی غزل اس سے جب کھلی اس کی مثنوی آنکھیں اک سفر سات آسمانوں کا اک زمیں پر مسافری آنکھیں اب تلک میری روح اندر ہے کوئی کھولے وظائفی آنکھیں جھیل پر ناچتا ہوا اک مور اس پہ تیری جھکی ہوئی آنکھیں تیری آنکھوں پہ یہ گھنی زلفیں تیری زلفوں پہ یہ مری آنکھیں

Hindi

डूब कर मेरी मर गई आँखें देखी जब वो शनावरी आँखें मेरी बातें बहुत घुमाती हैं काश होतीं पढ़ी लिखी आँखें 'मीर' ने भी सुनी ग़ज़ल उस से जब खुली उस की मसनवी आँखें इक सफ़र सात आसमानों का इक ज़मीं पर मुसाफ़िरी आँखें अब तलक मेरी रूह अंदर है कोई खोले वज़ाइफ़ी आँखें झील पर नाचता हुआ इक मोर उस पे तेरी झुकी हुई आँखें तेरी आँखों पे ये घनी ज़ुल्फ़ें तेरी ज़ुल्फ़ों पे ये मिरी आँखें

Duub kar merī mar ga.ī āñkheñ
Aves Sayyad
Aves Sayyad
Aves Sayyad
poet9 quotes

More by Aves Sayyad

View all →
Quote
"dil vasvason se ghir gayaa par jaan to gayaa tark-e-ta'alluqaat kaa imkaan to gayaa ehsaan aap kaa ki miri aankhein khul gai mar kar sahi main aap ko pahchaan to gayaa duniyaa bahut 'ajib hai is se 'ajib ye laasha chhupaa ke kahti hai mehmaan to gayaa kyaa faaeda gar aap ki dastaar bach gai gardan bataa rahi hai garebaan to gayaa jo bhi hai jaisaa bhi tiraa mauqa' hai aakhiri mushkil banegaa khel ab aasaan to gayaa vaise to kitne she'r kahun huun ravaani mein par she'r tujh pe kahne kaa armaan to gayaa varna to zindagi tiri tanhaa guzarni thi 'sayyad' khudaa kaa shukr koi maan to gayaa"
Aves SayyadAves Sayyad
Quote
"ham parindon ke vo daalaan huaa karte hain jo sabhi ke liye zindaan huaa karte hain zindagi roz nayaa khel khilaa deti hai roz ik chaal pe qurbaan huaa karte hain sirf qismat nahin laati kisi ko saDkon par kuchh to apnon ke bhi ehsaan huaa karte hain teri khaatir kiyaa karte hain vo sab kaarobaar jin mein nuqsaan hi nuqsaan huaa karte hain in zaminon pe darakhton ki hukumat thi kabhi jo udaasi bhare maidaan huaa karte hain aastinon ko salaamat rakhaa main ne jin ki aaj vo log garebaan huaa karte hain ik vo labrez sar-e-bazm mohabbat se hai aur ik ham jo pashemaan huaa karte hain apni gardan pe sajaa lete hain tohmat aur phir khud-kushi baandh ke hairaan huaa karte hain jaane kyaa baat hai 'sayyad' jo nahin milte ham jaane kyaa soch ke viraan huaa karte hain"
Aves SayyadAves Sayyad
Quote
"ho chale jism-numaa chaar pahar jaanaa hai saDkein sunsaan hon taarik hon ghar jaanaa hai apni be-laus mohabbat kaa bharam hai mujh ko koi ummid nahin un se magar jaanaa hai kuchh na baaqi rahe rishte mein tavaqqo' to rahe muskuraa kar to na jaa dil se utar jaanaa hai ek din 'ishq mein jismon ki hukumat hogi ek din taash ke mahlon ko bikhar jaanaa hai dar-ba-dar ho ke bhi hijrat to na aasaan hui paanv patthar hue jaate hain kidhar jaanaa hai mushkilein us ke savaalon mein banaae rakhnaa aate hon to bhi javaabon se mukar jaanaa hai"
Aves SayyadAves Sayyad
Quote
"taa-umr jo nahin thaa khudaaraa nahin banaa patthar taraash kar bhi main tujh saa nahin banaa kashti se ek aankh talak main hi main thaa bas parde mein zindagi rakhi pardaa nahin banaa main hi banaa huun paani main hi aag kaa bhanvar main uljhaa apne aap se to kyaa nahin banaa khud ko kabhi bhi baandh ke rakkhaa nahin kahin taqsim ho gayaa huun sahifa nahin banaa main gham-zada shikasta-dil-o-naa-tavaan sahi marzi se khel khelaa hai mohra nahin banaa gar khud-kushi pe aa gayaa to aabshaar huun har samt se hasin huun girya nahin banaa hosh-o-havaas mein kiyaa gar ishq bhi kiyaa sahraa-navardi mein bhi tamaasha nahin banaa bad-qismati ke taaj tire sar pe aaeinge 'sayyad' kisi ke haath pe naqshaa nahin banaa"
Aves SayyadAves Sayyad
Quote
"aisaa hunar bhi paayaa hai us ne zindagi se chaandi nikaal laayaa vo shakhs shaa'iri se main bhi pighal ke aakhir ko nuur ban gayaa huun itne diye jale hain suraj ki raushni se main chaahne ki had se aage nikal gayaa thaa phir laash nikli us ki ik roz paalki se tasvir zehn mein ik sailaab ki basi hai so saat feet uupar hai ghar miraa sabhi se dil mein safar kareinge duniyaa mein aakhiri tak vo giit pyaar ke jo gaae hain baansuri se aavaaz gunjti in galiyon mein rah gai hai rishta banaa hai meraa ye shahr-e-khaamushi se phir lutf dushmani mein aane lagaa hai mujh ko kheme badalte dekhe jab dost dosti se un ko sameT kar vo dariyaa mein le gayaa hai mehnat se main ne joDe jo jharne sab nadi se main kah rahaa huun 'sayyad' manzar rulaaeinge ye jin ko banaa rahaa hai tu itni saadgi se"
Aves SayyadAves Sayyad
Quote
"mere kuche se tajalli ko churaate hue log zulmat-e-shab tiri taasir baDhaate hue log liye baiThe hain tasavvur mein koi gahraa nishaan surkh alfaaz se tasvir banaate hue log teri galiyon mein akelaa hi rahaa thaa lekin ab nahin dekhte mujh ko yahaan aate hue log jin ki qabron pe kabhi faatiha paDhtaa nahin main mere maazi kaa vahi qissa sunaate hue log mere jaison ko to baazaar mein aane na diyaa raasta tere ta'aaqub mein sajaate hue log haafiza meraa siyah raat ke maanind huaa ab mujhe yaad nahin chaand dikhaate hue log ye jo qaatil hain tire in ki to chal khair nahin par tire naam se hangaama uThaate hue log niind divaar pe laTkaa ke rakhi hai 'sayyad' aur bistar pe hain khvaabon ko nachaate hue log"
Aves SayyadAves Sayyad

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb