SHAWORDS

duun main taskin ruuh ko apni — Azeem Kamil

HomeAzeem KamilGhazal
"duun main taskin ruuh ko apni mujh ko koi khabar to do apni muskuraanaa banaa hai tere liye mastiyon mein magan raho apni jo munaafiq hain un se duur raho dhaDkanon ki sadaa suno apni tum ko ik aur bhi nasihat hai sab ki sun lo magar karo apni apnaa ronaa lagaa hi rahnaa hai tum sunaao naa kuchh kaho apni"
Urdu

دوں میں تسکین روح کو اپنی مجھ کو کوئی خبر تو دو اپنی مسکرانا بنا ہے تیرے لیے مستیوں میں مگن رہو اپنی جو منافق ہیں ان سے دور رہو دھڑکنوں کی سدا سنو اپنی تم کو اک اور بھی نصیحت ہے سب کی سن لو مگر کرو اپنی اپنا رونا لگا ہی رہنا ہے تم سناؤ نا کچھ کہو اپنی

Hindi

दूँ मैं तस्कीन रूह को अपनी मुझ को कोई ख़बर तो दो अपनी मुस्कुराना बना है तेरे लिए मस्तियों में मगन रहो अपनी जो मुनाफ़िक़ हैं उन से दूर रहो धड़कनों की सदा सुनो अपनी तुम को इक और भी नसीहत है सब की सुन लो मगर करो अपनी अपना रोना लगा ही रहना है तुम सुनाओ ना कुछ कहो अपनी

duuñ maiñ taskīn ruuh ko apnī
Azeem Kamil
Azeem Kamil
Azeem Kamil
poet12 quotes

More by Azeem Kamil

View all →
Quote
"baDi mushkil se ki thi yaar himmat tujh ko khone ki bataa kyaa shart hai teri zaraa nazdik hone ki chale aate hain tere gaanv jab ye dil taDaptaa hai zarurat hi nahin paDti hai mujh ko rone-dhone ki khushi se sar jhukaa letaa huun jab ye yaad aataa hai miri maan ne nasihat ki thi mujh ko miTTi hone ki koi bechaini laahaq hai ki aankhein band bhi kar luun davaai leni paDti hai mujhe kuchh der sone ki tumhaare baad is dil mein nahin aayaa koi bhi shakhs nahin himmat bachi 'kaamil' aziyyat aur Dhone ki"
Azeem KamilAzeem Kamil
Quote
"jaane kis khaak se banaa hai vo jhuuT par jhuuT boltaa hai vo aadi mujrim hain ham mohabbat ke ham se puchho kahaan bikaa hai vo laD ke massage karegaa suuri kaa aise pahle bhi kar chukaa hai vo kyaa hamein bhi muaaf kar degaa rakh-rakhaav to jaantaa hai vo us kamine ki baat karte ho khair ham ko to maantaa hai vo kuuza khud bol kar bataaegaa chaahaton se banaa huaa hai vo har kisi se nahin lagaataa dil yaar itnaa to paarsaa hai vo main ne siine lagaa ke chumaa nahin 'kaamil' is baat par khafaa hai vo"
Azeem KamilAzeem Kamil
Quote
"hamein jab kaam se fursat milegi tumhein us vaqt hi chaahat milegi janaaze par zarur aanaa hamaare vahaan tum ko nai ibrat milegi hamaari dhaDkanon ko sunne vaale yahaan har pal tumhein hairat milegi rivaayat se bhalaa kab munharif hain in aankhon mein magar jiddat milegi tumhaaraa naam katbe par likhaa hai hamaari qabr ko shohrat milegi bahaavalpur se 'azhar' naam lenaa tumhein har halqe mein izzat milegi hamein kab eid se matlab hai 'kaamil' use dekheinge to raahat milegi"
Azeem KamilAzeem Kamil
Quote
"khushi se jhumti phirti hai aur phir muskuraati hai miri taaza ghazal vo yaad kar ke gungunaati hai tumhein cigarette se nafrat hai to ye kyon bhuul baiThe tum tumhein jis se mohabbat hai use cigarette bachaati hai nahin maalum meraa haafiza kis samt rahtaa hai magar vo yaad rakhti hai janam din tak manaati hai use bujhte diyon se itni uljhan hai ki mat puchho koi jo laDkhaDaa jaae use fauran jalaati hai kitaabein chikhne lagti hain jab vo paas se guzre inhein vo chuum ke rakhti hai siine se lagaati hai zahin itni hai us se bahs to ham kar nahin sakte mujhe manTo ke afsaane bilaa-naagha sunaati hai"
Azeem KamilAzeem Kamil

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui