SHAWORDS

dusraa koi chehra dekhtaa nahin hai tu — Naina Adil

HomeNaina AdilGhazal
"dusraa koi chehra dekhtaa nahin hai tu farz kar liyaa main ne bevafaa nahin hai tu saath saath chalte hain jabki donon baarish mein tar-ba-tar huun main lekin bhigtaa nahin hai tu sharh-e-gham to kyaa kyaa hogi raqs dekhne vaale ghunghruon se paael ke aashnaa nahin hai tu vo khushi huun jis ko tu chaahtaa hai apnaanaa aur dard vo jis ko jheltaa nahin hai tu"
Urdu

دوسرا کوئی چہرہ دیکھتا نہیں ہے تو فرض کر لیا میں نے بے وفا نہیں ہے تو ساتھ ساتھ چلتے ہیں جبکہ دونوں بارش میں تر بہ تر ہوں میں لیکن بھیگتا نہیں ہے تو شرح غم تو کیا کیا ہوگی رقص دیکھنے والے گھنگھرؤں سے پائل کے آشنا نہیں ہے تو وہ خوشی ہوں جس کو تو چاہتا ہے اپنانا اور درد وہ جس کو جھیلتا نہیں ہے تو

Hindi

दूसरा कोई चेहरा देखता नहीं है तू फ़र्ज़ कर लिया मैं ने बेवफ़ा नहीं है तू साथ साथ चलते हैं जबकि दोनों बारिश में तर-ब-तर हूँ मैं लेकिन भीगता नहीं है तू शरह-ए-ग़म तो क्या क्या होगी रक़्स देखने वाले घुंघरुओं से पायल के आश्ना नहीं है तू वो ख़ुशी हूँ जिस को तू चाहता है अपनाना और दर्द वो जिस को झेलता नहीं है तू

dūsrā koī chehra dekhtā nahīñ hai tū
Naina Adil
Naina Adil
Naina Adil
poet16 quotes

More by Naina Adil

View all →
Quote
"riyaa-kaari ke dhandon mein na tu shaamil na main shaamil khudaa ke nek bandon mein na tu shaamil na main shaamil vafaa ki sukhti jhilon se laakhon kuuch karte hain magar uDte parindon mein na tu shaamil na main shaamil tamaashaa dekhte hain aap apnaa aur hanste hain hamaare dard-mandon mein na tu shaamil na main shaamil abhi to bhigte lamhon ne pahlaa bhed paayaa hai abhi baarish ki bundon mein na tu shaamil na main shaamil chhalakte hain mohabbat raasti aur harf ke pyaale kahein kaise ki rindon mein na tu shaamil na main shaamil fasaad-o-qatl karte hain jo tere mere naamon par ilaahi in darindon mein na tu shaamil na main shaamil na eazaazaat aur PR nai seminar aur tamghe adab ke shar-pasandon mein na tu shaamil na main shaamil"
Naina AdilNaina Adil
Quote
"hai baal-o-par mein vahshat si be-samt uDaanein bharti huun apne andar ke jangal mein gum ho jaane se Darti huun phir aas kaa dariyaa bahtaa hai phir sabza ug ug aataa hai phir dhuup kinaare baiThi main ik khvaab ki chhaagal bharti huun kyon aag dahakti hai mujh mein kyon baarish hoti hai mujh mein jab dhyaan se milti huun tere jab tere man mein utarti huun kab mujh ko rihaai milti thi naahaq jo qafas bhi toD diyaa baj uThti hain zanjirein si main paanv jahaan bhi dharti huun ik phuul ki pati kaa bistar ik os ke moti kaa takiya titli ke paron ko oDh ke main khvaabon mein aan Thaharti huun dil gham se rihaai chaahtaa hai aur vo bhi jiite ji saahab phir tujh mein panah le leti huun phir khud se kinaara karti huun hain naag kaa phan kaali raatein lamha lamha Dasti jaavein sau baar taDapti huun saahab sau baar main jiiti marti huun"
Naina AdilNaina Adil
Quote
"de kar fareb pyaas ki aazurdagi ko ham aao naa ghunT bhar ke piyein zindagi ko ham khulne lagi hai niind ki bhedon bhari kathaa chhune lage hain khvaab ki dil-bastagi ko ham sahraa qubul kartaa hai baarish kaa indiya miTTi mein gundh lete hain jab tishnagi ko ham rakh kar hazaar aaine us rukh ke ru-ba-ru dhoka diyaa kareinge tiri saadgi ko ham raqsaan hai boznon ki tarah vaqt be-takaan takte hain putliyon ki tarah DugDugi ko ham andar hi apne khaak uDaate hain duur tak baahar nahin nikaalte aavaargi ko ham haajat ke daam girte nahin hain naqaab mein yaani hijaab karte hain be-pardagi ko ham suntaa thaa be-kanaar samundar hamaari nazm auron ko bhi sunaate rahe dil lagi ko ham lafzon ki mezbaani agar saunp di gai mehmaan kareinge aap ki sanjidgi ko ham"
Naina AdilNaina Adil
Quote
"tire aks se miri zaat mein hai latif hijr-o-visaal saa dam-e-subh koi umang si sar-e-shaam koi malaal saa tiri bu-e-khush ke surur se tiri raushni ke vafur se mire nain gahre siyaah se miraa rang surkh gulaal saa magar aagahi ki talab se hai hama-vaqt nok-e-zabaan par koi lafz lafz-e-gumaan saa koi harf harf-e-savaal saa jise zindagi ke rafu libaas ke saare bakhiye qubul hain use phir labaada qazaa kaa bhi huaa narm reshon ki shaal saa chalo DhunDein shahar-e-numud mein koi shakhs paikar-e-zindagi koi dosti ki nazir saa koi dilbari ki misaal saa miraa intiqaam bhi harf hain miraa ehtimaam bhi harf hain kabhi giit giit tarang si kabhi she'r she'r vabaal saa"
Naina AdilNaina Adil

More on Khushi

View all →
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"subh-e-nau laati hai har shaam tumhein kyaa maalum zakhm khushiyon ke hain paighaam tumhein kyaa maalum bhuul kar bhi jo kisi bazm mein aayaa na gayaa sainkaDon us pe hain ilzaam tumhein kyaa maalum log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se un mein kitne hain tah-e-daam tumhein kyaa maalum kuchh andhere bhi khataavaar-e-tabaahi hain magar raushni par bhi hai ilzaam tumhein kyaa maalum jis ko tum DhunDte ho sham-e-rukh-e-naaz liye vo to arse se hai gumnaam tumhein kyaa maalum jo rukh-e-zist pe thaa harf-e-ghalat ki maanind mil rahaa hai use inaam tumhein kyaa maalum jo kafan baandh ke chalte hain vafaa ki rah mein zindagi kar chuke nilaam tumhein kyaa maalum surkh-ru kaun huaa kucha-e-jaanaan mein kabhi naamvar bhi hue badnaam tumhein kyaa maalum do qadam bhi na chale raah-e-vafaa mein ham log hai abhi zauq-e-talab khaam tumhein kyaa maalum jo jalaa raat ki tanhaai mein us par bhi 'khayaal' bevafaai kaa hai ilzaam tumhein kyaa maalum"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"pata kaise chale duniyaa ko qasr-e-dil ke jalne kaa dhuein ko raasta miltaa nahin baahar nikalne kaa bataa phulon ki masnad se utar ke tujh pe kyaa guzri miraa kyaa main to aadi ho gayaa kaanTon pe chalne kaa mire ghar se ziyaada duur sahraa bhi nahin lekin udaasi naam hi leti nahin baahar nikalne kaa chaDhegaa zahr khushbu kaa use aahista aahista kabhi bhugtegaa vo khamyaaza phulon ko masalne kaa musalsal jaagne ke baad khvaahish ruuTh jaati hai chalan sikhaa hai bachche ki tarah us ne machalne kaa zar-e-dil le ke pahunchaa thaa mataa-e-jaan bhi kho baiThaa diyaa us ne na mauqaa bhi kaf-e-afsos milne kaa khushi se kaun kartaa hai ghamon ki parvarish 'saajid' kise hai shauq logo dard ke saanche mein Dhalne kaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid