Quote
"ham na hote kaakh-e-musht-e-khaak hotaa ghaaliban be-samaaat naghma-e-laulaak hotaa ghaaliban aap ne achchhaa kiyaa tathir-e-khvaahish hi na ki varna zamzam chashma-e-naapaak hotaa ghaaliban aatish-e-karb-o-balaa ne hosh ke naakhun liye josh mein sail-e-khas-o-khaashaak hotaa ghaaliban khud hi baatil-saaz ne hangaama-aaraai na ki khush-libaas-e-haq bhi daaman-chaak hotaa ghaaliban haadson ke khauf se ehsaas ki had mein na thaa varna nafs-e-mutmain saffaak hotaa ghaaliban soch kar hi to lagaayaa haajib-e-shams-o-qamar laa-makaan par qabza-e-idraak hotaa ghaaliban shoalagi ne is ko 'raahi' sad-shikasta kar diyaa aaina dil surat-e-zahhaak hotaa ghaaliban"
