Quote
"kaun kahtaa hai mahv-e-khvaab huun main sach to vo hai ki inqalaab huun main zindagi kyaa hai aur maut hai kyaa in savaalaat kaa javaab huun main khauf khaati hai mujh se khaamoshi dasht mein gunjtaa rabaab huun main shahr ke bheDiyon se kyaa Darnaa jangli sher saa shabaab huun main har varaq jis kaa aag aur dhuaan daastaanon ki vo kitaab huun main tum andhere mein kyon chale aae raushni mein bhi be-hisaab huun main mujh ko jugnu kaa naam de ke na hans apni duniyaa kaa aaftaab huun main"
