"ham apni dhun mein magan log is nagar ke nahin yahaan ke hain bhi to ab raaste mafar ke nahin tumhein ham amn ke mausam mein milne aaeinge hamaare des mein din in dinon safar ke nahin janam janam se hai parvarda-e-gham-e-hijraan ye daagh dil pe kisi 'umr-e-mukhtasar ke nahin siyaah shab hai bahut ehtiyaat ham-safaro shajar sarakte hue meri rah-guzar ke nahin khud aap apni shifaa hai maraz marizon kaa kamaal is mein fusun-kaar chaaraagar ke nahin bure bahut hain chalan un ke chaal bhi hogi ghalat iraade mire ik bhi ham-safar ke nahin bataane aayaa huun dastak ke baa'd kyaa huaa thaa main jaa rahaa huun tiraa intizaar kar ke nahin kabhi vo baagh mein khud bhi dikhaai detaa hai gulon pe kaam kisi dast-e-be-hunar ke nahin"
fasil-e-dil mein dar kiyaa ki raabta banaa rahe — Mumtaz Gurmani
"fasil-e-dil mein dar kiyaa ki raabta banaa rahe ise khudaa kaa ghar kiyaa ki raabta banaa rahe zamin pe apne jism ki thakan bichhaa ke so gayaa bharosa khaak par kiyaa ki raabta banaa rahe sabhi gharon mein aap hi muqim thaa isi liye mujhe bhi dar-ba-dar kiyaa ki raabta banaa rahe vo dushmanon ki saf mein thaa isi liye kalaam bhi kamaan khinch kar kiyaa ki raabta banaa rahe use pasand aa gaiin palak palak pe jhaalarein so main ne in ko tar kiyaa ki raabta banaa rahe main khud-gharaz mein matlabi tabhi khudaa se pyaar bhi kisi ke naam par kiyaa ki raabta banaa rahe ye kuza-gar kaa shauq thaa tabhi to meri khaak ne thaa raqs chaak par kiyaa ki raabta banaa rahe kabhi main karbalaa gayaa kabhi madina o najaf kahaan kahaan safar kiyaa ki raabta banaa rahe"
فصیل دل میں در کیا کہ رابطہ بنا رہے اسے خدا کا گھر کیا کہ رابطہ بنا رہے زمیں پہ اپنے جسم کی تھکن بچھا کے سو گیا بھروسہ خاک پر کیا کہ رابطہ بنا رہے سبھی گھروں میں آپ ہی مقیم تھا اسی لیے مجھے بھی در بدر کیا کہ رابطہ بنا رہے وہ دشمنوں کی صف میں تھا اسی لیے کلام بھی کمان کھینچ کر کیا کہ رابطہ بنا رہے اسے پسند آ گئیں پلک پلک پہ جھالریں سو میں نے ان کو تر کیا کہ رابطہ بنا رہے میں خود غرض میں مطلبی تبھی خدا سے پیار بھی کسی کے نام پر کیا کہ رابطہ بنا رہے یہ کوزہ گر کا شوق تھا تبھی تو میری خاک نے تھا رقص چاک پر کیا کہ رابطہ بنا رہے کبھی میں کربلا گیا کبھی مدینہ و نجف کہاں کہاں سفر کیا کہ رابطہ بنا رہے
फ़सील-ए-दिल में दर किया कि राब्ता बना रहे इसे ख़ुदा का घर किया कि राब्ता बना रहे ज़मीं पे अपने जिस्म की थकन बिछा के सो गया भरोसा ख़ाक पर किया कि राब्ता बना रहे सभी घरों में आप ही मुक़ीम था इसी लिए मुझे भी दर-ब-दर किया कि राब्ता बना रहे वो दुश्मनों की सफ़ में था इसी लिए कलाम भी कमान खींच कर किया कि राब्ता बना रहे उसे पसंद आ गईं पलक पलक पे झालरें सो मैं ने इन को तर किया कि राब्ता बना रहे मैं ख़ुद-ग़रज़ में मतलबी तभी ख़ुदा से प्यार भी किसी के नाम पर किया कि राब्ता बना रहे ये कूज़ा-गर का शौक़ था तभी तो मेरी ख़ाक ने था रक़्स चाक पर किया कि राब्ता बना रहे कभी मैं कर्बला गया कभी मदीना ओ नजफ़ कहाँ कहाँ सफ़र किया कि राब्ता बना रहे

More by Mumtaz Gurmani
View all →"ye aur baat shajar sar-nigun paDaa huaa thaa zamin se us ne magar raabta rakhaa huaa thaa vahin vahin se gavaahi mili mire sach ki jahaan jahaan se miraa pairahan phaTaa huaa thaa mujhe kisi kaa to honaa thaa haar jiit ke baad miraa vajud vahaan daav par lagaa huaa thaa miri nigaah mein thi surkh mahmalon ki qataar aur in mein ek kajaava bahut sajaa huaa thaa andhere noch rahe the jamaal dharti kaa miri zamin kaa suraj kahin gayaa huaa thaa mire huzur farishte jhukaae jaa rahe the miraa khamir abhi chaak par rakhaa huaa thaa laraz rahe the kamaanon mein tiir dahshat se mire 'husain' kaa 'asghar' kahaan Daraa huaa thaa"
"gul-badan khaak-nashinon se pare haT jaaein aasmaan ujli zaminon se pare haT jaaein main bhi dekhun to sahi biphre samundar kaa mizaaj ab ye mallaah safinon se pare haT jaaein karne vaalaa huun dilon par main mohabbat kaa nuzul saare bu-jahl madinon se pare haT jaaein main khalaaon ke safar par huun nikalne vaalaa chaand suraj mire zinon se pare haT jaaein ab to ham zaahiri sajde bhi tire chhoD chuke ab to ye daagh jabinon se pare haT jaaein"
"main kam-sini ke sabhi khilaunon mein yuun bikhartaa javaan huaa thaa dilaa main tere hasin khayaalon se Dartaa Dartaa javaan huaa thaa mujhe sitaaron ki gardishon se Daraaegaa kyaa nasib meraa ki main bagulon ke saath sahraa mein raqs kartaa javaan huaa thaa baDaa taajjub hai teri aankhon ki ik tajalli se jal gayaa huun vagarna shoalon ki aankh par main giraa guzartaa javaan huaa thaa usi kahaani ne rang di hai miri javaani ki har nishaani main jis kahaani mein zindagaani ke rang bhartaa javaan huaa thaa jo aaj siine ke ek kone mein khaamushi se paDaa huaa hai ye dil surayyaa ke paar duniyaa mein paanv dhartaa javaan huaa thaa nahin achambhe ki baat koi jo tujh pe 'mumtaaz' mar miTaa hai ye shakhs pahle bhi teri paael pe martaa martaa javaan huaa thaa"
"nindon ko jab khvaab mein juutaa jaataa thaa main bas apne nain bhigotaa jaataa thaa aanchal kaa ik phuul sharaarat kartaa thaa ik shahzaada patthar hotaa jaataa thaa phuul duaa-e-nur sunaate the aur main us ki khaatir haar pirotaa jaataa thaa ishq mein ham ne jitne rang apnaae the vahshi dhobi sab ko dhotaa jaataa thaa paani bharne ek kuein par jaati thi us kaa paani miThaa hotaa jaataa thaa meri haalat itni abtar ho gai kyaa kahte hain kal vo bhi rotaa jaataa thaa main 'mumtaaz' gulaabon jaisaa hone ko us ki khushbu dil mein botaa jaataa thaa"
"niind jholi mein liye vasl-ghaDi aati hai yaa'ni khvaabon mein mire ab bhi koi aati hai 'ishq to khair na pahlaa thaa na duujaa tujh se phir bhi ai dost tiri yaad baDi aati hai us ne ye kah ke ham aison ki zabaan-bandi ki bahs karne se mohabbat mein kami aati hai vo mujhe chhoD to saktaa hai magar jaantaa hai dhuup mein li gai tasvir buri aati hai pahle ham dhyaan se chalte hain zamin par barson phir kahin jaa ke ye be-raah-ravi aati hai main use toD ke bas jaan bachaa luun apni vo rivaayat jo zamaane se chali aati hai ik tiraa gham hai ki tanhaa nahin hone detaa ik tiri yaad hai sakhiyon mein ghiri aati hai haae vo din ki tire gham se nahin thi fursat ab kabhi baiTh ke sochun to hansi aati hai"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"