SHAWORDS

gham diye hain to iztiraab na de — Gauhar Usmani

HomeGauhar UsmaniGhazal
"gham diye hain to iztiraab na de zindagi de magar 'azaab na de muskuraane ke hain kai mafhum muskuraa kar koi javaab na de is ki taa'bir kis se puchhungaa meri aankhon ko koi khvaab na de khud-shanaasi miTaae detaa hai 'aish itnaa bhi be-hisaab na de mujh ko jo chaahe de sazaa lekin maslahat ki koi naqaab na de teri zid hai yahi agar saaqi zahr de de magar sharaab na de"
Urdu

غم دیئے ہیں تو اضطراب نہ دے زندگی دے مگر عذاب نہ دے مسکرانے کے ہیں کئی مفہوم مسکرا کر کوئی جواب نہ دے اس کی تعبیر کس سے پوچھوں گا میری آنکھوں کو کوئی خواب نہ دے خود شناسی مٹائے دیتا ہے عیش اتنا بھی بے حساب نہ دے مجھ کو جو چاہے دے سزا لیکن مصلحت کی کوئی نقاب نہ دے تیری ضد ہے یہی اگر ساقی زہر دے دے مگر شراب نہ دے

Hindi

ग़म दिए हैं तो इज़्तिराब न दे ज़िंदगी दे मगर 'अज़ाब न दे मुस्कुराने के हैं कई मफ़्हूम मुस्कुरा कर कोई जवाब न दे इस की ता'बीर किस से पूछूँगा मेरी आँखों को कोई ख़्वाब न दे ख़ुद-शनासी मिटाए देता है 'ऐश इतना भी बे-हिसाब न दे मुझ को जो चाहे दे सज़ा लेकिन मस्लहत की कोई नक़ाब न दे तेरी ज़िद है यही अगर साक़ी ज़हर दे दे मगर शराब न दे

ġham diye haiñ to iztirāb na de
G
Gauhar Usmani
Gauhar Usmani
poet13 quotes

More by Gauhar Usmani

View all →
Quote
"rukh se fitrat ke hijaabaat uThaa detaa hai aaina TuuT ke patthar ko sadaa detaa hai azmat-e-ahl-e-vafaa aur baDhaa detaa hai gham-e-musalsal ho to phir gham bhi mazaa detaa hai dil dhaDaktaa hai to pahron nahin sone detaa niind aati hai to ehsaas jagaa detaa hai tum ne shaayad kabhi is baat ko sochaa hogaa vaqt haathon ki lakirein bhi miTaa detaa hai jo mire qatl ke darpai thaa na jaane kab se aaj vo bhi mujhe jiine ki duaa detaa hai apne kirdaar pe maujon ko bhi sharm aati hai jab koi Duub ke saahil kaa pataa detaa hai gham ki taufiq bhi sab ko nahin milti 'gauhar' ye vo neamat hai jo mushkil se khudaa detaa hai"
G
Gauhar Usmani
Quote
"ab salibein shaah-raahon par sajaa di jaaeingi aks rah jaaeinge tasvirein haTaa di jaaeingi baat karne ko taras jaaeinge arbaab-e-vafaa bandishein itni zabaanon par lagaa di jaaeingi jin kitaabon mein vafaa kaa zikr aaegaa nazar sabr kiije vo kitaabein bhi jalaa di jaaeingi aap aur tum kaa tasavvur bhi fanaa ho jaaegaa jitni qadrein hain adab ki sab miTaa di jaaeingi muntazir rahiye mohabbat kaa payambar aaegaa jitni shamein bujh chuki hain sab jalaa di jaaeingi pi rahe hain jin mein 'gauhar' log insaan kaa lahu aisi taamiron ki buniyaadein hilaa di jaaeingi"
G
Gauhar Usmani
Quote
"dil mein rahnaa kabhi khvaabon ke nagar mein rahnaa tum jahaan rahnaa mohabbat ke safar mein rahnaa khair-maqdam ke liye aaungaa main bhi ik din tum abhi silsila-e-shaam-o-sahar mein rahnaa vaqt samton ke taayyun ko badal saktaa hai tum mire saath mohabbat ke safar mein rahnaa moajiza ye bhi hai is daur ke fankaaron kaa aag se khelnaa aur mom ke ghar mein rahnaa fikr-e-shaair ke darichon se guzar kar dekho kitnaa dushvaar hai logon ki nazar mein rahnaa gharq hone se bache kitne safine 'gauhar' kaam aayaa miri kashti kaa bhanvar mein rahnaa"
G
Gauhar Usmani
Quote
"kabhi shaadmaan kabhi pur-alam tumhein yaad ho ki na yaad ho vo karam ke ruup mein ik sitam tumhein yaad ho ki na yaad ho vahi ahd-e-rasm-o-rah-e-vafaa vo dil-o-nazar kaa moaamla mujhe yaad hai mire mohtaram tumhein yaad ho ki na yaad ho vahi ghuncha ghuncha-o-gul-ba-gul vahi rukh-ba-rukh vahi dil-ba-dil kabhi the chaman ki bahaar ham tumhein yaad ho ho ki na yaad ho vo fusun-taraaz si ik nazar kabhi muntazir kabhi muntazir vo fasaana-saaz shab-e-alam tumhein yaad ho ki na yaad ho kabhi vo tabassum-e-zer-e-lab kabhi khaamushi si vo be-sabab kabhi sarkhushi kabhi aankh nam tumhein yaad ho ki na yaad ho"
G
Gauhar Usmani
Quote
"teri tasvir ko dhundlaa nahin hone deinge zindagi ham tujhe rusvaa nahin hone deinge sar pe har lamha raheinge tire aanchal ki tarah tu ghazal hai tujhe tanhaa nahin hone deinge jin makaanon se hai mansub khudaa ki azmat un makaanon mein andheraa nahin hone deinge jaan jaati hai chali jaae balaa se lekin ham mohabbat ko tamaashaa nahin hone deinge jin ko saae mein gunaahon ko panaahein mil jaaein un fasilon ko ab unchaa nahin hone deinge paar kar le jo qanaaat ki hadon ko 'gauhar' itnaa daaman ko kushaada nahin hone deinge"
G
Gauhar Usmani
Quote
"mizaaj-e-mustaqil denaa shuur-e-moatabar denaa jhukaa paae na jis ko vaqt kaa tufaan vo sar denaa mujhe umr-e-khizar denaa ki umr-e-mukhtasar denaa mire afkaar lekin zinda-e-jaaved kar denaa jo uTThe samt-e-maazi vo nazar meraa nahin haasil pas-e-divaar-e-mustaqbil jo dekhe vo nazar denaa mujaahid jang ke maidaan ko jaae jis tarah ghar se ye manzar zehn mein rakh kar mujhe izn-e-safar denaa agar is razm-gaah-e-dahr mein jiinaa hi hai mujh ko to phir in yurishon mein zinda rahne kaa hunar denaa sivaa ho jaae jis se azmat-e-dida-vari 'gauhar' nazar denaa to yaarab phir mujhe aisi nazar denaa"
G
Gauhar Usmani

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi