Quote
"aaj aankhon mein jo khumaari hai un ke khvaabon mein shab guzaari hai kaun laayaa hai hosh mein mujh ko kis nazar ne nazar utaari hai hijr dekhaa hai vasl dekhaa hai donon jaanib hi be-qaraari hai phir kitaabon ke phuul mahke hain phir tiri yaad dil pe taari hai dil ke TukDe hue hain siine mein jaan-e-jaan choT ye karaari hai jis ko jaan-e-ghazal bataate ho vo ghazal to miyaan hamaari hai ham ne kaaTi hai 'umr un ke baghair kaun kahtaa hai ki guzaari hai ham vafaadaar-e-mulk hain 'ghaafil' bas yahi daastaan hamaari hai"
A
Anwar Ghafil