"dam-e-aakhir sanam phere hain aankhein bad-gumaan ho kar phire hain ye miri aankhon ke taare putliyaan ho kar miri fariyaad sun kar fasl-e-gul mein shor karti hain chaman mein bulbulein naalaan hain meri ham-zabaan ho kar gale mil kar urus-e-tegh se ye aabru paai paDe hain haar zakhmon ke gale mein baddhiyaan ho kar shab-e-furqat koi naala agar munh se nikaltaa hai falak se phir kar aataa hai balaa-e-naa-gahaan ho kar havaa-e-did-e-gul josh-e-junun mein bhi rahi baaqi gae 'gustaakh' sahraa ko to su-e-bostaan ho kar"
ghazab hai kisi kaa idhar dekh lenaa — Gustakh Rampuri
"ghazab hai kisi kaa idhar dekh lenaa sitam hai bachaa kar nazar dekh lenaa vo chalne mein kuchh farz saa jaante hain idhar dekh lenaa udhar dekh lenaa sikhaae hain ye hathkanDe tum ko kis ne jo ghar aae us ki kamar dekh lenaa main pahchaan lungaa tumhein roz-e-mahshar hai kaafi mujhe ik nazar dekh lenaa jo likkhaa ki aa kar dikhaa jaao surat to likhte hain kal raat-bhar dekh lenaa kisi vaqt dekho hain 'gustaakh' haazir qayaamat huaa un kaa ghar dekh lenaa"
غضب ہے کسی کا ادھر دیکھ لینا ستم ہے بچا کر نظر دیکھ لینا وہ چلنے میں کچھ فرض سا جانتے ہیں ادھر دیکھ لینا ادھر دیکھ لینا سکھائے ہیں یہ ہتکھنڈے تم کو کس نے جو گھر آئے اس کی کمر دیکھ لینا میں پہچان لوں گا تمہیں روز محشر ہے کافی مجھے اک نظر دیکھ لینا جو لکھا کہ آ کر دکھا جاؤ صورت تو لکھتے ہیں کل رات بھر دیکھ لینا کسی وقت دیکھو ہیں گستاخؔ حاضر قیامت ہوا ان کا گھر دیکھ لینا
ग़ज़ब है किसी का इधर देख लेना सितम है बचा कर नज़र देख लेना वो चलने में कुछ फ़र्ज़ सा जानते हैं इधर देख लेना उधर देख लेना सिखाए हैं ये हथकँडे तुम को किस ने जो घर आए उस की कमर देख लेना मैं पहचान लूँगा तुम्हें रोज़-ए-महशर है काफ़ी मुझे इक नज़र देख लेना जो लिक्खा कि आ कर दिखा जाओ सूरत तो लिखते हैं कल रात-भर देख लेना किसी वक़्त देखो हैं 'गुस्ताख़' हाज़िर क़यामत हुआ उन का घर देख लेना
More by Gustakh Rampuri
View all →"fidaa hai ijz tiri shaan-e-kibriyaai kaa koi dikhaae ye andaaz khud-numaai kaa darud paDhte ho aankhon ko dekh kar apni bahaana karte ho kyon surme ki salaai kaa hui jo umr ziyaada to ye huaa zaahir shabaab hi mein mazaa kuchh hai aashnaai kaa paron mein uDne ki taaqat hi ab nahin baaqi khayaal bhi hamein hotaa nahin rihaai kaa buton ki chaal mein 'gustaakh' aa nahin saktaa chhaTaa huaa hai vo kambakht ik khudaai kaa"
"khataa hai aankh ki hai be-khataa dil laDi ye tum se mujrim ban gayaa dil ye koi baat hai ai hazrat-e-ishq jise dekhaa usi ko de diyaa dil khulegi lan-taraani ki haqiqat karegaa tiir kaa jab saamnaa dil hasinon se main dhokaa khaa chukaa huun koi ab le to le mujh se miraa dil buraa thaa yaa bhalaa thaa kar diyaa nazr kahaan se laaun ab main dusraa dil mile mujh se to farmaane lage vo kaho 'gustaakh' achchhaa to rahaa dil"
"pahle to ghair miri samt se bhar dete hain phir mujhe saamne us shokh ke kar dete hain dast-e-saail ki tarah shaakhein baDhi aati hain bostaan mein tujhe nazrein gul-e-tar dete hain raat-bhar chain se soe jo mire pahlu mein gaaliyaan kyon vo mujhe vaqt-e-sahar dete hain aur log un se jo milte hain to khush rahte hain jaanne vaalon kaa dam naak mein kar dete hain kyaa guzarti hai khudaa jaane adam vaalon par vaan se khat bhejte hain ye na khabar dete hain bosa maango to sahi hazrat-e-'gustaakh' un se pahle vo karte hain inkaar magar dete hain"
"mujhe jis ne maaraa hai vo dil yahi hai vo dushman yahi hai vo qaatil yahi hai kabhi the bhare is mein armaan laakhon aur ab koi dekhe ki vo dil yahi hai mujhe le gayaa shauq jab un ke dar par pukaari ajal ku-e-qaatil yahi hai tiri aankh khud kar rahi hai ishaaraa ki munh chuum lene ke qaabil yahi hai ye sab jaante hain ki tum ho masihaa samajhte hain ye bhi ki qaatil yahi hai ye rut ye havaaein ye baadal ye bijli piyo khul ke duniyaa kaa haasil yahi hai phansi kashti-e-dil jo girdaab-e-gham mein to qismat pukaari ki saahil yahi hai jise kas ke juuDe mein baandhaa hai tum ne hazaaron mein kah duun miraa dil yahi hai samajhne lage mujh ko dushman se baDh kar mire dil lagaane kaa haasil yahi hai gale mil ke mujh se shab-e-vasl bole ki furqat ki raaton kaa haasil yahi hai jo 'gustaakh' pahunche bahisht-e-barin mein to samjhe ki navvaab castle yahi hai"
"haal-e-dil kuchh kahaa gayaa bhi nahin harf-e-matlab adaa huaa bhi nahin raat us kaa vo naaz se kahnaa tujh ko kambakht kuchh hayaa bhi nahin aap aaein to aap kaa ghar hai aur na aaein to iltijaa bhi nahin tum pilaao to shaikh bhi pi lein ham to kuchh aise paarsaa bhi nahin bevafaa bhi hai vo zamaane kaa aur muravvat ki intihaa bhi nahin qadr karte hain vo miri 'gustaakh' jaise main surat-aashnaa bhi nahin"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"