SHAWORDS

ghar se jaataa huun roz shaam se main — Jamal Ehsani

HomeJamal EhsaniGhazal
"ghar se jaataa huun roz shaam se main raat bhar ke programme se main ai meri jaan-e-intishaar-pasand tang huun tere intizaam se main ye jo laDtaa-jhagaDtaa huun sab se bach rahaa huun qubul-e-aam se main main utaaraa gayaa thaa arsh se aur farsh par gir paDaa dhaDaam se main shakl kaa laahiqa nahin ham-raah jaanaa jaataa huun sirf naam se main kyaa kahun uubne lagaa huun 'jamaal' ek hi jaise subh o shaam se main"
Urdu

گھر سے جاتا ہوں روز شام سے میں رات بھر کے پروگرام سے میں اے میری جان انتشار پسند تنگ ہوں تیرے انتظام سے میں یہ جو لڑتا جھگڑتا ہوں سب سے بچ رہا ہوں قبول عام سے میں میں اتارا گیا تھا عرش سے اور فرش پر گر پڑا دھڑام سے میں شکل کا لاحقہ نہیں ہمراہ جانا جاتا ہوں صرف نام سے میں کیا کہوں اوبنے لگا ہوں جمالؔ ایک ہی جیسے صبح و شام سے میں

Hindi

घर से जाता हूँ रोज़ शाम से मैं रात भर के प्रोग्रैम से मैं ऐ मेरी जान-ए-इंतिशार-पसंद तंग हूँ तेरे इंतिज़ाम से मैं ये जो लड़ता-झगड़ता हूँ सब से बच रहा हूँ क़ुबूल-ए-आम से मैं मैं उतारा गया था अर्श से और फ़र्श पर गिर पड़ा धड़ाम से मैं शक्ल का लाहिक़ा नहीं हम-राह जाना जाता हूँ सिर्फ़ नाम से मैं क्या कहूँ ऊबने लगा हूँ 'जमाल' एक ही जैसे सुब्ह ओ शाम से मैं

ghar se jaatā huuñ roz shaam se maiñ
Jamal Ehsani
Jamal Ehsani
Jamal Ehsani
poet161 quotes

More by Jamal Ehsani

View all →
Quote
"vo log mere bahut pyaar karne vaale the guzar gae hain jo mausam guzarne vaale the nai ruton mein dukhon ke bhi silsile hain nae vo zakhm taaza hue hain jo bharne vaale the ye kis maqaam pe sujhi tujhe bichhaDne ki ki ab to jaa ke kahin din sanvarne vaale the hazaar mujh se vo paimaan-e-vasl kartaa rahaa par us ke taur-tariqe mukarne vaale the tumhein to fakhr thaa shiraaza-bandi-e-jaan par hamaaraa kyaa hai ki ham to bikharne vaale the tamaam raat nahaayaa thaa shahr baarish mein vo rang utar hi gae jo utarne vaale the us ek chhoTe se qasbe pe rail Thahri nahin vahaan bhi chand musaafir utarne vaale the"
Jamal EhsaniJamal Ehsani
Quote
"nashe ki lahr taari ho rahi hai miri aavaaz bhaari ho rahi hai raqibon par 'inaayat barsar-e-bazm bahut khaatir hamaari ho rahi hai sabhi mere maraz ko koste hain ye kyaa timaar-daari ho rahi hai chaman kaa raasta mat gher ke baiTh khafaa baad-e-bahaari ho rahi hai sab apne apne ghar mein mutmain hain mujhe kyon be-qaraari ho rahi hai gali ke ek ghar mein 'iid ke roz ye kaisi aah-o-zaari ho rahi hai sunaa hai us gali se 'aashiqon ki nai fehrist jaari ho rahi hai jo aae puchhtaa hai 'umr meri 'ajab timaardaari ho rahi hai mire pahlu mein vo hai aur mujh par 'ajab vahshat si taari ho rahi hai"
Jamal EhsaniJamal Ehsani
Quote
"muddaton baa'd shab-e-maah use dekhaa thaa par kisi aur ke hamraah use dekhaa thaa kyaa khabar thi ki kahaani koi ban jaaegi main ne kal bazm mein naagaah use dekhaa thaa vasl ki raat sitaaron ne baDi hasrat se gaah dekhaa thaa mujhe gaah use dekhaa thaa log use DhunDhne nikle to ye maa'lum huaa jis ne dekhaa thaa sar-e-raah use dekhaa thaa aaj ik 'umr ke baa'd us se milaa thaa lekin apne ahvaal se aagaah use dekhaa thaa us kaa kyaa Thiik ki logon ne ba-yak-vaqt 'jamaal' sar-e-mai-khaana-o-dargaah use dekhaa thaa"
Jamal EhsaniJamal Ehsani
Quote
"raat aati rahti hai din nikaltaa rahtaa hai aur khudaa ke bandon kaa kaam chaltaa rahtaa hai phir rahaa huun basti mein ye pata liye kab se ik charaagh us ghar mein din ko jaltaa rahtaa hai ek ghar hai main jis mein rahtaa huun khush-o-khurram ek baat hai jis se dil dahaltaa rahtaa hai main bhi aasmaanon mein roz izaafa kartaa huun vo bhi in zaminon kaa rukh badaltaa rahtaa hai ziist ki tamaazat mein shaakh-e-marg se aage raah-rau Thahartaa hai rasta chaltaa rahtaa hai 'ishq karne vaalon ko sirf ye suhulat hai kuchh na karne se bhi kuchh dil bahaltaa rahtaa hai main bisaat-e-duniyaa ko jab lapeT detaa huun koi dusraa mujh mein ghar badaltaa rahtaa hai"
Jamal EhsaniJamal Ehsani
Quote
"is samay koi nahin meri nigahbaani par ye ghaDi sakht kaDi hai tire zindaani par baa-khabar kar ke rah-e-ishq ki mushkil se tujhe faisla chhoD diyaa hai tiri aasaani par na havaa aur na miTTi pe kabhi ho paayaa jo bharosaa hai mujhe bahte hue paani par main abhi pahle khasaare se nahin niklaa huun phir bhi tayyaar hai dil dusri naadaani par kisi bhi vaqt badal saktaa hai lamha koi is qadar khush bhi na ho meri pareshaani par khatm hone ko hain ashkon ke zakhire bhi 'jamaal' roe kab tak koi is shahr ki viraani par"
Jamal EhsaniJamal Ehsani

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri