"khubiyaan apne mein go be-intihaa paate hain ham par har ik khubi mein daagh ik aib kaa paate hain ham khauf kaa koi nishaan zaahir nahin afaaal mein go ki dil mein muttasil khauf-e-khudaa paate hain ham karte hain taaat to kuchh khvaahaan numaaish ke nahin par gunah chhup chhup ke karne mein mazaa paate hain ham diida o dil ko khayaanat se nahin rakh sakte baaz garche dast-o-paa ko aksar be-khataa paate hain ham dil mein dard-e-ishq ne muddat se kar rakkhaa hai ghar par use aaluda-e-hirs-o-havaa paate hain ham ho ke naadim jurm se phir jurm karte hain vahi jurm se go aap ko naadim sadaa paate hain ham hain fidaa un doston par jin mein ho sidq o safaa par bahut kam aap mein sidq o safaa paate hain ham go kisi ko aap se hone nahin dete khafaa ik jahaan se aap ko lekin khafaa paate hain ham jaante apne sivaa sab ko hain be-mehr o vafaa apne mein gar shamma-e-mehr-o-vafaa paate hain ham bukhl se mansub karte hain zamaane ko sadaa gar kabhi taufiq-e-isaar o ataa paate hain ham ho agar maqsad mein naakaami to kar sakte hain sabr dard-e-khud-kaami ko lekin be-davaa paate hain ham Thaharte jaate hain jitne chashm-e-aalam mein bhale haal nafs-e-dun kaa utnaa hi buraa paate hain ham jis qadar jhuk jhuk ke milte hain buzurg o khurd se kibr o naaz utnaa hi apne mein sivaa paate hain ham go bhalaai karke ham-jinson se khush hotaa hai ji tah-nashin us mein magar durd-e-riyaa paate hain ham hai ridaa-e-nek-naami dosh par apne magar daagh rusvaai ke kuchh zer-e-ridaa paate hain ham raah ke taalib hain par be-raah paDte hain qadam dekhiye kyaa DhunDhte hain aur kyaa paate hain ham nuur ke ham ne gale dekhe hain ai 'haali' magar rang kuchh teri alaapon mein nayaa paate hain ham"
go javaani mein thi kaj-raai bahut — Altaf Hussain Hali
"go javaani mein thi kaj-raai bahut par javaani ham ko yaad aai bahut zer-e-burqaa tu ne kyaa dikhlaa diyaa jama hain har su tamaashaai bahut haT pe is ki aur pis jaate hain dil raas hai kuchh us ko khud-raai bahut sarv yaa gul aankh mein jachte nahin dil pe hai naqsh us ki raanaai bahut chuur thaa zakhmon mein aur kahtaa thaa dil raahat is taklif mein paai bahut aa rahi hai chaah-e-yusuf se sadaa dost yaan thoDe hain aur bhaai bahut vasl ke ho ho ke saamaan rah gae meinh na barsaa aur ghaTaa chhaai bahut jaan-nisaari par vo bol uTThe miri hain fidaai kam tamaashaai bahut ham ne har adnaa ko aalaa kar diyaa khaaksaari apni kaam aai bahut kar diyaa chup vaaqiaat-e-dahr ne thi kabhi ham mein bhi goyaai bahut ghaT gaiin khud talkhiyaan ayyaam ki yaa gai kuchh baDh shakebaai bahut ham na kahte the ki 'haali' chup raho raast-goi mein hai rusvaai bahut"
گو جوانی میں تھی کج رائی بہت پر جوانی ہم کو یاد آئی بہت زیر برقع تو نے کیا دکھلا دیا جمع ہیں ہر سو تماشائی بہت ہٹ پہ اس کی اور پس جاتے ہیں دل راس ہے کچھ اس کو خود رائی بہت سرو یا گل آنکھ میں جچتے نہیں دل پہ ہے نقش اس کی رعنائی بہت چور تھا زخموں میں اور کہتا تھا دل راحت اس تکلیف میں پائی بہت آ رہی ہے چاہ یوسف سے صدا دوست یاں تھوڑے ہیں اور بھائی بہت وصل کے ہو ہو کے ساماں رہ گئے مینہ نہ برسا اور گھٹا چھائی بہت جاں نثاری پر وہ بول اٹھے مری ہیں فدائی کم تماشائی بہت ہم نے ہر ادنیٰ کو آلا کر دیا خاکساری اپنی کام آئی بہت کر دیا چپ واقعات دہر نے تھی کبھی ہم میں بھی گویائی بہت گھٹ گئیں خود تلخیاں ایام کی یا گئی کچھ بڑھ شکیبائی بہت ہم نہ کہتے تھے کہ حالیؔ چپ رہو راست گوئی میں ہے رسوائی بہت
गो जवानी में थी कज-राई बहुत पर जवानी हम को याद आई बहुत ज़ेर-ए-बुर्क़ा तू ने क्या दिखला दिया जम्अ हैं हर सू तमाशाई बहुत हट पे इस की और पिस जाते हैं दिल रास है कुछ उस को ख़ुद-राई बहुत सर्व या गुल आँख में जचते नहीं दिल पे है नक़्श उस की रानाई बहुत चूर था ज़ख़्मों में और कहता था दिल राहत इस तकलीफ़ में पाई बहुत आ रही है चाह-ए-यूसुफ़ से सदा दोस्त याँ थोड़े हैं और भाई बहुत वस्ल के हो हो के सामाँ रह गए मेंह न बरसा और घटा छाई बहुत जाँ-निसारी पर वो बोल उट्ठे मिरी हैं फ़िदाई कम तमाशाई बहुत हम ने हर अदना को आला कर दिया ख़ाकसारी अपनी काम आई बहुत कर दिया चुप वाक़िआत-ए-दहर ने थी कभी हम में भी गोयाई बहुत घट गईं ख़ुद तल्ख़ियाँ अय्याम की या गई कुछ बढ़ शकेबाई बहुत हम न कहते थे कि 'हाली' चुप रहो रास्त-गोई में है रुस्वाई बहुत

More by Altaf Hussain Hali
View all →"kabk o qumri mein hai jhagDaa ki chaman kis kaa hai kal bataa degi khizaan ye ki vatan kis kaa hai faisla gardish-e-dauraan ne kiyaa hai sau baar marv kis kaa hai badakhshaan o khutan kis kaa hai dam se yusuf ke jab aabaad thaa yaaqub kaa ghar charkh kahtaa thaa ki ye bait-e-huzan kis kaa hai mutmain is se musalmaan na masihi na yahud dost kyaa jaaniye ye charkh-e-kuhan kis kaa hai vaaiz ik aib se tu paak hai yaa zaat-e-khudaa varna be-aib zamaane mein chalan kis kaa hai aaj kuchh aur dinon se hai sivaa istighraaq azm-e-taskhir phir ai shekh-e-zaman kis kaa hai aankh paDti hai har ik ahl-e-nazar ki tum par tum mein ruup ai gul o nasrin o saman kis kaa hai ishq udhar aql idhar dhun mein chale hain teri rasta ab dekhiye donon mein kaThin kis kaa hai shaan dekhi nahin gar tu ne chaman mein us ki valvala tujh mein ye ai murgh-e-chaman kis kaa hai hain fasaahat mein masal vaaiz o 'haali' donon dekhnaa ye hai ki be-laag sukhan kis kaa hai"
"kah do koi saaqi se ki ham marte hain pyaase gar mai nahin de zahr hi kaa jaam balaa se jo kuchh hai so hai us ke taghaaful ki shikaayat qaasid se hai takraar na jhagDaa hai sabaa se dallaala ne ummid dilaai to hai lekin dete nahin kuchh dil ko tasalli ye dilaase hai vasl to taqdir ke haath ai shah-e-khubaan yaan hain to faqat teri mohabbat ke hain pyaase pyaase tire sar-gashta hain jo raah-e-talab mein honTon ko vo karte nahin tar aab-e-baqaa se dar guzre davaa se to bharose pe duaa ke dar guzrein duaa se bhi duaa hai ye khudaa se ik dard ho bas aaTh pahar dil mein ki jis ko takhfif davaa se ho na taskin duaa se 'haali' dil-e-insaan mein hai gum daulat-e-kaunain sharminda hon kyuun ghair ke ehsaan-o-ataa se jab vaqt paDe dijiye dastak dar-e-dil par jhukiye fuqaraa se na jhamkiye umraa se"
"dil ko dard-aashnaa kiyaa tu ne dard-e-dil ko davaa kiyaa tu ne tab-e-insaan ko di sirisht-e-vafaa khaak ko kimiyaa kiyaa tu ne vasl-e-jaanaan muhaal Thahraayaa qatl-e-aashiq ravaa kiyaa tu ne thaa na juz gham bisaat-e-aashiq mein gham ko raahat-fazaa kiyaa tu ne jaan thi ik vabaal furqat mein shauq ko jaan-guzaa kiyaa tu ne thi mohabbat mein nang minnat-e-ghair jazb-e-dil ko rasaa kiyaa tu ne raah zaahid ko jab kahin na mili dar-e-mai-khaana vaa kiyaa tu ne qata hone hi jab lagaa paivand ghair ko aashnaa kiyaa tu ne thi jahaan kaarvaan ko deni raah ishq ko rahnumaa kiyaa tu ne naav bhar kar jahaan Duboni thi aql ko naakhudaa kiyaa tu ne baDh gai jab pidar ko mehr-e-pisar us ko us se judaa kiyaa tu ne jab huaa mulk o maal rahzan-e-hosh baadshah ko gadaa kiyaa tu ne jab mili kaam-e-jaan ko lazzat-e-dard dard ko be-davaa kiyaa tu ne jab diyaa raah-rau ko zauq-e-talab sai ko naa-rasaa kiyaa tu ne parda-e-chashm the hijaab bahut husn ko khud-numaa kiyaa tu ne ishq ko taab-e-intizaar na thi ghurfa ik dil mein vaa kiyaa tu ne haram aabaad aur dair kharaab jo kiyaa sab bajaa kiyaa tu ne sakht afsurda taba thi ahbaab ham ko jaadu navaa kiyaa tu ne phir jo dekhaa to kuchh na thaa yaa rab kaun puchhe ki kyaa kiyaa tu ne 'haali' uTThaa hilaa ke mahfil ko aakhir apnaa kahaa kiyaa tu ne"
"vaan agar jaaein to le kar jaaein kyaa munh use ham jaa ke ye dikhlaaein kyaa dil mein hai baaqi vahi hirs-e-gunaah phir kiye se apne ham pachhtaaein kyaa aao lein us ko hamin jaa kar manaa us ki be-parvaaiyon par jaaein kyaa dil ko masjid se na mandir se hai uns aise vahshi ko kahin bahlaaein kyaa jaantaa duniyaa ko hai ik khel tu khel qudrat ke tujhe dikhlaaein kyaa umr ki manzil to juun tuun kaT gai marhale ab dekhiye pesh aaein kyaa dil ko sab baaton ki hai naaseh khabar samjhe samjhaae ko bas samjhaaein kyaa maan liije shaikh jo daavaa kare ik buzurg-e-din ko ham jhuTlaaein kyaa ho chuke 'haali' ghazal-khvaani ke din raagni be-vaqt ki ab gaaein kyaa"
"junun kaar-farmaa huaa chaahtaa hai qadam dasht paimaa huaa chaahtaa hai dam-e-girya kis kaa tasavvur hai dil mein ki ashk ashk dariyaa huaa chaahtaa hai khat aane lage shikva-aamez un ke milaap un se goyaa huaa chaahtaa hai bahut kaam lene the jis dil se ham ko vo sarf-e-tamannaa huaa chaahtaa hai abhi lene paae nahin dam jahaan mein ajal kaa taqaazaa huaa chaahtaa hai mujhe kal ke vaade pe karte hain rukhsat koi vaada puuraa huaa chaahtaa hai fuzun tar hai kuchh in dinon zauq-e-isyaan dar-e-rahmat ab vaa huaa chaahtaa hai qalaq gar yahi hai to raaz-e-nihaani koi din mein rusvaa huaa chaahtaa hai vafaa shart-e-ulfat hai lekin kahaan tak dil apnaa bhi tujh saa huaa chaahtaa hai bahut haz uThaataa hai dil tujh se mil kar qalaq dekhiye kyaa huaa chaahtaa hai gham-e-rashk ko talkh samjhe the hamdam so vo bhi gavaaraa huaa chaahtaa hai bahut chain se din guzarte hain 'haali' koi fitna barpaa huaa chaahtaa hai"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"khel duniyaa-e-'aarzi kaa huun ek kirdaar zindagi kaa huun mujh ko rakkhaa gayaa andhere mein main bhi haqdaar raushni kaa huun intihaa ke qarib hai duniyaa aadmi aakhiri sadi kaa huun dil ko ehsaas ho gayaa teraa mo'tarif teri dosti kaa huun main ne ghurbat mein 'ilm sikhaa hai main to maqruz muflisi kaa huun pur na hogaa jo mere baa'd kabhi ek aisaa khalaa kami kaa huun meraa dushman nahin 'khayaali' koi dost bhi main kisi kisi kaa huun"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"