"rahzanon ke haath saaraa intizaam aayaa to kyaa phir vafaa ke mujrmon mein meraa naam aayaa to kyaa mere qaatil tujh ko aakhir kaun samjhaae ye baat par-shikasta ho ke koi zer-e-daam aayaa to kyaa phir vo bulvaayaa gayaa hai karbalaa-e-asr mein kufiyon ko phir se shauq-e-ehtimaam aayaa to kyaa kho chuki saari basirat so chuke ahl-e-kitaab aasmaanon se koi taaza payaam aayaa to kyaa jab ki un aankhon ki mashal baam par raushan nahin shahr mein yaasir koi maah-e-tamaam aayaa to kyaa"
guftugu karne lage ret ke ambaar ke saath — Aatif Waheed Yasir
"guftugu karne lage ret ke ambaar ke saath dosti ho gai aakhir miri ashjaar ke saath ishq jaise kahin chhune se bhi lag jaataa ho kaun baiThegaa bhalaa aap ke bimaar ke saath saahibo mujh ko abhi raqs nahin aataa hai jhuum letaa huun faqat shaam ke aasaar ke saath yaar kuchh bol mujhe kuchh to yaqin aa jaae main tujhe dekhtaa huun dida-e-bedaar ke saath saf se niklaa miraa saalaar rajaz paDhte hue aur phir meri taraf chal paDaa aghyaar ke saath"
گفتگو کرنے لگے ریت کے انبار کے ساتھ دوستی ہو گئی آخر مری اشجار کے ساتھ عشق جیسے کہیں چھونے سے بھی لگ جاتا ہو کون بیٹھے گا بھلا آپ کے بیمار کے ساتھ صاحبو مجھ کو ابھی رقص نہیں آتا ہے جھوم لیتا ہوں فقط شام کے آثار کے ساتھ یار کچھ بول مجھے کچھ تو یقیں آ جائے میں تجھے دیکھتا ہوں دیدۂ بیدار کے ساتھ صف سے نکلا مرا سالار رجز پڑھتے ہوئے اور پھر میری طرف چل پڑا اغیار کے ساتھ
गुफ़्तुगू करने लगे रेत के अम्बार के साथ दोस्ती हो गई आख़िर मिरी अश्जार के साथ इश्क़ जैसे कहीं छूने से भी लग जाता हो कौन बैठेगा भला आप के बीमार के साथ साहिबो मुझ को अभी रक़्स नहीं आता है झूम लेता हूँ फ़क़त शाम के आसार के साथ यार कुछ बोल मुझे कुछ तो यक़ीं आ जाए मैं तुझे देखता हूँ दीदा-ए-बेदार के साथ सफ़ से निकला मिरा सालार रजज़ पढ़ते हुए और फिर मेरी तरफ़ चल पड़ा अग़्यार के साथ

More by Aatif Waheed Yasir
View all →"aankhon ko naqsh-e-paa tiraa dil ko ghubaar kar diyaa ham ne vidaa-e-yaar ko apnaa hisaar kar diyaa is ki chhuvan se jal uThaa mere badan kaa rom rom mujh ko to dast-e-yaar ne jaise chinaar diyaa kis ke badan ki narmiyaan haathon ko gudgudaa gaiin dasht-e-firaaq-e-yaar ko pahlu-e-yaar kar diyaa ab ke to mujh pe is tarah saaqi huaa hai mehrbaan saare dukhon ko chuum kar mai kaa khumaar kar diyaa maanaa sukhan tiri 'ataa phir bhi kamaal hai miraa main ne tire jamaal ko rashk-e-bahaar kar diyaa mujh se gila bajaa magar tum bhi kabhi ye sochnaa mujh ko anaa ke rakhsh par kis ne savaar kar diyaa zulmat-e-hijr mein sadaa us ne diyaa hai hausla ab ke magar bujhaa diyaa us ne bhi haar kar diyaa"
"tiri dosti kaa kamaal thaa mujhe khauf thaa na malaal thaa miraa rom rom thaa hairati miraa dil bhi mahv-e-dhamaal thaa koi shaakh-e-girya lipaT gai mire sukhte hue jism se main khizaan ki rut mein haraa huaa ye ''darud'' hi mein kamaal thaa abhi reg-e-dasht pe sabt hain sabhi naqsh mere sujud ke vo jo maarke kaa sabab huaa vahi harf-e-haq miri Dhaal thaa miri raakh mein thiin kahin kahin mere ek khvaab ki kirchiyaan mere jism-o-jaan mein chhupaa huaa tiri qurbaton kaa khayaal thaa inhi hairaton mein basar hui na khabar hui ki sahar hui ye tamaam arsa-e-zindagi ki muhit-e-shaam-e-visaal thaa"
More on Dosti
View all →"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
"ek ujli du'aa kaa saaya hai masjid-e-jaan mein kaun aaya hai aane vaale dinon ki soch zaraa ye jo teraa hai sab paraayaa hai zakhm detaa hai sirf apnon ko us ne bhi kyaa mizaaj paayaa hai vaqt ab kyaa mutaalbe hain tire ham ne har qarz to chukaayaa hai haar kar tum se dil mohabbat mein aansuon kaa kharaaj laayaa hai ham andhere parakhne vaalon ne raushni se fareb khaayaa hai dosti pyaar e'tibaar 'anis' 'umr bhar bas ye dhan kamaayaa hai"
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
"gham utaaraa gayaa sabhi ke liye ashk utre hain aadmi ke liye ik tajalli mujhe 'inaayat ho meri aankhon ki raushni ke liye ji ke lagtaa nahin munaasib hai zindagi lafz zindagi ke liye baar hotaa rahaa kisi ke sipurd shukr kartaa rahaa kisi ke liye main ne had-darja koshishein kar liin dil banaa hi nahin khushi ke liye kuchh darinde bhi jaane jaate hain apni insaan-dosti ke liye sab nahin jaante ye vo dar hai yuun to darvaaza hai sabhi ke liye us ne baadal haTaa liye 'aamir' chand lamhon ki chaandni ke liye"
"nigaahon mein iqraar saare hue hain ham un ke hue vo hamaare hue hain jin aankhon mein aansu chakaare hue hain ham un ki nigaahon ke maare hue hain na khaTkein kaho kis tarah tir-e-mizhgaan jigar par hamaare utaare hue hain jhaDe jo tiri kafsh-e-zarrin ke zarre falak par vo jaa kar sayyaare hue hain 'abas jaan deti hai bulbul gulon par ye us rukh ke sadqe utaare hue hain kis andaaz se band-e-mahram kase hain ki joban ko un ke ubhaare hue hain yaqin hai balaa ho koi aaj naazil vo baalon ko apne sanvaare hue hain khabar-daar haathon se jaane na paaein ye duzd-e-hinaa maal maare hue hain kahe deti hain saaf aankhein tumhaari kisi ghair se kuchh ishaare hue hain main manjdhaar mein Dubtaa huun ilaahi vo dil le ke meraa kinaare hue hain hamesha jo bharte the dam dosti kaa vahi dushman-e-jaan hamaare hue hain nazar kar du'aa par khudaavand-e-aalam ki ham haath apne pasaare hue hain bhalaa ghair ki is mein hai kyaa shikaayat vahi dushman-e-jaan hamaare hue hain unhein ham ne nahlaa diyaa de ke chhinTein 'ajab lutf dariyaa kinaare hue hain khabar aamad-e-gul ki shaayad hai 'aaghaa' chaman saare jhaaDe bahaare hue hain"
"sahar ko khoj charaaghon pe inhisaar na kar havaa se dosti rakh us kaa e'tibaar na kar yaqin kar o mohabbat yahi munaasib hai ziyaada din miri sohbat ko ikhtiyaar na kar ye koi rishta nahin hai faqat nadaamat hai tu mujh se umr mein kam hai so mujh se pyaar na kar mujhe pata hai ki barbaad ho chukaa huun main tu meraa sog manaa mujh ko sogvaar na kar hai kaun kaun mire saath is musibat mein main apne saath nahin huun mujhe shumaar na kar main khaak khud tujhe labbaik kahne vaalon mein mujhe bulaavaa na de meraa intizaar na kar"