SHAWORDS

guhar kharid na paaeinge shahr bhar ke mujhe — Armaan Jodhpuri

"guhar kharid na paaeinge shahr bhar ke mujhe bahut 'aziz hain zarre ye apne ghar ke mujhe taraste aaj bhi hain mere lams-e-dastak ko bahut hanse the jo darvaaze chhoD kar ke mujhe hai mere dil ko anaa is qadar 'aziz ki vo taDapne bhi nahin detaa hai aah bhar ke mujhe Dhalaa hai chaak pe ye but magar nazaakat se farishte likhte hain aa'maal dafn kar ke mujhe bas iltifaat-e-nazar teri chaahiye varna payaam aae hain sau sau kai nazar ke mujhe na ab sameT mire muntashir vujud ki raakh sukun milaa hai tiri chaah mein bikhar ke mujhe tire firaaq ki raatein tavil thiin itni ki yaad aae kai qisse 'umr bhar ke mujhe main DhunDhtaa huun khilaunon mein bachpanaa phir se kahaan gayaa miraa bachpan udaas kar ke mujhe zabaan de ke mire paanv ke nishaanon ko talaash karte hain divaane shahr bhar ke mujhe"
Urdu

گہر خرید نہ پائیں گے شہر بھر کے مجھے بہت عزیز ہیں ذرے یہ اپنے گھر کے مجھے ترستے آج بھی ہیں میرے لمس دستک کو بہت ہنسے تھے جو دروازے چھوڑ کر کے مجھے ہے میرے دل کو انا اس قدر عزیز کہ وہ تڑپنے بھی نہیں دیتا ہے آہ بھر کے مجھے ڈھلا ہے چاک پہ یہ بت مگر نزاکت سے فرشتے لکھتے ہیں اعمال دفن کر کے مجھے بس التفات نظر تیری چاہیئے ورنہ پیام آئے ہیں سو سو کئی نظر کے مجھے نہ اب سمیٹ مرے منتشر وجود کی راکھ سکوں ملا ہے تری چاہ میں بکھر کے مجھے ترے فراق کی راتیں طویل تھیں اتنی کہ یاد آئے کئی قصہ عمر بھر کے مجھے میں ڈھونڈھتا ہوں کھلونوں میں بچپنا پھر سے کہاں گیا مرا بچپن اداس کر کے مجھے زبان دے کے مرے پاؤں کے نشانوں کو تلاش کرتے ہیں دیوانے شہر بھر کے مجھے

Hindi

गुहर ख़रीद न पाएँगे शहर भर के मुझे बहुत 'अज़ीज़ हैं ज़र्रे ये अपने घर के मुझे तरसते आज भी हैं मेरे लम्स-ए-दस्तक को बहुत हँसे थे जो दरवाज़े छोड़ कर के मुझे है मेरे दिल को अना इस क़दर 'अज़ीज़ कि वो तड़पने भी नहीं देता है आह भर के मुझे ढला है चाक पे ये बुत मगर नज़ाकत से फ़रिश्ते लिखते हैं आ'माल दफ़्न कर के मुझे बस इल्तिफ़ात-ए-नज़र तेरी चाहिए वर्ना पयाम आए हैं सौ सौ कई नज़र के मुझे न अब समेट मिरे मुंतशिर वुजूद की राख सुकूँ मिला है तिरी चाह में बिखर के मुझे तिरे फ़िराक़ की रातें तवील थीं इतनी कि याद आए कई क़िस्से 'उम्र भर के मुझे मैं ढूँढता हूँ खिलौनों में बचपना फिर से कहाँ गया मिरा बचपन उदास कर के मुझे ज़बान दे के मिरे पाँव के निशानों को तलाश करते हैं दीवाने शहर भर के मुझे

guhar ḳharīd na pā.eñge shahr bhar ke mujhe
Armaan Jodhpuri
Armaan Jodhpuri
Armaan Jodhpuri
poet47 quotes

More by Armaan Jodhpuri

View all →
Quote
"haae kaisaa nagar udaasi kaa har bashar ham-safar udaasi kaa qahqahon tak main aa ke baiTh gayaa dekh liije asar udaasi kaa biij Daale na khaad Daali hai ug gayaa khud shajar udaasi kaa ik to pahle hi gham ke maare the aur is par zarar udaasi kaa chun ke ash'aar mein piroyaa hai main ne har ik guhar udaasi kaa tere jaane ke baa'd jaanaa hai zindagi hai safar udaasi kaa hai agar tu javaab de koi kaun hai ham-safar udaasi kaa ai khudaa bhej de koi rahzan luuTe mujh se jo zar udaasi kaa log to dil udaas rakhte hain main huun puuraa bashar udaasi kaa tum agar aa sako to aa jaao jashn hai mere ghar udaasi kaa"
Armaan JodhpuriArmaan Jodhpuri
Quote
"baagh-e-bahisht ziist banaa kar chalaa gayaa jo bujh gae charaagh jalaa kar chalaa gayaa vaise to us ke paas zaraa bhi samay na thaa kuchh vaqt phir bhi saath bitaa kar chalaa gayaa ab tak sulag rahaa hai ye dil us ke 'ishq mein vo to maze se aag lagaa kar chalaa gayaa aayaa thaa chaar din ko miri zindagi mein vo aur chaar din kaa saath nibhaa kar chalaa gayaa 'aalam thaa gham-gusaari kaa ranj-o-alam kaa phir tajviz-e-gham rihaai sunaa kar chalaa gayaa kyon barqaraar hai miri nazron ki tishnagi jab ke vo jaan-nisaar to aa kar chalaa gayaa yuun jalva-haa-e-husn-e-mujassam hue 'ayaan ahl-e-khirad ke hosh uDaa kar chalaa gayaa tauba re aashiyaan-e-takhayyul pe barhami barq-e-tapaan se us ko jalaa kar chalaa gayaa aayaa thaa vo palaT ke nadaamat ke vaaste do chaar baatein aur sunaa kar chalaa gayaa"
Armaan JodhpuriArmaan Jodhpuri
Quote
"oDh kar dard ki is dhuup ko jalte rahiye khaar mil jaaein to phir khaaron pe chalte rahiye zindagi se hai pare chaah ki parchhaaiyaan raat din dard ke sannaaTon mein palte rahiye ek show ban ke tumhein jiinaa paDegaa har din zahr jitnaa bhi mile us ko nigalte rahiye aap se koi bhi ummid nahin marham ki aap to sirf namak zakhmon pe malte rahiye aur baDh jaaegi kuchh rang-e-hinaai us ki bas hatheli pe lahu ko mire malte rahiye aap ke naam se mansub ho ghazlein meri lafz ban kar mire ash'aar mein Dhalte rahiye khud-bakhud haar ke insaaf chalaa jaaegaa sirf taarikh pe taarikh badalte rahiye aastinon mein inhein paalte rahiye lekin in sapolon ke zaraa phan bhi kuchalte rahiye manzilein duur hain par hausla rakhiye 'armaan' aap kaa farz masaafat hai to chalte rahiye"
Armaan JodhpuriArmaan Jodhpuri
Quote
"bu-e-gul ke muraaqabe mein huun yaa'ni pahle se main maze mein huun aasmaan tak uDaan bharni hai ik parinde se raabte mein huun tere gun milte hain sabhi mujh se yaa'ni main tere zaaiche mein huun vo saheli se baat kar rahi hai main bhi yaaron ke mashvare mein huun us ki aankhon se niind ghaaeb hai aur main shak ke daaere mein huun tere haathon se pi thi chaae kabhi aaj tak us ke zaaiqe mein huun tum ko dekhaa to hosh mein aayaa varna kahtaa ki main nashe mein huun khushk patton si zindagi meri ik khizaan ke muhaasare mein huun us ki saanson mein dard gahraa hai jis diye ko sanbhaalne mein huun 'aks meraa talaashne vaale us ki aankhon ke aaine mein huun mujh ko hairat se dekhti kyon hai zindagi tere falsafe mein huun"
Armaan JodhpuriArmaan Jodhpuri
Quote
"munjamid the miri palkon ke kinaare aansu bah gae aaj vo yaadon ke sahaare aansu kyon ki apnon ne hi bakhshe hain ye saare aansu is liye bhi hai hamein jaan se pyaare aansu saamne sab ke nikal aae nahin hai mumkin itne kam-zarf nahin hain ye hamaare aansu mo'jiza aur bhalaa is se baDaa kyaa hogaa dard is dil mein hai girte hain tumhaare aansu haae afsos jab aankhein hi nahin detin jagah be-amaan hote hain tab dard ke maare aansu kisi surat se bhi khaali nahin jaane vaale tere dar aae hain daaman ko pasaare aansu ik nayaa zaaviya aaegaa kahaani mein agar tere aansu se jo mil jaaein hamaare aansu muntazir dil hai ye armaan saje hain is mein ponchh de aa ke inhein raah nihaare aansu"
Armaan JodhpuriArmaan Jodhpuri
Quote
"tumhaare dard ke jaisaa nahin hai hamaare dard kaa chehra nahin hai agarche ishq saa mahngaa nahin hai magar ye hijr bhi sastaa nahin hai hamaari aankh se dekho to jaano mutaabiq ishq ke duniyaa nahin hai chalo ab DhunDhaa jaae phir nayaa gham ki kaaghaz pe koi misraa nahin hai zaraa nashtar chubhaao zor se phir ye zakhm-e-dil abhi gahraa nahin hai safaai main kahaan tak us ko detaa miraa ho kar bhi jo meraa nahin hai jabin ke niche jo do sipiyaan hain guhar in mein abhi bantaa nahin hain mile to hain bahut mujh ko jahaan mein magar koi mire jaisaa nahin hai"
Armaan JodhpuriArmaan Jodhpuri

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari