"dukhon kaa dasht aankhon kaa samundar chhoD aayaa huun jo ghar mein laa na sakta thaa vo baahar chhoD aayaa huun tum agli baarishon ke baa'd jaakar dekhnaa pyaare tumhaaraa naam divaaron pe likh kar chhoD aayaa huun mohabbat ki hai us ghar mein rihaaish to nahin ki hai abhi to sirf darvaaze pe bistar chhoD aayaa huun tiri baanhon mein aa kar bhi yahi mahsus hotaa hai ki khud ko vaqt ke rahm-o-karam par chhoD aayaa huun abhi kuchh der mein phailegi khushbu saari basti mein vahaan ke ik dariche mein gul-e-tar chhoD aaya huun khudaa-na-khvaasta main bhi agar banbaas luun 'taabish' vahaan kis ko bataaungaa bharaa ghar chhoD aaya huun"
guzar rahi hai udaasi ki shaam kaaghaz par — Abbas Tabish
"guzar rahi hai udaasi ki shaam kaaghaz par main aaj raat karungaa qayaam kaaghaz par main likhnaa chaahtaa huun aur ye bhi chaahtaa huun ki ho na jaae miraa dukh tamaam kaaghaz par tumhaari yaad bhi kyaa hai ki shaam paDte hi paDaav karti hai dil mein khiraam kaaghaz par bahut dinon se idhar titliyaan na aati thiin main likh ke baiTh gayaa us kaa naam kaaghaz par ye main jo tujh se talab kar rahaa huun shahpar-e-nur main teri baat na likkhungaa 'aam kaaghaz par kabhi to de use shaffaaf paaniyon kaa maqaam kabhi to aa mire maah-e-tamaam kaaghaz par ye misra'-misra' udaasi utar rahi hai yahaan ki apne pankh giraati hai shaam kaaghaz par"
گزر رہی ہے اداسی کی شام کاغذ پر میں آج رات کروں گا قیام کاغذ پر میں لکھنا چاہتا ہوں اور یہ بھی چاہتا ہوں کہ ہو نہ جائے مرا دکھ تمام کاغذ پر تمہاری یاد بھی کیا ہے کہ شام پڑتے ہی پڑاؤ کرتی ہے دل میں خرام کاغذ پر بہت دنوں سے ادھر تتلیاں نہ آتی تھیں میں لکھ کے بیٹھ گیا اس کا نام کاغذ پر یے میں جو تجھ سے طلبؔ کر رہا ہوں شہ پر نور میں تیری بات نہ لکھوں گا عام کاغذ پر کبھی تو دے اسے شفاف پانیوں کا مقام کبھی تو آ مرے ماہ تمام کاغذ پر یہ مصرع مصرع اداسی اتر رہی ہے یہاں کہ اپنے پنکھ گراتی ہے شام کاغذ پر
गुज़र रही है उदासी की शाम काग़ज़ पर मैं आज रात करूँगा क़याम काग़ज़ पर मैं लिखना चाहता हूँ और ये भी चाहता हूँ कि हो न जाए मिरा दुख तमाम काग़ज़ पर तुम्हारी याद भी क्या है कि शाम पड़ते ही पड़ाव करती है दिल में ख़िराम काग़ज़ पर बहुत दिनों से इधर तितलियाँ न आती थीं मैं लिख के बैठ गया उस का नाम काग़ज़ पर ये मैं जो तुझ से तलब कर रहा हूँ शहपर-ए-नूर मैं तेरी बात न लिक्खूंगा 'आम काग़ज़ पर कभी तो दे उसे शफ़्फ़ाफ़ पानियों का मक़ाम कभी तो आ मिरे माह-ए-तमाम काग़ज़ पर ये मिसरा'-मिसरा' उदासी उतर रही है यहाँ कि अपने पंख गिराती है शाम काग़ज़ पर

More by Abbas Tabish
View all →"khud ko be-shak mire aa'saab pe taari na samajh lekin ai 'ishq mujhe 'ishq se 'aari na samajh tujh se maangaa hai zarurat ke 'alaava tujh ko tu mujhe dost samajh dost bhikaari na samajh sag-e-aavaara ki aavaaz mein aavaaz milaa raat ko raat samajh vaqt-guzaari na samajh main guzar jaaungaa maqtal se bagule ki tarah tu mire raqs ko zaalim miri baari na samajh"
"koi Takraa ke subuk-sar bhi to ho saktaa hai meri taamir mein patthar bhi to ho saktaa hai kyuun na ai shakhs tujhe haath lagaa kar dekhun tu mire vahm se baDh kar bhi to ho saktaa hai tu hi tu hai to phir ab jumla jamaal-e-duniyaa teraa shak aur kisi par bhi to ho saktaa hai ye jo hai phuul hatheli pe ise phuul na jaan meraa dil jism se baahar bhi to ho saktaa hai shaakh par baiThe parinde ko uDaane vaale peD ke haath mein patthar bhi to ho saktaa hai kyaa zaruri hai ki baahar hi numu ho meri meraa khilnaa mire andar bhi to ho saktaa hai ye jo hai ret kaa Tiila mire qadmon ke tale koi dam mein mire uupar bhi to ho saktaa hai kyaa zaruri hai ki ham haar ke jitein 'taabish' ishq kaa khel baraabar bhi to ho saktaa hai"
"chamkegaa shajar par na mire ghar mein rahegaa vo chaand hai aur chaand samundar mein rahegaa ab saanp ke maanand mire pichhe paDaa hai shab ko yahi saaya mire paikar mein rahegaa khvaahish ko khudaa rizq baham kartaa hai dil mein lagtaa hai ye kiiDaa isi patthar mein rahegaa aae hain to sustaa ke chale jaaeinge panchhi vo peD isi tarh isi ghar mein rahegaa taare bhi to mehvar se nikal jaate hain pyaare aakhir koi kab tak tire chakkar mein rahegaa"
"isi liye to ye shaamein ujaDne lagti hain ki lau baDhaa ke havaaein sukaDne lagti hain main kaise apne tavaazun ko barqaraar rakhun qadam jamaaun to saansein ukhaDne lagti hain yunhi nahin mujhe dariyaa ko dekhne se gurez sunaa hai paani mein shaklein bigaDne lagti hain isi liye to havaa apne ghar nahin jaati ki us ke baa'd ye galiyaan ujaDne lagti hain rahein khamosh to honTon se khuun Tapaktaa hai karein kalaam to khaalein udhaDne lagti hain agar main saans bhi aahista se na luun 'taabish' mire badan mein daraaDein si paDne lagti hain"
"yuun to shiraaza-e-jaan kar ke baham uThte hain baiThne lagtaa hai dil junhi qadam uThte hain ham to is razm-gah-e-vaqt mein rahte hain jahaan haath kaT jaaein to daanton se alam uThte hain sahl angaar-tabiat kaa buraa ho jis se naaz uThte hain tire aur na sitam uThte hain koi raunde to uThaate hain nigaahein apni varna miTTi ki tarah raah se kam uThte hain niind jaati hi nahin arz-e-hunar se aage daftar-e-gham hi sadaa kar ke raqam uThte hain din ki aaghosh-e-razaaat se nikal kar 'taabish' raat ki raat kaf-e-khaak se ham uThte hain"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"