SHAWORDS

haathon mein talkh jaam liyaa aur so gae — Hasrat Shadani

HomeHasrat ShadaniGhazal
"haathon mein talkh jaam liyaa aur so gae ham ne tumhaaraa naam liyaa aur so gae be-khvaabiyon mein kaT gai shab to ba-vaqt-e-subh naakaamiyon se kaam liyaa aur so gae shiraaza-e-hayaat junun mein bikhar gayaa yuun khud se intiqaam liyaa aur so gae us bevafaa ki yaad jo aai shab-e-firaaq haathon se dil ko thaam liyaa aur so gae 'hasrat' ko khud se mil na saki jab rah-e-faraar zauq-e-junun se kaam liyaa aur so gae"
Urdu

ہاتھوں میں تلخ جام لیا اور سو گئے ہم نے تمہارا نام لیا اور سو گئے بے خوابیوں میں کٹ گئی شب تو بہ وقت صبح ناکامیوں سے کام لیا اور سو گئے شیرازۂ حیات جنوں میں بکھر گیا یوں خود سے انتقام لیا اور سو گئے اس بے وفا کی یاد جو آئی شب فراق ہاتھوں سے دل کو تھام لیا اور سو گئے حسرتؔ کو خود سے مل نہ سکی جب رہ فرار ذوق جنوں سے کام لیا اور سو گئے

Hindi

हाथों में तल्ख़ जाम लिया और सो गए हम ने तुम्हारा नाम लिया और सो गए बे-ख़्वाबियों में कट गई शब तो ब-वक़्त-ए-सुब्ह नाकामियों से काम लिया और सो गए शीराज़ा-ए-हयात जुनूँ में बिखर गया यूँ ख़ुद से इंतिक़ाम लिया और सो गए उस बेवफ़ा की याद जो आई शब-ए-फ़िराक़ हाथों से दिल को थाम लिया और सो गए 'हसरत' को ख़ुद से मिल न सकी जब रह-ए-फ़रार ज़ौक़-ए-जुनूँ से काम लिया और सो गए

hāthoñ meñ talḳh jaam liyā aur so ga.e
Hasrat Shadani
Hasrat Shadani
Hasrat Shadani
poet17 quotes

More by Hasrat Shadani

View all →
Quote
"junun ba-khair har aafat se kaamraan nikle talaash-e-manzil-e-jaanaan mein ham jahaan nikle ham aa gae rasan-o-daar tak mohabbat mein tumhaare qaul faqat zeb-e-daastaan nikle sitam-shiaaron ne har ik sitam ke baad kahaa hamaare dil ke abhi hausle kahaan nikle nikalnaa un kaa sajaa kar vo maang mein afshaan ki jaise shab mein sitaaron kaa kaarvaan nikle na jaane kaun si taaqat thi jis ne rok diyaa junun ki raah mein ham jab bhi naa-gahaan nikle miri tabaahi kaa afsaana ban gae hamdam vo baal-o-par jo pas-e-shaakh-e-aashiyaan nikle lagaa ke khaana-e-'hasrat' mein aag kahte hain is aag se na kabhi dekhnaa dhuaan nikle"
Hasrat ShadaniHasrat Shadani
Quote
"bezaar khud na hote agar zindagi se ham ai zabt-e-gham fareb na khaate kisi se ham thaa arsa-e-hayaat mohabbat mein ham pe tang karte rahe nibaah magar zindagi se ham shaayad nigaah-e-lutf hamaari taraf bhi ho yuun tak rahe hain aaj unhein be-kasi se ham le aai be-khudi ye hamein kis maqaam par maalum ho rahe hain jahaan ajnabi se ham jab tak na de najaat gham-e-zindagi hamein laDte raheinge kashmakash-e-zindagi se ham ai bevafaa vafaa kaa hamaari na de javaab tujh ko samajh rahe hain tiri be-rukhi se ham 'hasrat' ko tu ne raah-e-mohabbat mein kho diyaa baaz aae khizr-e-raah tiri rahbari se ham"
Hasrat ShadaniHasrat Shadani
Quote
"ghunchon ne dahan khole kaliyon ne li angDaai yuun sehn-e-gulistaan mein chupke se bahaar aai duniyaa use kahti hai phir kis liye saudaai jo khud hi ho divaana aur khud hi tamaashaai kyunkar na karun ai dil us gham ki paziraai ghurbat mein yahi to hai ik monis-e-tanhaai kahte na the ik din vo maail-ba-karam honge ye zabt ki aadat hi aakhir mire kaam aai har gaam rukaavaT hai haail rah-e-manzil mein hoti hai musaafir ki yuun hausla-afzaai kyun-kar na zamaane ki aankhon se chhapaaun main har chiiz se pyaari hai mujh ko miri tanhaai 'hasrat' rah-e-ulfat mein aakhir vo maqaam aaya lene ke liye mujh ko manzil mire paas aai"
Hasrat ShadaniHasrat Shadani
Quote
"mehrbaani hai ye chashm-e-yaar ki maut bar-haq hai dil-e-bimaar ki vajh bhi zaahir karein inkaar ki kuchh to gunjaaish ho istifsaar ki pal mein taariki hai pal mein raushni shakl hai ye mukhtalif advaar ki aadmi ho zindagi mein surkh-ru laaj rah jaae agar pindaar ki paikar-e-husn-e-adaa hai jis ki zaat dil mein chaahat hai usi dildaar ki khaana-e-dil se kahaan jaaeinge aap had muqarrar hai dar-o-divaar ki ho chuki 'hasrat' bahut din shaaeri fikr karni hai tujhe ghar-baar ki"
Hasrat ShadaniHasrat Shadani
Quote
"mujhe khaa hi gayaa apnon kaa gham aahista aahista ye dil hotaa gayaa vaqf-e-alam aahista aahista baDhaae jaaiye mashq-e-sitam aahista aahista ye dil bhi ho chalaa maanus-e-gham aahista aahista ba-in-raftaar niklegaa tire iqbaal kaa suraj ayaan hotaa hai jaise subh-dam aahista aahista kabhi un ki taraf-daari kabhi mujh se vafaadaari khulaa jaataa hai ab un kaa bharam aahista aahista suneinge ab unhin do tiin sharton par miraa qissa bayaan-e-mukhtasar ho kam se kam aahista aahista karein is raaz ki uqda-kushaai aasmaan vaale gire jaate hain kyon pasti mein ham aahista aahista bhalaa kyunkar na uTh jaae vaqaar-e-aadmi 'hasrat' uThi duniyaa se jab rasm-e-karam aahista aahista"
Hasrat ShadaniHasrat Shadani
Quote
"najaat gham se nahin hai mumkin mafar alam se kabhi nahin hai agar yahi ziist hai to is se nibaah kuchh dil-lagi nahin hai khudaa ko jaane khudaa na maane vo bandagi bandagi nahin hai jo dard-e-qaum-o-vatan na jaane vo shaaeri shaaeri nahin hai jo ik ishaare pe miT na jaae vo aadmi aadmi nahin hai jo dusron ke na kaam aae vo zindagi zindagi nahin hai bahaar aai to hai chaman mein khizaan kaa lekin mizaaj le kar fasurda gul hain udaas ghunche shagufta koi kali nahin hai gunaah kyon ziist ho na apni tabaah aalam na ho to kyun-kar jis auj par aadmi thaa pahle us auj par aadmi nahin hai sabaa ba-sad-ehtiraam un ko salaam kahnaa payaam kahnaa abhi se aa kar vo kyaa kareinge abhi to mahfil saji nahin hai yahi hai 'hasrat' kalaam meraa miTaa andheraa huaa saveraa kahin bhi ab tirgi nahin hai koi bhi dil ab dukhi nahin hai"
Hasrat ShadaniHasrat Shadani

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer