SHAWORDS

hadd-e-parvaaz-e-jamaal aap ki angDaai hai — Maqbool Naqsh

HomeMaqbool NaqshGhazal
"hadd-e-parvaaz-e-jamaal aap ki angDaai hai is se aage mire ehsaas ki raanaai hai ab safar aur bhi dushvaar huaa ham-safaro tirgi raah ki zehnon mein simaT aai hai the jo mahbus to aafaaq-nigaahi thi nasib hue aazaad to har chiiz ilaaqaai hai ham kabhi roe the jis baat pe pahron ai 'naqsh' aaj us baat pe rah rah ke hansi aai hai"
Urdu

حد پرواز جمال آپ کی انگڑائی ہے اس سے آگے مرے احساس کی رعنائی ہے اب سفر اور بھی دشوار ہوا ہم سفرو تیرگی راہ کی ذہنوں میں سمٹ آئی ہے تھے جو محبوس تو آفاق نگاہی تھی نصیب ہوئے آزاد تو ہر چیز علاقائی ہے ہم کبھی روئے تھے جس بات پہ پہروں اے نقشؔ آج اس بات پہ رہ رہ کے ہنسی آئی ہے

Hindi

हद्द-ए-पर्वाज़-ए-जमाल आप की अंगड़ाई है इस से आगे मिरे एहसास की रा'नाई है अब सफ़र और भी दुश्वार हुआ हम-सफ़रो तीरगी राह की ज़ेहनों में सिमट आई है थे जो महबूस तो आफ़ाक-निगाही थी नसीब हुए आज़ाद तो हर चीज़ इलाक़ाई है हम कभी रोए थे जिस बात पे पहरों ऐ 'नक़्श' आज उस बात पे रह रह के हँसी आई है

hadd-e-parvāz-e-jamāl aap kī añgḌā.ī hai
Maqbool Naqsh
Maqbool Naqsh
Maqbool Naqsh
poet8 quotes

More by Maqbool Naqsh

View all →
Quote
"dil kaa ik ik daagh sham-e-zer-e-daamaan ho gayaa ham jahaan pahunche vahin jashn-e-charaaghaan ho gayaa chaak-e-dil ki baat thi chaak-e-jigar ki baat thi muft mein rusvaa miraa chaak-e-garebaan ho gayaa raqs kar yuun ek ik band-e-anaasir TuuT jaae ai junun paabandiyon se dil pareshaan ho gayaa kis se puchhun irtiqaa ki kaun si manzil hai ye aadmi khud aadmi kaa dushman-e-jaan ho gayaa chhoDiye afsaana-e-insaan ko insaan ab kahaan vo to bechaara halaak-e-kufr-o-imaan ho gayaa phuul mahrum-e-tabassum aur sabaa maazur-e-raqs ye gulistaan kyaa huaa ai 'naqsh' zindaan ho gayaa"
Maqbool NaqshMaqbool Naqsh

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb