SHAWORDS

hadis-e-ahd-e-guzishta hai ham-nashinon mein — Abdul Malik Soz

"hadis-e-ahd-e-guzishta hai ham-nashinon mein chhalak rahi hai sharaab aaj aabginon mein niyaaz-mandi-e-yaktaa-e-husn ke mujib hamaare naam kaa charchaa hai naazninon mein qafas ki tiliyaan ham phunkne ko ai sayyaad chhupaa ke bijliyaan laae hain apne sinon mein hai khud-farebi-e-zaahid ki muntahaa yaani zabaan pe naam-e-khudaa but hain aastinon mein bapaa hai hashr kaa tufaan bahr-e-hasti mein hain mahv-e-khvaab magar naakhudaa safinon mein vo 'soz' aaj samaae hue hain saanson mein kabhi khayaal mein aate the jo mahinon mein"
Urdu

حدیث عہد گزشتہ ہے ہم نشینوں میں چھلک رہی ہے شراب آج آبگینوں میں نیاز مندیٔ یکتائے حسن کے موجب ہمارے نام کا چرچا ہے نازنینوں میں قفس کی تیلیاں ہم پھونکنے کو اے صیاد چھپا کے بجلیاں لائے ہیں اپنے سینوں میں ہے خود فریبیٔ زاہد کی منتہا یعنی زباں پہ نام خدا بت ہیں آستینوں میں بپا ہے حشر کا طوفان بحر ہستی میں ہیں محو خواب مگر ناخدا سفینوں میں وہ سوزؔ آج سمائے ہوئے ہیں سانسوں میں کبھی خیال میں آتے تھے جو مہینوں میں

Hindi

हदीस-ए-अह्द-ए-गुज़िश्ता है हम-नशीनों में छलक रही है शराब आज आबगीनों में नियाज़-मंदी-ए-यकता-ए-हुस्न के मूजिब हमारे नाम का चर्चा है नाज़नीनों में क़फ़स की तीलियाँ हम फूँकने को ऐ सय्याद छुपा के बिजलियाँ लाए हैं अपने सीनों में है ख़ुद-फ़रेबी-ए-ज़ाहिद की मुंतहा यानी ज़बाँ पे नाम-ए-ख़ुदा बुत हैं आस्तीनों में बपा है हश्र का तूफ़ान बहर-ए-हस्ती में हैं महव-ए-ख़्वाब मगर नाख़ुदा सफ़ीनों में वो 'सोज़' आज समाए हुए हैं साँसों में कभी ख़याल में आते थे जो महीनों में

hadīs-e-ahd-e-guzishta hai ham-nashīnoñ meñ
Abdul Malik Soz
Abdul Malik Soz
Abdul Malik Soz
poet19 quotes

More by Abdul Malik Soz

View all →
Quote
"kuchh hasin yaadein bhi hain dida-e-nam ke saath saath zindagi mein husn bhi goyaa hai gham ke saath saath dil tire hamraah jaataa hai ki paayaa jaataa hai naqsh-e-dil meraa tire naqsh-e-qadam ke saath saath us ke saae ki tarah dekhaa nahin us se judaa ham ne to yazdaan ko paayaa hai sanam ke saath saath taaki huun donon ki lazzat se baraabar mustafid vo karam farmaate rahte hain sitam ke saath saath 'soz' un ki chaah mein ham ne sadaa mahsus ki ek anjaani soz-e-gham ke saath saath"
Abdul Malik SozAbdul Malik Soz
Quote
"fareb-e-yaas khaa jaaein sitaaro jaagte rahnaa jo ham dhoke mein aa jaaein sitaaro jaagte rahnaa shab-e-vaada shab-e-gham ki tarah kuchh aur ruk jaao vo mumkin hai ki aa jaaein sitaaro jaagte rahnaa kahin aisaa na ho vo bhi na aaein tum bhi so jaao andhere phir na chhaa jaaein sitaaro jaagte rahnaa tumhein to yaad hogaa kis tarah ham jaagaa karte the vo shaayad tum se paa jaaein sitaaro jaagte rahnaa shab-e-aakhir hai shaayad aaj ham ko niind aa jaae agar ham Dagmagaa jaaein sitaaro jaagte rahnaa kabhi to 'soz' yaad aaegaa un ko vo bhi jaageinge tumhein itnaa bataa jaaein sitaaro jaagte rahnaa"
Abdul Malik SozAbdul Malik Soz

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer