SHAWORDS

hain kaam-kaaj itne badan se lipaT gae — Zeeshaan Sajid

HomeZeeshaan SajidGhazal
"hain kaam-kaaj itne badan se lipaT gae logon ke shahr-bhar se ravaabit hi kaT gae manzar the duur duur to kitne hasin the tasvir zoom ki hai to pixel hi phaT gae chehre jhulas chuke hain tamaashaa-e-ishq mein ai 'ishq kis tarah tire meaar ghaT gae main khvaab khaamushi miraa saaya hue hain jama jab log apne apne girohon mein baT gae qudrat kaa canvas na mukammal dikhaai de kitne hi rang meri nigaahon se haT gae ik zahr hai samaaj ke andar bharaa huaa itni samog hai ki tanaffus ulaT gae aankhein bhulaa chuki hain khad-o-khaal-e-raushni baadal to aasmaan se kab ke hain chhaT gae 'zishaan' use khayaal mein rakkhaa thaa mustaqil aahistagi se baaqi khayaalaat haT gae"
Urdu

ہیں کام کاج اتنے بدن سے لپٹ گئے لوگوں کے شہر بھر سے روابط ہی کٹ گئے منظر تھے دور دور تو کتنے حسین تھے تصویر زوم کی ہے تو پکسل ہی پھٹ گئے چہرے جھلس چکے ہیں تماشائے عشق میں اے عشق کس طرح ترے معیار گھٹ گئے میں خواب خامشی مرا سایہ ہوئے ہیں جمع جب لوگ اپنے اپنے گروہوں میں بٹ گئے قدرت کا کینوس نہ مکمل دکھائی دے کتنے ہی رنگ میری نگاہوں سے ہٹ گئے اک زہر ہے سماج کے اندر بھرا ہوا اتنی سموگ ہے کہ تنفس الٹ گئے آنکھیں بھلا چکی ہیں خد و خال روشنی بادل تو آسمان سے کب کے ہیں چھٹ گئے ذیشانؔ اسے خیال میں رکھا تھا مستقل آہستگی سے باقی خیالات ہٹ گئے

Hindi

हैं काम-काज इतने बदन से लिपट गए लोगों के शहर-भर से रवाबित ही कट गए मंज़र थे दूर दूर तो कितने हसीन थे तस्वीर ज़ूम की है तो पिक्सल ही फट गए चेहरे झुलस चुके हैं तमाशा-ए-इश्क़ में ऐ 'इश्क़ किस तरह तिरे मेआ'र घट गए मैं ख़्वाब ख़ामुशी मिरा साया हुए हैं जम्अ' जब लोग अपने अपने गिरोहों में बट गए क़ुदरत का कैनवस न मुकम्मल दिखाई दे कितने ही रंग मेरी निगाहों से हट गए इक ज़हर है समाज के अंदर भरा हुआ इतनी समोग है कि तनफ़्फ़ुस उलट गए आँखें भुला चुकी हैं ख़द-ओ-ख़ाल-ए-रौशनी बादल तो आसमान से कब के हैं छट गए 'ज़ीशान' उसे ख़याल में रक्खा था मुस्तक़िल आहिस्तगी से बाक़ी ख़यालात हट गए

haiñ kām-kāj itne badan se lipaT ga.e
Z
Zeeshaan Sajid
Zeeshaan sajid
poet4 quotes

More by Zeeshaan Sajid

View all →
Quote
"kaam itne hain ki aaraam nahin jaante hain log ye sab se aham kaam nahin jaante hain facebōk par hain mire jaanne vaale laakhon mere ham-saae miraa naam nahin jaante hain ishq mein zehn ko taklif na di dil ki suni ham usi vaaste anjaam nahin jaante hain hamein bas itnaa pataa hai ki khudaa hotaa hai ham in aqsaam ki aqsaam nahin jaante hain sab ne cigarette ki tarah munh se lagaa li duniyaa hai nasha itnaa ki anjaam nahin jaante hain de to sakte hain sabhi jaan khudaa ki khaatir par khudaavand ke ahkaam nahin jaante hain main ki logon mein bahut kam hi rahaa huun 'zishaan' is liye log mujhe aam nahin jaante hain"
Z
Zeeshaan Sajid
Quote
"jal-pari hai to vo taskhir bhi ho sakti hai khvaab hotaa hai to taabir bhi ho sakti hai zindagi ko zaraa shatranj samajh kar dekho mere jhuk jaane mein tadbir bhi ho sakti hai masale mujh ko miTaane hi kaa saamaan nahin masalon se miri taamir bhi ho sakti hai yaar maalum havaa hai ki khalaa khaali nahin raat aaine mein tasvir bhi ho sakti hai zindagi film nahin jis kaa ho anjaam hasin surat-e-haal ye gambhir bhi ho sakti hai is se behtar hai ki ham saamne laaein ulfat kuchh nahin hone ki tashhir bhi ho sakti hai zimmedaari bhi dafaatir mein taraqqi se baDhe aap ki tie to zanjir bhi ho sakti hai saare jaale hain vajuhaat ke jaale lekin ye jo makDi hai ye taqdir bhi ho sakti hai vaqt ke saath nikhar jaataa hai takhliq kaa fan shaam-e-'zishaan' shab-e-'mir' bhi ho sakti hai"
Z
Zeeshaan Sajid
Quote
"vaqt ki barf hai har taur pighalne vaali din bhi hai zer-e-safar shaam bhi Dhalne vaali ishq saae ki tarah saath chipak jaataa hai ye balaa to na kisi taur hai Talne vaali ham vo pahiye jo agar saath baraabar na chale ek meter bhi ye gaaDi nahin chalne vaali ek dhaDkaa hai mire dil ko khabardaari kaa ek khvaahish hai mire zehn mein palne vaali zard kah kar nazar-andaaz kiyaa thaa jis ko ab vahi shaakh hui phulne-phalne vaali hai ajab vaqt ki holi ki har ik chakkar par suui chehre pe nayaa rang hai malne vaali daaera toDaa to hairat hi dar aai 'zishaan' ab ye hairat nahin andar se nikalne vaali"
Z
Zeeshaan Sajid

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb