SHAWORDS

ham buzurgon se Darne vaale hain — Ahmad Muneeb

HomeAhmad MuneebGhazal
"ham buzurgon se Darne vaale hain vaaqiatan bichhaDne vaale hain raat hote hi niind aati hai yaani sab khvaab marne vaale hain vo bhi khud ko sudhaar baiThi hai aur ham bhi sudharne vaale hain koi imkaan to nahin phir bhi us gali se guzarne vaale hain meri dahliz se aDe jugnu teri chaukhaT pe marne vaale hain ishq nuqsaan uThaaegaa 'ahmad' aap ham se mukarne vaale hain"
Urdu

ہم بزرگوں سے ڈرنے والے ہیں واقعۃً بچھڑنے والے ہیں رات ہوتے ہی نیند آتی ہے یعنی سب خواب مرنے والے ہیں وہ بھی خود کو سدھار بیٹھی ہے اور ہم بھی سدھرنے والے ہیں کوئی امکان تو نہیں پھر بھی اس گلی سے گزرنے والے ہیں میری دہلیز سے اڑے جگنو تیری چوکھٹ پہ مرنے والے ہیں عشق نقصان اٹھائے گا احمدؔ آپ ہم سے مکرنے والے ہیں

Hindi

हम बुज़ुर्गों से डरने वाले हैं वाक़िआतन बिछड़ने वाले हैं रात होते ही नींद आती है या'नी सब ख़्वाब मरने वाले हैं वो भी ख़ुद को सुधार बैठी है और हम भी सुधरने वाले हैं कोई इम्कान तो नहीं फिर भी उस गली से गुज़रने वाले हैं मेरी दहलीज़ से अड़े जुगनू तेरी चौखट पे मरने वाले हैं इश्क़ नुक़सान उठाएगा 'अहमद' आप हम से मुकरने वाले हैं

ham buzurgoñ se Darne vaale haiñ
Ahmad Muneeb
Ahmad Muneeb
Ahmad Muneeb
poet16 quotes

More by Ahmad Muneeb

View all →
Quote
"yaadon kaa ik dipak dil mein baiTh ke roz jalaataa huun dekh ke teri tasviron ko rotaa hanstaa gaataa huun momin aisaa huun ki pahle jaam pe jaam lagaataa huun jaa ke phir sajde mein rab ko apnaa haal sunaataa huun hijr ne tere haalat meri aisi kar di hai ke ab do din soyaa rahtaa huun aur do din kaam pe jaataa huun dariyaa suraj chaand sitaare qaus-o-quzah sab apni jagah lekin vo ik lamha jab main tujh se haath milaataa huun aadhi shab kaa sannaaTaa hai us mein jugnu aur ik jhiil aise manzar dekh ke aksar khud mein gum ho jaataa huun ishq vahi sachchaa hai jis mein manzil ki tamsil na ho aise vaise jumle kah kar khud ko main bahlaataa huun"
Ahmad MuneebAhmad Muneeb

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri