SHAWORDS

hamaari aankh mein paani nahin hai — Arshad Aziz

HomeArshad AzizGhazal
"hamaari aankh mein paani nahin hai ye sahraai hai baaraani nahin hai yahaan jiinaa zaraa dushvaar hogaa yahaan marne ki aasaani nahin hai agar is kaa koi saani nahin hai to phir ye kam pareshaani nahin hai hamein aaraam aataa bhi to kaise hamaari choT jismaani nahin hai nahin mumkin miraa aabaad honaa ki viraani si viraani nahin hai tujhe sun kar pareshaani to hogi mujhe koi pareshaani nahin hai"
Urdu

ہماری آنکھ میں پانی نہیں ہے یہ صحرائی ہے بارانی نہیں ہے یہاں جینا ذرا دشوار ہوگا یہاں مرنے کی آسانی نہیں ہے اگر اس کا کوئی ثانی نہیں ہے تو پھر یہ کم پریشانی نہیں ہے ہمیں آرام آتا بھی تو کیسے ہماری چوٹ جسمانی نہیں ہے نہیں ممکن مرا آباد ہونا کہ ویرانی سی ویرانی نہیں ہے تجھے سن کر پریشانی تو ہوگی مجھے کوئی پریشانی نہیں ہے

Hindi

हमारी आँख में पानी नहीं है ये सहराई है बारानी नहीं है यहाँ जीना ज़रा दुश्वार होगा यहाँ मरने की आसानी नहीं है अगर इस का कोई सानी नहीं है तो फिर ये कम परेशानी नहीं है हमें आराम आता भी तो कैसे हमारी चोट जिस्मानी नहीं है नहीं मुमकिन मिरा आबाद होना कि वीरानी सी वीरानी नहीं है तुझे सुन कर परेशानी तो होगी मुझे कोई परेशानी नहीं है

hamārī aañkh meñ paanī nahīñ hai
Arshad Aziz
Arshad Aziz
Arshad Aziz
poet8 quotes

More by Arshad Aziz

View all →
Quote
"apne andar kaa kuchh ubaal nikaal ai sukhanvar nayaa khayaal nikaal log malbe tale dabe hue hain chhoD kaaghaz qalam kudaal nikaal tu bahut vaqt le chukaa hai miraa ab mire roz-o-maah-o-saal nikaal yaa miri baat kaa javaab banaa yaa mire zehn se savaal nikaal dekhtaa huun main teri shishagari chal zaraa aaine se baal nikaal joD aainda ko guzishta se aur is mein se meraa haal nikaal is ko chun-o-charaa pasand nahin hai apni baaton se qil-o-qaal nikaal main tire saamne paDaa huaa huun aaine mere khadd-o-khaal nikaal tu to kahtaa thaa sainkaDon hain 'aziz' chal koi ek hi nikaal nikaal"
Arshad AzizArshad Aziz
Quote
"tumhaari basti mein kaarkhaana lagaa huaa hai hamaare jaison kaa aab-o-daana lagaa huaa hai yahaan koi chiiz bhi nahin ho rahi hai taamir ye sab abas toDnaa banaanaa lagaa huaa hai miri ravish to zamaane se thoDi mukhtalif hai mire taaaqub mein kyon zamaana lagaa huaa hai ik aise ghoDe ki baag haathon mein di gai hai jise muqaddar kaa taaziyaana lagaa huaa hai main raat ke aakhiri pahar se ye kah rahaa huun ki mez par dopahar kaa khaanaa lagaa huaa hai vo kyaa ki sab tishna-kaamiyaan juun ki tuun paDi hain ye kyaa ki dariyaa kaa aabyaana lagaa huaa hai udhar kisi aur hi zamaane kaa tai huaa thaa idhar koi aur hi zamaana lagaa huaa hai hai ruh-parvar 'aziz' ye jaankani kaa aalam ki yaar logon kaa aanaa jaanaa lagaa huaa hai"
Arshad AzizArshad Aziz
Quote
"jo bhi hai ranj-o-gham khatm ho jaaegaa us se karvaao dam khatm ho jaaegaa khud mein itni ziyaada havaa mat bharo saans kaa zer-o-bam khatm ho jaaegaa khvaab ki fasl hi gar jalaa di gai to ilaaqe se nam khatm ho jaaegaa ek aavaaz aaegi bas aur phir silsila ek dam khatm ho jaaegaa mere gham se zaraa vaaqafiyyat baDhaa dekhnaa teraa gham khatm ho jaaegaa apni mushkil bataataa nahin main use meraa saaraa bharam khatm ho jaaegaa apne hone ki itni dalilein na de tu khudaa ki qasam khatm ho jaaegaa kyaa muqaddar mein chhoTi si tarmim se baam-e-lauh-o-qalam khatm ho jaaegaa mere naqsh-e-qadam par na chalnaa 'aziz' meraa naqsh-e-qadam khatm ho jaaegaa"
Arshad AzizArshad Aziz
Quote
"tere divaane kaa hosh mein aanaa Thiik nahin log vagarna samjheinge mai-khaana Thiik nahin aankh milaao khvaab se lekin itnaa yaad rahe ik patthar kaa shishe se Takraanaa Thiik nahin sar mein saudaa hai saudaai dasht ki had mein rah is haalat mein shahr ki jaanib jaanaa Thiik nahin divaaron kaa khiDki se yaaraana hotaa hai in ko apne dil ki baat bataanaa Thiik nahin is ko halke bhaari kaa bhi farq nahin maalum paimaane ko Thiik karo paimaana Thiik nahin ab to mushkil mushkil mein hi Daale rakkhegi kahtaa thaa naan mushkil mein ghabraanaa Thiik nahin 'arshad' aaj vo puuri tayyaari se aaegaa dekho aaj tumhaaraa baahar jaanaa Thiik nahin"
Arshad AzizArshad Aziz
Quote
"maqaam-e-zaat kyaa hai lan-taraani kis ko kahte hain khudaa hi jaantaa hai did-baani kis ko kahte hain banaa jab main sanaa-khvaan-e-mohammad to khulaa mujh par karam shafqat inaayat mehrbaani kis ko kahte husain ibn-e-ali ne ahal-e-maktab ko bataayaa hai sinaan ki nok par quraan-khvaani kis ko kahte hain agar dariyaa se hi us ki vazaahat ho nahin paai to pyaasaa kyaa bataaegaa ki paani kis ko kahte hain jo khud ko daaiyaan-e-hurriyat kahte nahin thakte unhein puchhein zaraa burhaan-vaani kis ko kahte hain tumhaari aankh par aayaa savaal urdu ke parche mein bataao laajvardi arghavaani kis ko kahte hain uThaayaa dosh-e-mizhgaan par jo baar-e-khvaab to jaanaa giraani kyaa balaa hai naa-tavaani kis ko kahte hain abhi aa jaaeinge le kar sabhi asbaab mahshar ke main yunhi puchh baiThaa thaa javaani kis ko kahte hain sahar se peshtar jis ki basaarat chhin gai 'arshad' vahi samjhaa sakegaa raaegaani kis ko kahte hain"
Arshad AzizArshad Aziz

More on Maa

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud