SHAWORDS

hanste hanste kah di baat — Paikar Yazdani

HomePaikar YazdaniGhazal
"hanste hanste kah di baat tum ne aakhir kaDvi baat mere liye patthar ki lakir kaanp ke munh se nikli baat barson baa'd bhi lagtaa hai jaise ho kal hi ki baat pal mein lahja badal gayaa dekhi tum ne us ki baat aankhon mein chehra un kaa dil mein ik ik ann ki baat 'paikar' aisaa jhuuT na bol lagne lage jo sachchi baat"
Urdu

ہنستے ہنستے کہہ دی بات تم نے آخر کڑوی بات میرے لئے پتھر کی لکیر کانپ کے منہ سے نکلی بات برسوں بعد بھی لگتا ہے جیسے ہو کل ہی کی بات پل میں لہجہ بدل گیا دیکھی تم نے اس کی بات آنکھوں میں چہرہ ان کا دل میں اک اک ان کی بات پیکرؔ ایسا جھوٹ نہ بول لگنے لگے جو سچی بات

Hindi

हँसते हँसते कह दी बात तुम ने आख़िर कड़वी बात मेरे लिए पत्थर की लकीर काँप के मुँह से निकली बात बरसों बा'द भी लगता है जैसे हो कल ही की बात पल में लहजा बदल गया देखी तुम ने उस की बात आँखों में चेहरा उन का दिल में इक इक अन्न की बात 'पैकर' ऐसा झूट न बोल लगने लगे जो सच्ची बात

hañste hañste kah dī baat
Paikar Yazdani
Paikar Yazdani
Paikar Yazdani
poet7 quotes

More by Paikar Yazdani

View all →
Quote
"guzre hai dil pe jo vo kahein kyaa kisi se ham apnon mein ho ke rah gae ik ajnabi se ham is vaaqia kaa tajziya karnaa muhaal hai sahmi hui hai ham se khushi yaa khushi se ham rahne lage khafaa khafaa suraj bhi chaand bhi maanus kyaa hue hain kisi raushni se ham din din hai raat raat hai ye jaanne ke baa'd kaise nibaah karte bhalaa tirgi se ham jaanaa hai us maqaam pe rasta kaThin sahi laaein jo inqalaab koi shaairi se ham ‘paikar’ hamaari shaan ke qatan khilaaf hai aankhein churaa churaa ke jiein zindagi se ham"
Paikar YazdaniPaikar Yazdani
Quote
"nahin apne to begaane bahut hain jahaan mein aaina-khaane bahut hain pareshaan kyon ho mere ham-rikaabo mire gham ko mire shaane bahut hain zamaane bhar ki hujjat ke muqaabil faqat tasbih ke daane bahut hain abhi se aap himmat haar baiThe abhi ilzaam sar aane bahut hain hamein rakkhaa hai kis darje mein saahib sunaa hai aap ke khaane bahut hain kisi ko shaam ki hai fikr laahaq kisi ko shauq farmaane bahut hain isi kaa naam 'paikar' zindagi hai maraahil saamne aane bahut hain"
Paikar YazdaniPaikar Yazdani

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud