SHAWORDS

har chand us ne khugar-e-aazaar kar diyaa — Habeeb Ahmad Siddiqui

"har chand us ne khugar-e-aazaar kar diyaa naghmaat-e-zindagi ko to bedaar kar diyaa maasumiyat nigaah-e-karam ki sitam hui ulfat kaa eatibaar mein izhaar kar diyaa phir us ki yaad aai liye gulsitaan-e-shauq phir aarzu ko tishna-e-didaar kar diyaa us ne ba-yak-nigaah kharide dil-o-jigar hosh-o-khirad ko nazr-e-kharidaar kar diyaa dil ganj-e-be-bahaa sahi lekin tire liye ham ne to sarf-e-raunaq-e-baazaar kar diyaa har jurm-e-ishq fakhr hai mere liye magar us ki nigaahein dekh ke inkaar kar diyaa hasrat bhari nazar vo kisi ki dam-e-vidaaa marnaa bhi mere vaaste dushvaar kar diyaa"
Urdu

ہر چند اس نے خوگر آزار کر دیا نغمات زندگی کو تو بیدار کر دیا معصومیت نگاہ کرم کی ستم ہوئی الفت کا اعتبار میں اظہار کر دیا پھر اس کی یاد آئی لئے گلستان شوق پھر آرزو کو تشنۂ دیدار کر دیا اس نے بہ یک نگاہ خریدے دل و جگر ہوش و خرد کو نذر خریدار کر دیا دل گنج بے بہا سہی لیکن ترے لئے ہم نے تو صرف رونق بازار کر دیا ہر جرم عشق فخر ہے میرے لئے مگر اس کی نگاہیں دیکھ کے انکار کر دیا حسرت بھری نظر وہ کسی کی دم وداع مرنا بھی میرے واسطے دشوار کر دیا

Hindi

हर चंद उस ने ख़ूगर-ए-आज़ार कर दिया नग़्मात-ए-ज़िंदगी को तो बेदार कर दिया मा'सूमियत निगाह-ए-करम की सितम हुई उल्फ़त का ए'तिबार में इज़हार कर दिया फिर उस की याद आई लिए गुल्सितान-ए-शौक़ फिर आरज़ू को तिश्ना-ए-दीदार कर दिया उस ने ब-यक-निगाह ख़रीदे दिल-ओ-जिगर होश-ओ-ख़िरद को नज़्र-ए-ख़रीदार कर दिया दिल गंज-ए-बे-बहा सही लेकिन तिरे लिए हम ने तो सर्फ़-ए-रौनक़-ए-बाज़ार कर दिया हर जुर्म-ए-इश्क़ फ़ख़्र है मेरे लिए मगर उस की निगाहें देख के इंकार कर दिया हसरत भरी नज़र वो किसी की दम-ए-विदाअ' मरना भी मेरे वास्ते दुश्वार कर दिया

har chand us ne ḳhūgar-e-āzār kar diyā
Habeeb Ahmad Siddiqui
Habeeb Ahmad Siddiqui
Habeeb Ahmad Siddiqui
poet61 quotes

More by Habeeb Ahmad Siddiqui

View all →
Quote
"dil mein vo kaifiyat-e-nashsha-e-sahbaa hi nahin darpai-e-hosh nigaah-e-tarab-afzaa hi nahin laala-o-gul mein kashish hai na mah-o-anjum mein ab nigaahon pe hijaabaat-e-tamanna hi nahin is tarah mujh se takhaatub hai ki jaise main ne chashm-e-mushtaaq se un ko kabhi dekhaa hi nahin kyaa bane koi harif-e-nigah-e-sehr-taraaz himmat-afzaa koi dar-parda ishaaraa hi nahin daaman-e-gham bhi kahin chhuT na jaae hamdam zindagi ke liye phir koi sahaaraa hi nahin is qadar khugar-e-bedaad kiyaa duniyaa ne ab mujhe shikva-e-be-mehri-e-duniyaa hi nahin dil hai khuun ruuh hai betaab nazar hai khira ham ye samjhe the ki paadaash-e-tamanna hi nahin chashm-e-mushtaaq se ghabraa gai chashm-e-khandaan meri nazron ko taqaaze kaa saliqa hi nahin kyaa karein gar na jiein kausar-o-tubaa ke liye jin gharibon ke liye raaht-e-duniyaa hi nahin"
Habeeb Ahmad SiddiquiHabeeb Ahmad Siddiqui
Quote
"aur ai chashm-e-tarab baada-e-gulfaam abhi dil hai be-gaana-e-andesha-e-anjaam abhi baada-o-saaqi-o-mutrib kaa na lo naam abhi gard-aalud hai aaina-e-ayyaam abhi dil hai majruh par-o-baal shikasta hamdam daam se chhuT ke bhi huun main tah-e-daam abhi maani-o-maqsad-e-hasti kaa samajhnaa maalum aql hai sirf parastaari-e-auhaam abhi ishrat-e-jalva-e-be-baak mubaarak ai ishq dida-o-dil hain magar tishna-e-paighaam abhi gham nahin sab pe agar chashm-e-karam hai teri gham to ye hai ki sitam bhi hai tiraa aam abhi ai subuk-sair-e-nazar ek payaam-e-rangin hai harif-e-gham-e-dil gardish-e-ayyaam abhi daavat-e-shauq ba-unvaan-e-sitam bhi to nahin us pe ilzaam ki hai jazba-e-dil khaam abhi tu ne kyaa chiiz banaa di nigah-e-sehr-taraaz vo jo thi shisha-e-dil mein mai-e-be-naam abhi zindagi manzil-e-maqsud se aagaah nahin us ki mearaaj hai parvaaz sar-e-baam abhi kis ko ye hosh ki paighaam-e-mohabbat samjhe dil hai vaarafta-e-rangini-e-paighaam abhi"
Habeeb Ahmad SiddiquiHabeeb Ahmad Siddiqui
Quote
"mujhe aamaajgaah-e-naavak-e-bedaad rahne de jo is kaa naam barbaadi hai to barbaad rahne de sarisht-e-ishq lazzat-aashnaa-e-talkh-kaami hai main naashaad-e-tamanna huun mujhe naashaad rahne de nahin jab subha-o-zunnaar ke phande mein giraai mujhe dair-o-haram ke daam se aazaad rahne de abhi se kyon bani jaati hai chashm-e-naaz begaana fareb-e-aarzu kuchh din sitam-ijaad rahne de kiyaa hai kin umidon par faraaham aashiyaan main ne khudaaraa mausam-e-gul tak mire sayyaad rahne de hamein aazaadi-e-fikr-o-nazar kaa iddaaa to hai koi ghaarat-gar-e-imaan agar aazaad rahne de dil-e-barbaad se ye chashmak-e-chashm-e-tarab kyon hai karam-naa-aashnaa ko khugar-e-bedaad rahne de"
Habeeb Ahmad SiddiquiHabeeb Ahmad Siddiqui
Quote
"is kaa to gham nahin dil-e-divaana jal gayaa zaalim ye gham hai teraa sanam-khaana jal gayaa bedaad rashk se dil-e-divaana jal gayaa sad-haif ham na jal gae parvaana jal gayaa shaayad safaa-e-husn mein muzmar thiin ranjishein aaghosh-e-iltifaat mein parvaana jal gayaa saaqi ki chashm-e-naaz se nisbat hai kyaa use bas ik nigaah-e-garm mein paimaana jal gayaa hangaama-e-hayaat huaa khatm us ke saath ab koi kyaa jiye dil-e-divaana jal gayaa aatish sarisht-e-shama hai yaa hai itaab-e-husn ham itnaa jaante hain ki parvaana jal gayaa tere karam se dil pe jo guzri vo kyaa kahein sahbaa-e-aatishin se ye paimaana jal gayaa"
Habeeb Ahmad SiddiquiHabeeb Ahmad Siddiqui
Quote
"yuun tabassum-rez hai dil chashm-e-khandaan dekh kar jaise dariyaa muskuraae maah-e-taabaan dekh kar baargaah-e-naaz mein sar ko jhukaanaa hi paDaa husn ki ranginiyon ko juzv-e-imaan dekh kar in buton ke ishva-e-rangin ki rangin shokhiyaan iltifaat-e-khaas hai mujh ko musalmaan dekh kar go na the naa-aashnaa-e-rasm-o-raah-e-dilbari phir bhi ham khoe gae chashm-e-pashemaan dekh kar zindagi mein quvvat-e-baalidgi aati gai har adaa-e-husn mein ik raaz pinhaan dekh kar husn ki maasumiyat se dil ko hai ummid-e-lutf zer-e-lab khandaan hai koi dil kaa armaan dekh kar be-dili ne toD Daale rang-o-bu ke sab tilism kyaa kare koi bahaar-e-sad-gulistaan dekh kar"
Habeeb Ahmad SiddiquiHabeeb Ahmad Siddiqui
Quote
"bahut latif hai ye mukhtasar jahaan apnaa jigar-navaaz bhi tu tu hi raazdaan apnaa tamaam daulat-e-hasti luTaa ke maangungaa bahaar-e-husn tiri zauq-e-jaavedaan apnaa baham hue hain shanaasaa-e-yak-digar donon nigaah-e-naaz tiri qalb-e-khun-chakaan apnaa shafaq mein sina-e-gul mein junun ki vaadi mein baTaa hai khun-e-jigar bhi kahaan kahaan apnaa ye 'aarzi hi sahi aab-o-rang-e-husn magar luTaa rahi hai khirad in pe kaarvaan apnaa jabin-navaaz hai jalvon ki ye faraavaani kahaan hai aaj sar-e-nang-e-aastaan apnaa navaazishaat-e-guzishta ki ab khayaali hain banaa rahaa huun unhin se main gulistaan apnaa 'ajib zauq-fazaa justuju ki lazzat hai bhaTakne do bhi zaraa der kaarvaan apnaa hazaar kuchh na sahi musht-e-khaak-e-insaan mein 'uruj-e-'arsh pe hai phir bhi aastaan apnaa na suud hi na ziyaan hi na ranj-o-raahat hai hai 'aql-o-hosh ke parde mein imtihaan apnaa hain aashnaa-e-havaadis to khauf-e-barq hi kyaa dikhaa dikhaa ke banaate hain aashiyaan apnaa"
Habeeb Ahmad SiddiquiHabeeb Ahmad Siddiqui

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi