"chalte rahne ke liye dil mein gumaan koi to ho be-natija hi sahi par imtihaan koi to ho aasmaanon ke sitam sahti hain is ke baavajud sab zaminein chaahti hain aasmaan koi to ho mehrbaanon hi se bach kar aae the tum dasht mein ab yahaan bhi lag rahaa hai mehrbaan koi to ho qahqahon ko yaad rakhti hi nahin duniyaa kabhi is liye dukh ki bhi pyaare daastaan koi to ho kar rahaa huun main darakhton se musalsal guftugu is ghane jangal mein 'daanish' ham-zabaan koi to ho"
har ek lamha miri aag mein guzaare koi — Madan Mohan Danish
"har ek lamha miri aag mein guzaare koi phir us ke baad mujhe ishq mein utaare koi main apni guunj ko mahsus karnaa chaahtaa huun utar ke mujh mein mujhe zor se pukaare koi ab aarzu hai vo har shai mein jagmagaane lage bas ek chehre mein kab tak use nihaare koi falak pe chaand-sitaare Tange hain sadiyon se main chaahtaa huun zamin par inhein utaare koi hai dukh to kah do kisi peD se parinde se ab aadmi kaa bharosa nahin hai pyaare koi"
ہر ایک لمحہ مری آگ میں گزارے کوئی پھر اس کے بعد مجھے عشق میں اتارے کوئی میں اپنی گونج کو محسوس کرنا چاہتا ہوں اتر کے مجھ میں مجھے زور سے پکارے کوئی اب آرزو ہے وہ ہر شے میں جگمگانے لگے بس ایک چہرہ میں کب تک اسے نہارے کوئی فلک پہ چاند ستارے ٹنگے ہیں صدیوں سے میں چاہتا ہوں زمیں پر انہیں اتارے کوئی ہے دکھ تو کہہ دو کسی پیڑ سے پرندے سے اب آدمی کا بھروسہ نہیں ہے پیارے کوئی
हर एक लम्हा मिरी आग में गुज़ारे कोई फिर उस के बा'द मुझे इश्क़ में उतारे कोई मैं अपनी गूँज को महसूस करना चाहता हूँ उतर के मुझ में मुझे ज़ोर से पुकारे कोई अब आरज़ू है वो हर शय में जगमगाने लगे बस एक चेहरे में कब तक उसे निहारे कोई फ़लक पे चांद-सितारे टँगे हैं सदियों से मैं चाहता हूँ ज़मीं पर इन्हें उतारे कोई है दुख तो कह दो किसी पेड़ से परिंदे से अब आदमी का भरोसा नहीं है प्यारे कोई

More by Madan Mohan Danish
View all →"zidon ko apni taraasho aur un ko khvaab karo phir us ke baad hi manzil kaa intikhaab karo mohabbaton mein nae qarz chaDhte rahte hain magar ye kis ne kahaa hai kabhi hisaab karo tumhein ye duniyaa kabhi phuul to nahin degi mile hain kaanTe to kaanTon ko hi gulaab karo siyaah raato chamakti nahin hai yuun taqdir uThaao apne charaaghon ko maahtaab karo kai sadaaein Thikaana talaash karti hui fazaa mein guunj rahi hain unhein kitaab karo kisi ke rang mein Dhalnaa hi hai agar 'daanish' to apne aap ko thoDaa bahut kharaab karo"
"tumhaare saath jo bartaa huaa hai vo lamha jas kaa tas rakkhaa huaa hai abhi ye rang jo pahnaa hai tum ne yahi mausam ne bhi pahnaa huaa hai tumhaaraa naam kyon puchhegaa koi yahaan har phuul pe likkhaa huaa hai"
"aadhi aag aur aadhaa paani ham donon jalti-bujhti ek kahaani ham donon mandir masjid girja-ghar aur guru-dvaara lafz kai hain ek ma'aani ham donon ruup badal kar naam badal kar aate hain faani ho kar bhi laa-faani ham donon gyaani dhyaani chatur siyaani duniyaa mein jiite hain apni naadaani ham donon aadhaa aadhaa baanT ke jiite rahte hain raunaq ho yaa ho viraani ham donon nazar lage naa apni jagmag duniyaa ko karte rahte hain nigaraani ham donon khvaabon kaa ik nagar basaa lete hain roz aur ban jaate hain sailaani ham donon tu saavan ki shokh ghaTaa mein pyaasaa ban chal karte hain kuchh man-maani ham donon ik-duje ko roz sunaate hain 'daanish' apni apni raam-kahaani ham donon"
"hai intizaar muqaddar to intizaar karo par apne dil ki fazaa ko bhi khush-gavaar karo tumhaare pichhe lagi hain udaasiyaan kab se kisi paDaav pe ruk kar inhein shikaar karo hamaare khvaabon kaa dar khaTkhaTaati rahti hain tum apni yaadon ko samjhaao hoshiyaar karo bhali lagegi yahi zindagi agar us mein khayaal-o-khvaab ki duniyaa ko bhi shumaar karo bharosa baa'd mein kar lenaa saari duniyaa par tum apne aap pe to pahle e’tibaar karo"
"nafraton se laDo pyaar karte raho apne hone kaa izhaar karte raho itne achchhe banoge to mar jaaoge thoDe dushman bhi tayyaar karte raho zindagi se mohabbat karo TuuT kar maut kaa kaam dushvaar karte raho"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"