Quote
"zidon ko apni taraasho aur un ko khvaab karo phir us ke baad hi manzil kaa intikhaab karo mohabbaton mein nae qarz chaDhte rahte hain magar ye kis ne kahaa hai kabhi hisaab karo tumhein ye duniyaa kabhi phuul to nahin degi mile hain kaanTe to kaanTon ko hi gulaab karo siyaah raato chamakti nahin hai yuun taqdir uThaao apne charaaghon ko maahtaab karo kai sadaaein Thikaana talaash karti hui fazaa mein guunj rahi hain unhein kitaab karo kisi ke rang mein Dhalnaa hi hai agar 'daanish' to apne aap ko thoDaa bahut kharaab karo"
