SHAWORDS

har ik shajar kaa badan be-libaas kar degi — Javed Akram

HomeJaved AkramGhazal
"har ik shajar kaa badan be-libaas kar degi havaa chalegi to manzar udaas kar degi ye zard titli jo phulon ke intizaar mein hai kali khilegi to khushbu udaas kar degi jab aasmaan se farishte zamin pe aaeinge sunahri dhuup unhein bad-havaas kar degi barahna machhliyaan taDpeingi garm saahil par kiran-kiran unhein suraj-shanaas kar degi jab aaftaab samundar mein Duub jaaegaa ye surkh chaandni khaali gilaas kar degi"
Urdu

ہر اک شجر کا بدن بے لباس کر دے گی ہوا چلے گی تو منظر اداس کر دے گی یہ زرد تتلی جو پھولوں کے انتظار میں ہے کلی کھلے گی تو خوشبو اداس کر دے گی جب آسماں سے فرشتے زمیں پہ آئیں گے سنہری دھوپ انہیں بد حواس کر دے گی برہنہ مچھلیاں تڑپیں گی گرم ساحل پر کرن کرن انہیں سورج شناس کر دے گی جب آفتاب سمندر میں ڈوب جائے گا یہ سرخ چاندنی خالی گلاس کر دے گی

Hindi

हर इक शजर का बदन बे-लिबास कर देगी हवा चलेगी तो मंज़र उदास कर देगी ये ज़र्द तितली जो फूलों के इंतिज़ार में है कली खिलेगी तो ख़ुशबू उदास कर देगी जब आसमाँ से फ़रिश्ते ज़मीं पे आएँगे सुनहरी धूप उन्हें बद-हवास कर देगी बरहना मछलियाँ तड़पेंगी गर्म साहिल पर किरन-किरन उन्हें सूरज-शनास कर देगी जब आफ़्ताब समंदर में डूब जाएगा ये सुर्ख़ चाँदनी ख़ाली गिलास कर देगी

har ik shajar kā badan be-libās kar degī
J
Javed Akram
Javed Akram
poet13 quotes

More by Javed Akram

View all →
Quote
"meri aankhein miri nindein miraa paikar jaage dard so jaae to ehsaas baraabar jaage din to ahbaab ki surat hai gurezaan mujh se raat aae to mire gham mein baraabar jaage kitne maanus hain masjid ke shikasta gumbad jab parinde nahin lauTe to ye shab-bhar jaage jeTh ki dhuup ne jhulsaa diye jin ke chehre un darakhton hi ke saavan mein muqaddar jaage raat gulshan mein 'ajab tarh kaa maahaul rahaa peD sote rahe shaakhon pe kabutar jaage kab se saahil pe hai be-khvaab barahna machhli phir shanaavar koi Duube to samundar jaage jis ke ehsaas ne jhulsaa diye suraj ke gulaab meri aankhon mein usi dhuup ke manzar jaage"
J
Javed Akram
Quote
"suraj ke saath Duub gayaa intizaar bhi kitnaa karim hai miraa parvardigaar bhi achchhaa hai khud hi toD duun main rishta-e-umid kab jaane kaun chhin le ye ikhtiyaar bhi lo aaj duur ho gaiin khush-fahmiyaan miri dene lagaa fareb miraa e'tibaar bhi us ne tamaam 'umr mujhe bevafaa kahaa lekin tamaam 'umr rahaa mujh se pyaar bhi andhe kuein mein Daal de suraj-mukhi kaa phuul phir chaandni se chhin le naqsh-o-nigaar bhi shaadaab khetiyaan hain farishte liye hue dariyaa ki lahr aa kabhi dariyaa ke paar bhi"
J
Javed Akram
Quote
"sachchaai ki talkhi hai ham saada-bayaanon mein patthar ki hain buniyaadein shishe ke makaanon mein jo chaaho vo le jaao ehsaas ki nagri se khushiyaan bhi hain aansu bhi aankhon ki dukaanon mein tum diip mohabbat ke palkon pe sajaa lenaa baT jaae na ye duniyaa tafriq ke khaanon mein ye be-sar-o-saamaani nakhchir bhi hanste hain kuchh tiir nae joDo bosida kamaanon mein ham ahl-e-sukhan daur-e-haazir ki numaaish mein har 'aib chhupaa jaaein sangit ki taanon mein is raah-e-mohabbat se 'jaaved' gurez achchhaa Takraaoge bhaTkoge sunsaan chaTaanon mein"
J
Javed Akram

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar