SHAWORDS

har raat intizaar-e-sahar kar liyaa gayaa — Javed Akhtar Bedi

"har raat intizaar-e-sahar kar liyaa gayaa is tarah zindagi ko basar kar liyaa gayaa meri tamaam umr kaTi iztiraab mein mujh se sukun kaa saans bhi mar kar liyaa gayaa marne se mere ruk na sakaa meraa kaarvaan divaar-e-tirgi mein bhi dar kar liyaa gayaa bedi agar safar mein na saaya kahin milaa saae ki aarzu mein safar kar liyaa gayaa"
Urdu

ہر رات انتظار سحر کر لیا گیا اس طرح زندگی کو بسر کر لیا گیا میری تمام عمر کٹی اضطراب میں مجھ سے سکوں کا سانس بھی مر کر لیا گیا مرنے سے میرے رک نہ سکا میرا کارواں دیوار تیرگی میں بھی در کر لیا گیا بیدی اگر سفر میں نہ سایہ کہیں ملا سائے کی آرزو میں سفر کر لیا گیا

Hindi

हर रात इंतिज़ार-ए-सहर कर लिया गया इस तरह ज़िंदगी को बसर कर लिया गया मेरी तमाम उम्र कटी इज़्तिराब में मुझ से सुकूँ का साँस भी मर कर लिया गया मरने से मेरे रुक न सका मेरा कारवाँ दीवार-ए-तीरगी में भी दर कर लिया गया बेदी अगर सफ़र में न साया कहीं मिला साए की आरज़ू में सफ़र कर लिया गया

har raat intizār-e-sahar kar liyā gayā
Javed Akhtar Bedi
Javed Akhtar Bedi
Javed Akhtar Bedi
poet23 quotes

More by Javed Akhtar Bedi

View all →
Quote
"vo raushni dimaagh ko denaa khayaal ki haajat rahe mujhe na tumhaare visaal kuchh yuun fanaa huaa huun mohabbat ki aag mein duniyaa ko de chalaa huun kahaani malaal ki vo meri khaamushi ko baDhaataa hai hashr se rakhtaa hai laaj mere lab-e-be-savaal ki sailaab ki shikast pe hanstaa huaa ye shahr aur aasmaan pe qaus-e-quzah bhi kamaal ki har dam havaa ke saath safar ki tarang mein kaisi hayaat hai miri khaak-e-faaal ki 'bedi' mariz dil kaa huun aur dard kaa safir mar jaaungaa na us ne agar dekh-bhaal ki"
Javed Akhtar BediJaved Akhtar Bedi
Quote
"ye apnaa shahr jo hai dasht-e-be-amaan hi to hai is e'tibaar se dil dard kaa makaan hi to hai nahin hai pursish-e-ahvaal ke liye koi bas ek majmaa-e-arvaah-e-raftagaan hi to hai ye daastaan-e-tamannaa ajab sahi phir bhi bhulaa hi degaa zamaana ki daastaan hi to hai ye aur baat abhi inqalaab aa jaae hayaat varna abhi tak vabaal-e-jaan hi to hai sukun kaa ek bhi lamha ho kyuun muqaddar mein ye ahd-e-zist bhi daur-e-sitam-garaan hi to hai rulaa diyaa hai ghaTaa ke suluk ne 'bedi' magar ye tishna-labi ek imtihaan hi to hai"
Javed Akhtar BediJaved Akhtar Bedi
Quote
"yahi likhaa hai ki ab main na maa-sivaa mein rahun safir-e-khaak ki surat kahin khalaa mein rahun sukut kaa ye nagar bhi mujhe aziiz rahe agar main jaa ke kisi mahshar-e-navaa mein rahun main manzilon ke liye raaste mein mar jaaun magar khudaa na kare shahr-e-naa-rasaa mein rahun main dekhtaa hi rahun hashr tak baqaa ke khvaab main hashr tak hi na kyuun panja-e-fanaa mein rahun puraane peD bhi hairat se mujh ko dekhte hain jo un se baDh ke main saabit-qadam havaa mein rahun"
Javed Akhtar BediJaved Akhtar Bedi
Quote
"nayaa mausam dar aayaa dasht mein barg-o-samar jaage zamaanon se jo mahv-e-khvaab the qalb-o-nazar jaage nae harfon ke phulon ko sajaayaa vaqt ne lab par nae harfon ke phulon mein nae kaif-o-asar jaage vo daur aayaa sadaa zulm-o-sitam ke bhi khilaaf uTThi hamaari aur tiri duniyaa ke arbaab-e-hunar jaage qayaamat kucha-o-baazaar mein yunhi nahin aai ham apne shahr mein pahle pas-e-divaar-o-dar jaage sivaae tirgi hadd-e-nazar tak kuchh na thaa 'bedi' ye khvaahish thi ki sinon mein tamannaa-e-sahar jaage"
Javed Akhtar BediJaved Akhtar Bedi
Quote
"tirgi ki shiddat ko subh kaa sitaaraa likh phailne hi vaalaa hai har taraf ujaalaa likh razm-e-gaah-e-hasti mein yuun buraa na soch apnaa dushmanon ke andar ke sulh jo ko achchhaa likh naqsh-e-paa ke jangal mein kyaa shumaar raston kaa hai judaa zamaane se lekin apnaa rasta likh be-hisi kaa ye jaadu TuuT hi to jaaegaa is liye na qarye ko pattharon kaa sahraa likh is nagar ke logon ko pahle bakhsh binaai aur baa'd mein khud ko is nagar kaa iisaa likh harf-e-zehn mein 'bedi' rang se tahi kab hain sirf teraa kaaghaz hai jo abhi hai saada likh"
Javed Akhtar BediJaved Akhtar Bedi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb