SHAWORDS

har samt qatl-gaah kaa manzar hai aaj bhi — Danish Farahi

HomeDanish FarahiGhazal
"har samt qatl-gaah kaa manzar hai aaj bhi poshida aastinon mein khanjar hai aaj bhi hai amn aur 'adl kaa shohraa bahut magar sargarm-e-kaar dast-e-sitamgar hai aaj bhi jo muddaton se luTtaa aayaa hai dosto afsos qaum kaa vahi rahbar hai aaj bhi tum se judaa hue to zamaana huaa magar saaya tumhaari zulfon kaa sar par hai aaj bhi tu mehrbaan thaa mujh pe kabhi yaad hai mujhe kyaa tu vahi khulus kaa paikar hai aaj bhi taamir-e-nau ke daur mein ahl-e-makaan hain sab 'daanish' hai ek shakhs jo be-ghar hai aaj bhi"
Urdu

ہر سمت قتل گاہ کا منظر ہے آج بھی پوشیدہ آستینوں میں خنجر ہے آج بھی ہے امن اور عدل کا شہرا بہت مگر سرگرم کار دست ستمگر ہے آج بھی جو مدتوں سے لوٹتا آیا ہے دوستو افسوس قوم کا وہی رہبر ہے آج بھی تم سے جدا ہوئے تو زمانہ ہوا مگر سایہ تمہاری زلفوں کا سر پر ہے آج بھی تو مہرباں تھا مجھ پہ کبھی یاد ہے مجھے کیا تو وہی خلوص کا پیکر ہے آج بھی تعمیر نو کے دور میں اہل مکاں ہیں سب دانشؔ ہے ایک شخص جو بے گھر ہے آج بھی

Hindi

हर सम्त क़त्ल-गाह का मंज़र है आज भी पोशीदा आस्तीनों में ख़ंजर है आज भी है अम्न और 'अद्ल का शोहरा बहुत मगर सरगर्म-ए-कार दस्त-ए-सितमगर है आज भी जो मुद्दतों से लूटता आया है दोस्तो अफ़सोस क़ौम का वही रहबर है आज भी तुम से जुदा हुए तो ज़माना हुआ मगर साया तुम्हारी ज़ुल्फ़ों का सर पर है आज भी तू मेहरबाँ था मुझ पे कभी याद है मुझे क्या तू वही ख़ुलूस का पैकर है आज भी तामीर-ए-नौ के दौर में अहल-ए-मकाँ हैं सब 'दानिश' है एक शख़्स जो बे-घर है आज भी

har samt qatl-gāh kā manzar hai aaj bhī
Danish Farahi
Danish Farahi
Danish Farahi
poet19 quotes

More by Danish Farahi

View all →
Quote
"sitam ke baa'd bhi baaqi karam ki aas to hai vafaa shi'aar nahin vo vafaa shanaas to hai vo dil ki baat zabaan se na kuchh kahein shaayad hamaare haal pe chehra magar udaas to hai ye dil-fareb banaaras ki subh kaa manzar avadh ki shaam-e-dil-aaraa hamaare paas to hai bharam rahegaa tire mai-kade kaa bhi saaqi balaa se khaali sahi haath mein gilaas to hai chale hi jaaein nigaahon se duur aap magar hasin yaadon ki daulat hamaare paas to hai kare bhale hi na rahmat ki mujh pe tu baarish tire karam ki mire dil mein ek aas to hai ye sach hai us ne bujhaai na tishnagi lekin hamaari tishna-dahaani kaa us ko paas to hai durust hai ki farishta-sifat nahin 'daanish' khudaa gavaah basirat ki us ko pyaas to hai"
Danish FarahiDanish Farahi
Quote
"kuchh apne daur ki bhi kahaani likhaa karo patthar ko mom khuun ko paani likhaa karo jiddat ki rau mein log kahaan se kahaan gae tum se bane to baat puraani likhaa karo vo ahd hai ki shola-fishaan bijliyon ko bhi ghazlon mein rang-o-nur ki raani likhaa karo lafzon ko apne asl maaani se aar hai ab doston ko dushman-e-jaani likhaa karo hai be-hison ki bhiiD na hogaa koi asar akhbaar mein hazaar giraani likhaa karo likhne ke vaaste koi unvaan chaahiye fariyaad-o-aah-o-ashk-fishaani likhaa karo shohrat ke khvaastgaaro miraa mashvara hai ye 'ghaalib' kaa apne aap ko saani likhaa karo 'daanish' zah-e-nasib mile zakhm-e-laala-rang har zakhm-e-dil ko un ki nishaani likhaa karo"
Danish FarahiDanish Farahi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari