Quote
"sitam ke baa'd bhi baaqi karam ki aas to hai vafaa shi'aar nahin vo vafaa shanaas to hai vo dil ki baat zabaan se na kuchh kahein shaayad hamaare haal pe chehra magar udaas to hai ye dil-fareb banaaras ki subh kaa manzar avadh ki shaam-e-dil-aaraa hamaare paas to hai bharam rahegaa tire mai-kade kaa bhi saaqi balaa se khaali sahi haath mein gilaas to hai chale hi jaaein nigaahon se duur aap magar hasin yaadon ki daulat hamaare paas to hai kare bhale hi na rahmat ki mujh pe tu baarish tire karam ki mire dil mein ek aas to hai ye sach hai us ne bujhaai na tishnagi lekin hamaari tishna-dahaani kaa us ko paas to hai durust hai ki farishta-sifat nahin 'daanish' khudaa gavaah basirat ki us ko pyaas to hai"
