SHAWORDS

hasrat-e-saaya mein jangal ko take jaataa huun — Nawev Kiyani

HomeNawev KiyaniGhazal
"hasrat-e-saaya mein jangal ko take jaataa huun dhuup hai aur main aanchal ko take jaataa huun aisi shiknein mere iqaan mein kab aaeingi teri peshaani ke gunjal ko take jaataa huun duur jaati hui gaaDi kaa dhuaan hai aur main surkh hote hue signal ko take jaataa huun apne pahlu mein chubhi jaati hain patthar ki silein aur tire pahlu ke makhmal ko take jaataa huun jab kisi ret ki surat hai miri muTThi mein kyon guzarte hue har pal ko take jaataa huun ye zamaana bhi yunhi dekhtaa hogaa mujh ko jis tarah main kisi paagal ko take jaataa huun raunaq-e-shahr kaa ik main hi tamaashaai huun apne atraaf ke daldal ko take jaataa huun bhari barsaat ki bochhaaD hai aur main pyaasaa is chhalakti hui chhaagal ko take jaataa huun"
Urdu

حسرت سایہ میں جنگل کو تکے جاتا ہوں دھوپ ہے اور میں آنچل کو تکے جاتا ہوں ایسی شکنیں میرے ایقان میں کب آئیں گی تیری پیشانی کے گنجل کو تکے جاتا ہوں دور جاتی ہوئی گاڑی کا دھواں ہے اور میں سرخ ہوتے ہوئے سگنل کو تکے جاتا ہوں اپنے پہلو میں چبھی جاتی ہیں پتھر کی سلیں اور ترے پہلو کے مخمل کو تکے جاتا ہوں جب کسی ریت کی صورت ہے مری مٹھی میں کیوں گزرتے ہوئے ہر پل کو تکے جاتا ہوں یہ زمانہ بھی یوں ہی دیکھتا ہوگا مجھ کو جس طرح میں کسی پاگل کو تکے جاتا ہوں رونق شہر کا اک میں ہی تماشائی ہوں اپنے اطراف کے دلدل کو تکے جاتا ہوں بھری برسات کی بوچھاڑ ہے اور میں پیاسا اس چھلکتی ہوئی چھاگل کو تکے جاتا ہوں

Hindi

हसरत-ए-साया में जंगल को तके जाता हूँ धूप है और मैं आँचल को तके जाता हूँ ऐसी शिकनें मेरे ईक़ान में कब आएँगी तेरी पेशानी के गुंजल को तके जाता हूँ दूर जाती हुई गाड़ी का धुआँ है और मैं सुर्ख़ होते हुए सिगनल को तके जाता हूँ अपने पहलू में चुभी जाती हैं पत्थर की सिलें और तिरे पहलू के मख़मल को तके जाता हूँ जब किसी रेत की सूरत है मिरी मुट्ठी में क्यों गुज़रते हुए हर पल को तके जाता हूँ ये ज़माना भी यूँही देखता होगा मुझ को जिस तरह मैं किसी पागल को तके जाता हूँ रौनक़-ए-शहर का इक मैं ही तमाशाई हूँ अपने अतराफ़ के दलदल को तके जाता हूँ भरी बरसात की बोछाड़ है और मैं प्यासा इस छलकती हुई छागल को तके जाता हूँ

hasrat-e-sāya meñ jangal ko take jaatā huuñ
Nawev Kiyani
Nawev Kiyani
Nawev Kiyani
poet7 quotes

More by Nawev Kiyani

View all →
Quote
"hamesha muztarib maujon ko rakkhaa hai samundar ne safar kaa istiaara ban ke rahnaa hai samundar ne miri khushiyon ke mol us ne kharidaa hai nasha apnaa mire har chaand ko khud mein Duboyaa hai samundar ne ajab tufaan-e-gharraan hai bapaa har fard-e-khaana mein isi daalaan se jaise guzarnaa hai samundar ne ye musht-e-khaak ne puchhaa hai aksar mauj mein aa kar koi tufaan mujh jaisaa bhi dekhaa hai samundar ne main apne aap se bach kar kahin bhi jaa nahin saktaa mujhe chaaron taraf se gher rakkhaa hai samundar ne koi baahar nikaltaa hi nahin apne jazire se isi baais to itnaa sar uThaayaa hai samundar ne kisi kaa naam chhede jaa rahaa huun kis bharose par miraa reg-e-badan jab noch lenaa hai samundar ne"
Nawev KiyaniNawev Kiyani
Quote
"dil-e-dard-aashnaa rakkhe hue hain badan mein karbalaa rakkhe hue hain kisi ke rang mein Dhalte nahin hain ham apni kimiyaa rakkhe hue hain hamin tafhim-e-duniyaa ke muamme khalaa andar khalaa rakkhe hue hain koi manzil nahin manzil hamaari ik aatish zer-e-paa rakkhe hue hain laDaai zulmat-e-shab se hai jaari sar-e-baam ik diyaa rakkhe hue hain hamaare saamne hain par vo yuun hain na hone ki adaa rakkhe hue hain jo mausam pahn kar aae hain suraj vo daaman mein ghaTaa rakkhe hue hain dalil-e-khaamushi kaam aa rahi hai kisi ko be-navaa rakkhe hue hain"
Nawev KiyaniNawev Kiyani
Quote
"vo justuju kaa judaa hi hunar nikaalte hain thakaan se nayaa zauq-e-safar nikaalte hain ham apni chhaanv badan mein hi dafn rakhte nahin ki shaamlaat zamin se shajar nikaalte hain kahin ye nasl zamin-bos hi na ho jaae numu ke khvaab ko baar-e-digar nikaalte hain kahaan talak koi khud mein simaT ke baiThaa rahe gali mein aate hain khauf-e-nazar nikaalte hain na kholni paDein daanton se rishton ki girhein chalo ki apne lahu se bhanvar nikaalte hain mohabbatein kahaan panpeingi sang-o-aahan mein kisi gulaab ki Tahni pe ghar nikaalte hain ruton ke jabr ne jhulsaa ke rakh diyaa thaa jahaan shagufe phir usi Tahni se sar nikaalte hain bhare bhare na bhare saaaton ke daaman ko nihaal-e-umr se saaraa samar nikaalte hain ajiib zahr saa ghul jaataa hai fazaaon mein hamaare khvaab jahaan baal-o-par nikaalte hain"
Nawev KiyaniNawev Kiyani
Quote
"kisi ki aarzuein ab bhi ham mein raqs karti hain sunahri machhliyaan aquarium mein raqs karti hain koi tufaan dabaa paataa nahin dil ki sadaaon ko ye jal-pariyaan to aab-e-yam-ba-yam mein raqs karti hain hamaari ulfaton ko aap ne halkaa nahin lenaa ba rang-e-hast bhi khvaab-e-adam mein raqs karti hain ye paighaamaat pahunchaati hain tum tak mere maulaa ke agar chiDiyaan tumhaare aashram mein raqs karti hain main un par chal ke bhi kyon manzilon kaa ho nahin paayaa jo raahein zindagi ke pech-o-kham mein raqs karti hain tiri yaadein to jaise ban gai hain dhaDkanein pyaare ye raqqaasaaein bhi dil ke haram mein raqs karti hain niyaam-e-maslahat mein rah ke jin ko zang lagtaa hai vahi talvaarein lahraate alam mein raqs karti hain umidein sina-e-khanjar pe chal kar bhi nahin ruktin ye hasrat ban ke bhi jaise iram mein raqs karti hain tumhaare hijr ki ghazlein tumhaare vasl ki nazmein dilon mein thartharaati hain qalam mein raqs karti hain"
Nawev KiyaniNawev Kiyani
Quote
"ye jo main huun koi dhoka hi sahi yunhi sahi jism ki qabr kaa katba hi sahi yunhi sahi khaak paDti rahi kitne hi zamaanon ki magar zakhm-e-dil aaj bhi taaza hi sahi yunhi sahi dar-o-divaar se lipTaa huaa ye sannaaTaa shor kartaa huaa qissa hi sahi yunhi sahi aakhir-e-kaar mujhe raakh to ho jaanaa hai ek pal ke liye sho'la hi sahi yunhi sahi gham-e-duniyaa bhi mire dil ke samundar mein giraa aaj kuchh dard ziyaada hi sahi yunhi sahi kam se kam us se mulaaqaat to ho jaati hai khvaab hujre kaa daricha hi sahi yunhi sahi is ki chhaanv tale purkhon ke zamaane guzre har shajar surat-e-shajara hi sahi yunhi sahi yaad aataa hai koi tark-e-taalluq par bhi aur ye baat hamesha hi sahi yunhi sahi mutmain huun ki koi to miraa nigraan hai 'zafar' mere pichhe miraa saaya hi sahi yunhi sahi"
Nawev KiyaniNawev Kiyani
Quote
"yuun na khud mein chup si bhar lo miraa phone to uThaao jo gila hai mujh se kar lo miraa phone to uThaao jo ghubaar saa hai dil mein vo nikaalnaa hi behtar bhale mujh pe tum biphar lo miraa phone to uThaao mujhe apnaa haal kah do ki karun main gham ghalat kuchh mire dard ki khabar lo miraa phone to uThaao yuun alag thalag rahogi to baDhegi aur uljhan na lahu mein yuun bhanvar lo miraa phone to uThaao miri zindagi se chaaho ho agar uDaan bharnaa mire saare baal-o-par lo miraa phone to uThaao ye haqiqaton ke daldal kahin khaa na jaaein tum ko mire khvaab se guzar lo miraa phone to uThaao ye jo dhuup hijr ki hai hamein rakh na de jalaa kar koi saaya-e-shajar lo miraa phone to uThaao main bichhaa ke aa rahaa huun sar-e-rahguzaar ye dil tum isi pe paanv dhar lo miraa phone to uThaao yunhi reshmi se jivan pe samay kaa baar kyon ho miraa rang baarvar lo miraa phone to uThaao"
Nawev KiyaniNawev Kiyani

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar