SHAWORDS

hasrat ke daagh dast-e-talab se nahin dhule — Farah Rizwi

HomeFarah RizwiGhazal
"hasrat ke daagh dast-e-talab se nahin dhule bhaari the khvaab aankh se puure nahin tule chakkar bandhaa thaa paanv mein qismat ke pher kaa gard-e-safar ke band abhi tak nahin khule ashkon ke zaaiqe mein namak rah gayaa hai kam ranj-o-malaal Thiik tarah se nahin ghule soe rahein hain mahal-e-tamannaa hazaar saal shahzaadiyon ke bakht jabhi to nahin khule ruhein badan kaa saath nibhaane mein thak rahin yaa'ni ki hast-o-bud baraabar nahin rule"
Urdu

حسرت کے داغ دست طلب سے نہیں دھلے بھاری تھے خواب آنکھ سے پورے نہیں تلے چکر بندھا تھا پاؤں میں قسمت کے پھیر کا گرد سفر کے بند ابھی تک نہیں کھلے اشکوں کے ذائقے میں نمک رہ گیا ہے کم رنج و ملال ٹھیک طرح سے نہیں گھلے سوئے رہیں ہیں محل تمنا ہزار سال شہزادیوں کے بخت جبھی تو نہیں کھلے روحیں بدن کا ساتھ نبھانے میں تھک رہیں یعنی کہ ہست و بود برابر نہیں رلے

Hindi

हसरत के दाग़ दस्त-ए-तलब से नहीं धुले भारी थे ख़्वाब आँख से पूरे नहीं तुले चक्कर बँधा था पाँव में क़िस्मत के फेर का गर्द-ए-सफ़र के बंद अभी तक नहीं खुले अश्कों के ज़ाइक़े में नमक रह गया है कम रंज-ओ-मलाल ठीक तरह से नहीं घुले सोए रहें हैं महल-ए-तमन्ना हज़ार साल शहज़ादियों के बख़्त जभी तो नहीं खुले रूहें बदन का साथ निभाने में थक रहीं या'नी कि हस्त-ओ-बूद बराबर नहीं रुले

hasrat ke daaġh dast-e-talab se nahīñ dhule
Farah Rizwi
Farah Rizwi
Farah Rizwi
poet14 quotes

More by Farah Rizwi

View all →
Quote
"chalo sabil karein us ko jaa manaane se khushi ko giit mayassar nahin zamaane se sukut aisaa samar-baar to kabhi na huaa gul-e-malaal jhaDaa ab ke shaakhsaane se tumhaaraa qurb hatheli pe ret jaisaa hai havaa ke saath bikhartaa hai ik bahaane se ham apne bas mein jabinon ke bal nahin jaate hamein charaagh bulaate hain aastaane se vo dil ke saath ulajhti hui kamaan-e-talab vo ek tiir uchaTtaa huaa nishaane se hamaare zakhm tamaashaa nahin hain hairat hain so is liye bhi chhupaate hain ik zamaane se"
Farah RizwiFarah Rizwi

More on Hasrat

View all →
Quote
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"saaqi tiraa jamaal bhi meri nazar mein hai main jaantaa huun nuur jo shams-o-qamar mein hai meraa lahu bahaa ke adu mutmain nahin ab meraa khaandaan bhi us ki nazar mein hai akhbaar dekhtaa hai vo hasrat ki aankh se qaari ki zindagi kisi achchhi khabar mein hai yunhi nahin hai shaam se aankhon mein iztiraab khushbu bataa rahi hai koi rahguzar mein hai maanjhi badal badal ke miri fikr thak gai lekin miraa safina abhi tak bhanvar mein hai chhuTkaaraa paa gae hain sabhi is khayaal se insaaniyat kaa dard faqat mere sar mein hai dariyaa ke do kinaare hain milte nahin kabhi 'muztar' azal se bair yahaan khair-o-shar mein hai"
Muztar AzmiMuztar Azmi
Quote
"ik zaraa si dil ki hasrat tum se ulfat aur tum bas hai itni si zarurat thoDi raahat aur tum muddaton se mukhtalif hain meri qismat aur tum kyon muqaddar mein nahin tum se mohabbat aur tum ho bahut masruf tum yaa hai koi naaraazgi saath mein milte nahin ab thoDi fursat aur tum tum bichhaD kar bhi na mujh se ho sake pal-bhar judaa mujh mein baaqi hai tumhaari har ik aadat aur tum apne aangan se nahin kuchh duriyon se hi sahi hai mujhe haasil tumhaare gul ki nikhat aur tum huun baDi mushkil mein apne dil-makaan ko dekh kar saath kaise rah sakeinge is mein vahdat aur tum munhasir tum par hai mere dil ki har ik aarzu ek minnat ek jannat ek farhat aur tum"
Anjuman Mansury ArzooAnjuman Mansury Arzoo
Quote
"jab kabhi khubi-e-qismat se tujhe dekhte hain aaina-khaane ki hairat se tujhe dekhte hain vo jo paamaal-e-zamaana hain mire takht-nashin dekh to kaisi mohabbat se tujhe dekhte hain kaasa-e-did mein bas ek jhalak kaa sikka ham faqiron ki qanaa'at se tujhe dekhte hain tere jaane kaa khayaal aataa hai ghar se jis dam dar-o-divaar ki hasrat se tujhe dekhte hain tere kuche mein chale jaate hain qaasid ban kar aur aksar usi surat se tujhe dekhte hain kah gai baad-e-sabaa aaj tire kaan mein kyaa phuul kis darja sharaarat se tujhe dekhte hain tujh ko kyaa 'ilm tujhe haarne vaale kuchh log kis qadar sakht nadaamat se tujhe dekhte hain"
Parveen ShakirParveen Shakir