"rog main ne bhi kai jaan ko lagaae barson jaane vaale bhi nahin lauT ke aae barson aakhirash taab mashaqqat ki na aankhon mein rahi main ne rozi ki tarah khvaab kamaae barson dhuul jazbon ki haTaai to ye ehsaas huaa is mohabbat mein shab-o-roz ganvaae barson tu nahin thaa to muqaddar bhi ghunuda hi rahe Thokarein maar ke bhi ham ne jagaae barson us ki aankhon se kisi taur andheraa na gayaa diip jis ke liye khuun se bhi jalaae barson ruuTh kar shahr-e-khamoshaan ko gae aate nahin hichkiyaan le ke koi chaahe manaae barson main bhi sah paayaa nahin teri judaai ko 'hasan' aur is dil se bhi uThti rahi haae barson"
hisaar-e-gham se nikal apni zindagaani bachaa — Ataul Hasan
"hisaar-e-gham se nikal apni zindagaani bachaa nigaah-e-hijr mein aai hui javaani bachaa ye log pyaar ke haasid hain mere qissa-go kisi ki ek na sun tu faqat kahaani bachaa 'ajib ranj thaa jis ne ye aankh banjar ki main itnaa royaa miri aankh mein na paani bachaa har ek chiiz na ghusse se kuDe-daan mein pheink qaraar-e-dil ko bhi us ki koi nishaani bachaa khizaan ruton ne bhi barson talak jalaayaa mujhe numu ko bhi na koi dast-e-baaghbaani bachaa rafaaqaton kaa hasan aur kuchh nahin haasil bachaa to dil mein faqat ranj-e-raaegaani bacha"
حصار غم سے نکل اپنی زندگانی بچا نگاہ ہجر میں آئی ہوئی جوانی بچا یہ لوگ پیار کے حاسد ہیں میرے قصہ گو کسی کی ایک نہ سن تو فقط کہانی بچا عجیب رنج تھا جس نے یہ آنکھ بنجر کی میں اتنا رویا مری آنکھ میں نہ پانی بچا ہر ایک چیز نہ غصے سے کوڑے دان میں پھینک قرار دل کو بھی اس کی کوئی نشانی بچا خزاں رتوں نے بھی برسوں تلک جلایا مجھے نمو کو بھی نہ کوئی دست باغبانی بچا رفاقتوں کا حسن اور کچھ نہیں حاصل بچا تو دل میں فقط رنج رائگانی بچہ
हिसार-ए-ग़म से निकल अपनी ज़िंदगानी बचा निगाह-ए-हिज्र में आई हुई जवानी बचा ये लोग प्यार के हासिद हैं मेरे क़िस्सा-गो किसी की एक न सुन तू फ़क़त कहानी बचा 'अजीब रंज था जिस ने ये आँख बंजर की मैं इतना रोया मिरी आँख में न पानी बचा हर एक चीज़ न ग़ुस्से से कूड़े-दान में फेंक क़रार-ए-दिल को भी उस की कोई निशानी बचा ख़िज़ाँ रुतों ने भी बरसों तलक जलाया मुझे नुमू को भी न कोई दस्त-ए-बाग़बानी बचा रफ़ाक़तों का हसन और कुछ नहीं हासिल बचा तो दिल में फ़क़त रंज-ए-राएगानी बचा

More by Ataul Hasan
View all →"vaise to is ghar ko us ne chaahe kam khush-haali di beTaa bar-khurdaar diyaa aur beTi hausle vaali di ghusse mein donon ne ik duuje ke haath ko jhaTkaa thaa aur ab soch rahe hain pahle kis ne kis ko gaali di kuchh main khud bhi har ik shakhs ki baaton mein aa jaataa huun kuchh vaise bhi us ne mujh ko surat bholi-bhaali di varna kaam thaa meraa to phulon se rizq kamaane tak phir us ne ik baagh ki mere haathon mein rakhvaali di dhuup baDhi to vo bhi apne apne paanv khinch gae main ne apne hisse ki jin peDon ko hariyaali di dil ne meri ek sadaa par donon haathon daan kiyaa jab zambil mohabbat ne jazbaat se mujh ko khaali di tu bhi maan gayaa ai dost ki dariyaa sirf Dubotaa hai mere baare mein duniyaa ne tujh ko khaam-khayaali di pahle meri aankhon se sarmaaya chhinaa nindon kaa badle mein phir hijr ne meri aankhon ko ye laali di vo hi degaa mujh ko phir taamir uThaane ki himmat jis ne 'hasan' in baam-o-dar ko itni khasta-haali di"
"dam-ba-dam ek saath baiThe hain phir bhi kam ek saath baiThe hain sirf tasvir rah gai baaqi jis mein ham ek saath baiThe hain kyaa taajjub ki meri turbat par do sanam ek saath baiThe hain tu yahaan paanv dhar nahin saktaa tere gham ek saath baiThe hain guftugu hai kanaaiyon mein husn sab ajam ek saath baiThe hain"
"fursat-e-hijr mein kuchh kaar-e-tamaasha hi sahi tu nahin mujh ko mayassar to ye duniyaa hi sahi main kisi rahm-o-karam par to nahin teri tarah ziist ki raah pe ab chaahe main tanhaa hi sahi qarya-e-ghair mein alfaaz kaa dam ghaTtaa hai fart-e-izhaar ke pal apnaa ilaaqa hi sahi pahle baDh-chaDh ke mohabbat mein kiyaa vaqt basar ab zabun-haali-e-jazbaat mein itnaa hi sahi jaane vaale tu koi ik to bharam rahne de kuchh na kuchh dil ke liye haasil-e-rafta hi sahi sarsari ranj pe bantaa hai hasan zabt magar is bahaane se chalo varzish-e-girya hi sahi"
"shauq-e-nazar gulaab se bhi mutmain nahin chashm-e-udaas khvaab se bhi mutmain nahin kis umr mein na-jaane qanaaat pasand ho ye dil ki dastiyaab se bhi mutmain nahin ab tere khadd-o-khaal pe kyaa iktifaa kare ye aankh maahtaab se bhi mutmain nahin bas yunhi be-qaraari ki lat mein huun mubtalaa vaise main iztiraab se bhi mutmain nahin mere bhale dinon pe bhi vo mo'tariz rahaa ab saaat-e-kharaab se bhi mutmain nahin kitnon ko raah-e-raast pe laayaa 'hasan' magar darvesh is savaab se bhi mutmain nahin"
"ye izn-e-jast faqat ik bahaana hotaa hai kahaan Thaharte hain vo jin ko jaanaa hotaa hai hamaare sar pe mohabbat kaa itnaa bojh na Daal hamein maaash kaa dukh bhi uThaanaa hotaa hai jahaan pe sokhta jazbaat rakhe jaate hain har ek dil mein kahin sard-khaana hotaa hai hamaare tazkire sadiyon labon pe rahte hain hamaare din nahin hote zamaana hotaa hai tu mo'tariz na ho itnaa malaal-e-besh-bahaa kabhi kabhi to hamein muskuraanaa hotaa hai uDaa le jaati hai mujh ko vahaan samay ki havaa jahaan kahin bhi miraa aab-o-daana hotaa hai kisi ko laati hai raahon mein kachche ghar ki khalish koi safar pe khushi se ravaana hotaa hai khule-kivaaD alaamat hain aas ki lekin havaa ke rukh pe diyaa bhi jalaanaa hotaa hai hamaare haal pe jaisi guzar rahi ho 'hasan' hamein ravayya bhi vaisaa banaanaa hotaa hai"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"