SHAWORDS

ho 'ataa sahbaa-e-gham kaa aur paimaana abhi — Ashique Dehlwi

HomeAshique DehlwiGhazal
"ho 'ataa sahbaa-e-gham kaa aur paimaana abhi tishnagi baaqi hai meri pir-e-mai-khaana abhi aae khalvat mein na yaa-rab koi begaana abhi sun rahe hain vo hamaare gham kaa afsaana abhi ro diye sun kar jise vo mukhtasar tamhid thi dard mein Duubaa huaa baaqi hai afsaana abhi meri qismat kaa badal jaanaa to kuchh mushkil nahin josh mein aai nahin shaan-e-karimaana abhi dil to pahli hi nazar mein kar chuke un par nisaar jaan bhi de dein ki baaqi hai ye nazraana abhi inkishaaf-e-raaz-e-hasti ghair-mumkin to nahin hosh mein aayaa nahin hai teraa divaana abhi jo razaa-e-dost ko rakhtaa nahin pesh-e-nazar 'ishq ke maslak se hai 'aashiq' vo begaana abhi"
Urdu

ہو عطا صہبائے غم کا اور پیمانہ ابھی تشنگی باقی ہے میری پیر مے خانہ ابھی آئے خلوت میں نہ یارب کوئی بیگانہ ابھی سن رہے ہیں وہ ہمارے غم کا افسانہ ابھی رو دئے سن کر جسے وہ مختصر تمہید تھی درد میں ڈوبا ہوا باقی ہے افسانہ ابھی میری قسمت کا بدل جانا تو کچھ مشکل نہیں جوش میں آئی نہیں شان کریمانہ ابھی دل تو پہلی ہی نظر میں کر چکے ان پر نثار جان بھی دے دیں کہ باقی ہے یہ نذرانہ ابھی انکشاف راز ہستی غیر ممکن تو نہیں ہوش میں آیا نہیں ہے تیرا دیوانہ ابھی جو رضائے دوست کو رکھتا نہیں پیش نظر عشق کے مسلک سے ہے عاشقؔ وہ بیگانہ ابھی

Hindi

हो 'अता सहबा-ए-ग़म का और पैमाना अभी तिश्नगी बाक़ी है मेरी पीर-ए-मय-ख़ाना अभी आए ख़ल्वत में न या-रब कोई बेगाना अभी सुन रहे हैं वो हमारे ग़म का अफ़्साना अभी रो दिए सुन कर जिसे वो मुख़्तसर तम्हीद थी दर्द में डूबा हुआ बाक़ी है अफ़्साना अभी मेरी क़िस्मत का बदल जाना तो कुछ मुश्किल नहीं जोश में आई नहीं शान-ए-करीमाना अभी दिल तो पहली ही नज़र में कर चुके उन पर निसार जान भी दे दें कि बाक़ी है ये नज़राना अभी इंकिशाफ़-ए-राज़-ए-हस्ती ग़ैर-मुमकिन तो नहीं होश में आया नहीं है तेरा दीवाना अभी जो रज़ा-ए-दोस्त को रखता नहीं पेश-ए-नज़र 'इश्क़ के मस्लक से है 'आशिक़' वो बेगाना अभी

ho 'atā sahbā-e-ġham kā aur paimāna abhī
A
Ashique Dehlwi
Ashique Dehlwi
poet6 quotes

More by Ashique Dehlwi

View all →
Quote
"nazar kyaa khaak maanus-e-jahaan-e-rang-o-bu hogi jo tum hoge mire dil mein to phir kyaa aarzu hogi vo duniyaa kaun si hogi vo 'aalam kaun saa hogaa mohabbat jis jahaan mein kaar-farmaa ku-ba-ku hogi jinhein milti nahin piine ko teri mast aankhon se unhi rindon ko saaqi hasrat-e-jaam-o-subu hogi azal hi se mataa'-e-'aajizi mujh ko mayassar hai khudaa se duur vo hogaa khudi ki jis mein bu hogi hai tazlil-e-mohabbat haal-e-dil un se bayaan karnaa main 'aashiq' huun miri surat se sharh-e-aarzu hogi"
A
Ashique Dehlwi
Quote
"chashm-e-'irfaan-o-aagahi ki qasam har taraf tu hai bandagi ki qasam zarre zarre mein tujh ko dekhaa hai zarre zarre ki raushni ki qasam choT khaataa huun muskuraataa huun apni majbur zindagi ki qasam jab vafaa kaa javaab talkh mile kaun khaaegaa dosti ki qasam har nafas mein koi ghazal-khvaan hai saaz-e-dil ki shikastagi ki qasam ab tiraa gham hai dil ko vajh-e-nashaat apni ruThi hui khushi ki qasam saaghar-o-jaam hain tiri aankhein tere rindon ki mai-kashi ki qasam ab to bhar dijiye miraa daaman aap ko shaan-e-khusravi ki qasam ham to daanista luT gae 'aashiq' un nigaahon ki saadgi ki qasam"
A
Ashique Dehlwi
Quote
"aisaa to kaaenaat mein koi bashar nahin jis par tumhaare lutf-o-karam ki nazar nahin jis haadse ne aap ko ham se milaa diyaa us haadse ki aap ko shaayad khabar nahin ab to har ek gaam pe tum mere saath ho ab mujh ko fikr-e-gardish-e-shaam-o-sahar nahin naqsh-e-qadam pe aap ke rakhtaa huun main nazar us ke sivaa to koi miraa raahbar nahin bas aarzu yahi hai tiraa gham nasib ho dil mein hamaare aarzu-e-sim-o-zar nahin ahl-e-khirad ki baat kaa 'aashiq' yaqin kyaa vaise bhi un ki baat koi mo'tabar nahin"
A
Ashique Dehlwi
Quote
"ik vo hain jo kufr bakein to naa'ra hai aur taali hai ik ham hain jo sach bolein to DanDaa hai aur gaali hai charti hai aghyaar ke sabze deti hai ghar apne duudh main us charvaahe ke sadqe bhains ye jis ne paali hai mausam yuun to badal rahaa hai khizaan ke Dere Daale hain saavan ke jitne andhe hain un ke ghar hariyaali hai 'ishq karo to hosh mein aa kar aagaa-pichhaa bhi dekho hai kis turram khaan ki beTi kis rustam ki saali hai jis ko dekho vo apne ko shaa'ir samjhe baiThaa hai main 'ghaalib' huun ye 'momin' hai vo maulaanaa 'haali' hai husn kaTilaa ho to us ke mirzaa ji bhi 'aashiq' hain husn vo chaahe amrikan hai yaa koi bangaali hai"
A
Ashique Dehlwi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud