"raqib-e-nafs kaa mukh moDtaa rah havaa aur hirs ke taiin toDtaa rah uThaa sang-e-riyaazat dast-e-dil suun sadaa shishe ko tan ke toDtaa rah shujaaat saath le kar zikr kaa tegh saDak ghaflat ke dil par chhoDtaa rah lagaayaa hai agar rishta prit kaa nazar ke silsile suun joDtaa rah 'alimullaah' hove ek dam duur ye bad-khaslat ko yak yak toDtaa rah"
husn kaa dekh har taraf gulzaar — Alimullah
"husn kaa dekh har taraf gulzaar andalibaan hue hain dil-afgaar ishq ki mai suun jo huaa sarmast dil huaa us kaa khaana-e-khummaar yaar aayaa hai jab muaalij ho dard-e-furqat mein nahin rahaa bimaar aap aashiq hai husn par apne hai mire jaan kaa ajab asraar kahin aashiq kahin huaa dilbar kahin maashuq kiin huaa dildaar kiin huaa shams kiin huaa hai qamar kiin huaa nuur kiin huaa hai naar kiin huaa arz kiin huaa hai falak kiin huaa bahar kiin huaa ashjaar kiin huaa ins kiin huaa hai malak kiin huaa diid kiin huaa didaar kiin payambar kahin huaa hai vali kiin huaa shaikh kiin huaa zunnaar kiin hai qaazi kahin huaa mufti kiin huaa mast kiin huaa abraar kiin huaa jaan kiin huaa jaanaan sab mein hai aur kahin sabhon se paar haq mein haq ho sadaa anal-haq bol dekh mansur kyuun chaDhaa hai daar ik-panaa zaat kaa 'alimullaah' shara bin ghair kuchh na kar takraar"
حسن کا دیکھ ہر طرف گل زار عندلیباں ہوئے ہیں دل افگار عشق کی مے سوں جو ہوا سرمست دل ہوا اس کا خانۂ خمار یار آیا ہے جب معالج ہو درد فرقت میں نہیں رہا بیمار آپ عاشق ہے حسن پر اپنے ہے مرے جان کا عجب اسرار کہیں عاشق کہیں ہوا دلبر کہیں معشوق کیں ہوا دل دار کیں ہوا شمس کیں ہوا ہے قمر کیں ہوا نور کیں ہوا ہے نار کیں ہوا ارض کیں ہوا ہے فلک کیں ہوا بحر کیں ہوا اشجار کیں ہوا انس کیں ہوا ہے ملک کیں ہوا دید کیں ہوا دیدار کیں پیمبر کہیں ہوا ہے ولی کیں ہوا شیخ کیں ہوا زنار کیں ہے قاضی کہیں ہوا مفتی کیں ہوا مست کیں ہوا ابرار کیں ہوا جان کیں ہوا جاناں سب میں ہے اور کہیں سبھوں سے پار حق میں حق ہو سدا انا الحق بول دیکھ منصور کیوں چڑھا ہے دار اک پنا ذات کا علیمؔ اللہ شرع بن غیر کچھ نہ کر تکرار
हुस्न का देख हर तरफ़ गुलज़ार अंदलीबाँ हुए हैं दिल-अफ़गार इश्क़ की मय सूँ जो हुआ सरमस्त दिल हुआ उस का ख़ाना-ए-ख़ु़म्मार यार आया है जब मुआलिज हो दर्द-ए-फ़ुर्क़त में नहिं रहा बीमार आप आशिक़ है हुस्न पर अपने है मिरे जान का अजब असरार कहीं आशिक़ कहीं हुआ दिलबर कहीं माशूक़ कीं हुआ दिलदार कीं हुआ शम्स कीं हुआ है क़मर कीं हुआ नूर कीं हुआ है नार कीं हुआ अर्ज़ कीं हुआ है फ़लक कीं हुआ बहर कीं हुआ अश्जार कीं हुआ इंस कीं हुआ है मलक कीं हुआ दीद कीं हुआ दीदार कीं पयम्बर कहीं हुआ है वली कीं हुआ शैख़ कीं हुआ ज़ुन्नार कीं है क़ाज़ी कहीं हुआ मुफ़्ती कीं हुआ मस्त कीं हुआ अबरार कीं हुआ जान कीं हुआ जानाँ सब में है और कहीं सभों से पार हक़ में हक़ हो सदा अनल-हक़ बोल देख मंसूर क्यूँ चढ़ा है दार इक-पना ज़ात का 'अलीमुल्लाह' शरअ बिन ग़ैर कुछ न कर तकरार

More by Alimullah
View all →"gar ishq hai to dekhne piv ko shitaab aa laa-shak ho haq ki rah mein chalaa be-hijaab aa us husn-e-be-nazir ke darsan ko dekhne sab khaanumaan suun ho ke apas ke kharaab aa dariyaa mein dil ke ishq suun hone ke taiin muhit khaali ho sab khudi suun nikal juun habaab aa kyaa dekhtaa hai surat-e-khurshid aur chandr har ik nazar mein dekh hazaar aaftaab aa har-dam 'alim' dil ke nazar ko diyaa hai taab apne karam suun qibla-e-vaalaa janaab aa"
"ishq aa ham suun kiyaa jab raam raam ham kisi haaji ko nahin karte salaam majlis-e-rindaan mein zaahid nahin sunaa hai sabaq avval vahaan kaa jaam jaam gar khalaasi hashr ki mangtaa hai tu rindgi ke pi mai-e-gulfaam faam puchhtaa hai kyaa hamaare ramz ko be-samajh be-ishq zaahid khaam khaam gar dikhaa dein yaar ke kaakul kaa taar subh ko aalam kahegaa shaam shaam aashiqi ke mohkme mein hain nikaat jaan-o-tan aur aql-o-dil sab daam daam ai 'alimullaah' zaahid ko lataaD faazilaan mein khush machaayaa dhum-dhaam"
"abas kyuun umr sone mein ganvaayaa jo koi jaagaa so apne piv ko paayaa musaafir raah par sonaa bhalaa nahin jo koi soyaa vahi hasrat lajaayaa jatan hoshyaar le jaa maal aur dhan jahaan mein aa ke tu jo kuchh kamaayaa agar koi so rahe rah mein khatar ke ganvaayaa maal apne ko khapaayaa 'alimullaah' sotaa thaa khvaab mein mast karim apnaa karam kar kar jagaayaa"
"murgh zirak aql kaa hai ishq kaa sayyaad shokh aql hai bisyaar shirin ishq kaa farhaad shokh aql apne daam mein kartaa hai kul aalam ko qaid band aur zanjir suun nit ishq hai aazaad shokh aql bujhaa aashiqaan sab vaajibuttaazir hain qaatil-e-aql-o-fahm hai ishq kaa jallaad shokh aql ko sab mulk mein hai daad insaaf-o-adal kyaa nihaayat ishq kaa hai baadshah be-daad shokh fahm aur fikrat mein apni aql gar faulaad hai aab kartaa hai galaa kar ishq kaa haddaad shokh aql ke mizaan mein aayaa bahr aur bar kaa hisaab nahin magar aayaa adad mein ishq kaa taadaad shokh aql suun jaane guzar tab aashiqaan paate hain vasl ai 'alimullaah' ajab hai ishq kaa irshaad shokh"
"jab piyaaraa gila sunaataa hai 'ishq taaza badan mein aataa hai hosh jaataa hai sar suun sab yak baar jab ghunghaT khol mukh dikhaataa hai tab 'adu dekh kar mujhe meraa maar ke misl pech khaataa hai khaak hotaa hai balki jal us vaqt mujh ko khalvat mein jab bulaataa hai mujh ko le jaa piyaa apas ghar mein baada-e-vasl phir pilaataa hai kar majaazi mein fan haqiqat kaa haasidaan ke dilaan jalaataa hai she'r teraa 'ajab 'alimullaah' shoala-e-ishq ko chataataa hai"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"