Quote
"ek meaar pe rahtaa hai yahaan hiir kaa dukh kaun dekhegaa tire dil mein dhanse tiir kaa dukh yahi kaaran hai mire pair dukhi rahne lage mere pairon se thaa kal aashnaa zanjir kaa dukh tu ye kahtaa hai ki main der se aataa huun sadaa chhoD duun kyaa main bhi sunnaa bataa taakhir kaa dukh mujh ko lagtaa hai ki tabdil na kuchh hogaa yahaan gar bataa bhi de ye taqdir jo taqdir kaa dukh ye nami dekh lo divaar mein ghar karti hui bah ke divaar pe aane lagaa tasvir kaa dukh"
