SHAWORDS

ik zamaane ke baad royaa huun — Arshad Sad Rudaulvi

"ik zamaane ke baad royaa huun zakhm khaane ke baad royaa huun us ke jaane pe chup thaa main lekin us ke jaane ke baad royaa huun apne haathon se aaj phir apnaa dil dukhaane ke baad royaa huun kho ke tere khayaalon mein aksar muskuraane ke baad royaa huun pahle paDh kar main muskuraayaa magar khat jalaane ke baad royaa huun aaj phir aaine ko main apnaa gham sunaane ke baad royaa huun tujh se mansub kar ke sheron ko gungunaane ke baad royaa huun teri yaadon ke 'saad' shaanon par sar jhukaane ke baad royaa huun"
Urdu

اک زمانہ کے بعد رویا ہوں زخم کھانے کے بعد رویا ہوں اس کے جانے پہ چپ تھا میں لیکن اس کے جانے کے بعد رویا ہوں اپنے ہاتھوں سے آج پھر اپنا دل دکھانے کے بعد رویا ہوں کھو کے تیرے خیالوں میں اکثر مسکرانے کے بعد رویا ہوں پہلے پڑھ کر میں مسکرایا مگر خط جلانے کے بعد رویا ہوں آج پھر آئنے کو میں اپنا غم سنانے کے بعد رویا ہوں تجھ سے منسوب کر کے شعروں کو گنگنانے کے بعد رویا ہوں تیری یادوں کے سعدؔ شانوں پر سر جھکانے کے بعد رویا ہوں

Hindi

इक ज़माने के बाद रोया हूँ ज़ख़्म खाने के बाद रोया हूँ उस के जाने पे चुप था मैं लेकिन उस के जाने के बाद रोया हूँ अपने हाथों से आज फिर अपना दिल दुखाने के बाद रोया हूँ खो के तेरे ख़यालों में अक्सर मुस्कुराने के बाद रोया हूँ पहले पढ़ कर मैं मुस्कुराया मगर ख़त जलाने के बाद रोया हूँ आज फिर आइने को मैं अपना ग़म सुनाने के बाद रोया हूँ तुझ से मंसूब कर के शे'रों को गुनगुनाने के बाद रोया हूँ तेरी यादों के 'साद' शानों पर सर झुकाने के बाद रोया हूँ

ik zamāne ke baad royā huuñ
Arshad Sad Rudaulvi
Arshad Sad Rudaulvi
Arshad Sad Rudaulvi
poet17 quotes

More by Arshad Sad Rudaulvi

View all →
Quote
"tu mujhe bhuul na paaegaa bahut roegaa yaad chehra miraa aaegaa bahut roegaa shab-e-furqat mein barasti hui aankhon mein kabhi jab koi khvaab sajaaegaa bahut roegaa khauf rusvaai ujaale mein sataaegi use tu charaaghon ko bujhaaegaa bahut roegaa pahli baarish se uThegi jo mahak miTTi ki us ko saanson mein basaaegaa bahut roegaa jab mire pyaar ke mahke hue phulon ko kabhi zinat-e-zulf banaaegaa bahut roegaa mujh ko maalum hai tanhaai mein aadat us ki naam likh likh ke miTaaegaa bahut roegaa us ki aankhon mein hai tasvir mire maazi ki aankh darpan se milaaegaa bahut roegaa us ki khaamoshi ki zanjir agar TuTegi qissa-e-hijr sunaaegaa bahut roegaa tujh ko jaanaa hai agar jaa mire hamraahi magar 'saad' bin ji nahin paaegaa bahut roegaa"
Arshad Sad RudaulviArshad Sad Rudaulvi
Quote
"tu mire ishq ki rudaad nahin samjhegaa kyuun mohabbat mein huun barbaad nahin samjhegaa umr bhar qaid mein rahne ki aziyyat ko kabhi jo parinda rahaa aazaad nahin samjhegaa ahd-e-nau se koi ummid lagaanaa hai fuzul ab koi maqsad-e-fariyaad nahin samjhegaa dosti kyaa hai faqat dost samajh saktaa hai jis ne matlab se kiyaa yaad nahin samjhegaa dil ki viraan gali ham ne sajaai kaise kyuun kiyaa dard se aabaad nahin samjhegaa tujh se main shikva gila kaise karun 'saad' aakhir ye atiyya hai khudaa-daad nahin samjhegaa"
Arshad Sad RudaulviArshad Sad Rudaulvi
Quote
"is naa-muraad dil ki tamanna bhi haae haae khaataa hai choT kartaa hai shikva bhi haae haae taskin tere zikr se hoti to hai magar chubhtaa hai dil mein hijr kaa kaanTaa bhi haae haae main dil ki tirgi se karun jang har ghaDi duniyaa mein har taraf hai ujaalaa bhi haae haae yaadon kaa teri dil mein parinda muqim hai chhoDe kabhi na mujh ko akelaa bhi haae haae barson kisi nazar kaa main kartaa rahaa tavaaf lekin rakhaa gayaa mujhe pyaasaa bhi haae haae barbaadiyon kaa meri tamaashaa ye dekhtaa ghairon ke saath meraa vo apnaa bhi haae haae jannat ko log bhuul gae jis ko dekh kar kitni ajab jagah hai ye duniyaa bhi haae haae tu hi akelaa dard kaa maaraa nahin hai 'saad' kartaa nahin magar koi itnaa bhi haae haae"
Arshad Sad RudaulviArshad Sad Rudaulvi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi