SHAWORDS

ilaaj-e-hasrat-e-dil-gir kar rahaa huun main — Ahsan Lakhnavi

HomeAhsan LakhnaviGhazal
"ilaaj-e-hasrat-e-dil-gir kar rahaa huun main muqaddaraat ki taamir kar rahaa huun main tasavvuraat ki kirchein sameT kar ek ik burida khvaab ki tafsir kar rahaa huun main ki gundh kar mah-e-taabaan ki zau-fishaan kirnein ilaaj-e-zulmat-e-be-pir kar rahaa huun main jagaa ke fahm ki lau zehn ke darichon mein nae nizaam ko tahrir kar rahaa huun main ye azm hai ki badal duun main bakht kaa chehra ba-sad khulus ye tadbir kar rahaa huun main hasin raat kiran chaand ki hinaa ki mahak milaa ke ab teri tasvir kar rahaa huun main"
Urdu

علاج حسرت دلگیر کر رہا ہوں میں مقدرات کی تعمیر کر رہا ہوں میں تصورات کی کرچیں سمیٹ کر ایک اک بریدہ خواب کی تفسیر کر رہا ہوں میں کہ گوندھ کر مہ تاباں کی ضو فشاں کرنیں علاج ظلمت بے پیر کر رہا ہوں میں جگا کے فہم کی لو ذہن کے دریچوں میں نئے نظام کو تحریر کر رہا ہوں میں یہ عزم ہے کہ بدل دوں میں بخت کا چہرہ بصد خلوص یہ تدبیر کر رہا ہوں میں حسین رات کرن چاند کی حنا کی مہک ملا کے اب تیری تصویر کر رہا ہوں میں

Hindi

इलाज-ए-हसरत-ए-दिल-गीर कर रहा हूँ मैं मुक़द्दरात की ता'मीर कर रहा हूँ मैं तसव्वुरात की किर्चें समेट कर एक इक बुरीदा ख़्वाब की तफ़्सीर कर रहा हूँ मैं कि गूँध कर मह-ए-ताबाँ की ज़ौ-फ़िशाँ किरनें इलाज-ए-ज़ुल्मत-ए-बे-पीर कर रहा हूँ मैं जगा के फ़हम की लौ ज़ेहन के दरीचों में नए निज़ाम को तहरीर कर रहा हूँ मैं ये अज़्म है कि बदल दूँ मैं बख़्त का चेहरा ब-सद ख़ुलूस ये तदबीर कर रहा हूँ मैं हसीन रात किरन चाँद की हिना की महक मिला के अब तेरी तस्वीर कर रहा हूँ मैं

ilāj-e-hasrat-e-dil-gīr kar rahā huuñ maiñ
Ahsan Lakhnavi
Ahsan Lakhnavi
Ahsan Lakhnavi
poet3 quotes

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim