SHAWORDS

is Dar se main ne zulf ki us ki na baat ki — Meer Hasan

HomeMeer HasanGhazal
"is Dar se main ne zulf ki us ki na baat ki jaati hai duur duur tak aavaaz raat ki dekhaa jab aankh khol ke misl-e-habaab tab maalum kaaenaat hui kaaenaat ki us bulbul-e-chaman ki hui aaqibat ba-khair saae mein jis ne aan ke gul ke vafaat ki main huun sifaat hi ke tahayyur mein ham-nashin kyaa baat mujh se puchhe hai tu us ki zaat ki dil apnaa us ko dijiye yaa ji ko khoiye is ke sivaa tarah nahin koi najaat ki bolaa agar to qand-e-mukarrar hue vo lab aur chup rahaa to ye bhi hai surat nabaat ki vaaqif ho kyuun na shola-e-aatish se dil ke vo rahti hai baaghbaan ko khabar phuul paat ki shah chaal ho rahaa huun sanam tere ishq mein tu ne dikhaa ke rukh miri baazi hi maat ki zulf-e-araq-fishaan tiri jaan-bakhsh kyuun na ho tarkib us ne paai hai aab-e-hayaat ki us sar se ghair sar nahin vaaqif koi gharaz lazzat bayaan mein aati nahin teri laat ki chuun zindagi-o-marg hain aapas mein zid 'hasan' chashm-o-lab us ki zid hai hayaat o mamaat ki"
Urdu

اس ڈر سے میں نے زلف کی اس کی نہ بات کی جاتی ہے دور دور تک آواز رات کی دیکھا جب آنکھ کھول کے مثل حباب تب معلوم کائنات ہوئی کائنات کی اس بلبل چمن کی ہوئی عاقبت بخیر سائے میں جس نے آن کے گل کے وفات کی میں ہوں صفات ہی کے تحیر میں ہم نشیں کیا بات مجھ سے پوچھے ہے تو اس کی ذات کی دل اپنا اس کو دیجیے یا جی کو کھوئیے اس کے سوا طرح نہیں کوئی نجات کی بولا اگر تو قند مکرر ہوئے وہ لب اور چپ رہا تو یہ بھی ہے صورت نبات کی واقف ہو کیوں نہ شعلۂ آتش سے دل کے وہ رہتی ہے باغباں کو خبر پھول پات کی شہ چال ہو رہا ہوں صنم تیرے عشق میں تو نے دکھا کے رخ مری بازی ہی مات کی زلف عرق فشاں تری جاں بخش کیوں نہ ہو ترکیب اس نے پائی ہے آب حیات کی اس سر سے غیر سر نہیں واقف کوئی غرض لذت بیاں میں آتی نہیں تیری لات کی چوں زندگی و مرگ ہیں آپس میں ضد حسنؔ چشم و لب اس کی ضد ہے حیات و ممات کی

Hindi

इस डर से मैं ने ज़ुल्फ़ की उस की न बात की जाती है दूर दूर तक आवाज़ रात की देखा जब आँख खोल के मिस्ल-ए-हबाब तब मालूम काएनात हुई काएनात की उस बुलबुल-ए-चमन की हुई आक़िबत ब-ख़ैर साए में जिस ने आन के गुल के वफ़ात की मैं हूँ सिफ़ात ही के तहय्युर में हम-नशीं क्या बात मुझ से पूछे है तू उस की ज़ात की दिल अपना उस को दीजिए या जी को खोइए इस के सिवा तरह नहीं कोई नजात की बोला अगर तो क़ंद-ए-मुकर्रर हुए वो लब और चुप रहा तो ये भी है सूरत नबात की वाक़िफ़ हो क्यूँ न शोला-ए-आतिश से दिल के वो रहती है बाग़बाँ को ख़बर फूल पात की शह चाल हो रहा हूँ सनम तेरे इश्क़ में तू ने दिखा के रुख़ मिरी बाज़ी ही मात की ज़ुल्फ़-ए-अरक़-फ़िशाँ तिरी जाँ-बख़्श क्यूँ न हो तरकीब उस ने पाई है आब-ए-हयात की उस सर से ग़ैर सर नहीं वाक़िफ़ कोई ग़रज़ लज़्ज़त बयाँ में आती नहीं तेरी लात की चूँ ज़िंदगी-ओ-मर्ग हैं आपस में ज़िद 'हसन' चश्म-ओ-लब उस की ज़िद है हयात ओ ममात की

is Dar se maiñ ne zulf kī us kī na baat kī
Meer Hasan
Meer Hasan
Meer Hasan
poet203 quotes

More by Meer Hasan

View all →
Quote
"aankhon se khuun apne ye kahtaa nahin na jaae par saath us ke lipTaa huaa dil kahin na jaae itni to chaahiye tujhe paas-e-shikasta-dil jo aave tere yaan so vo andohgin na jaae sabr-o-qaraar-o-hosh-o-khirad sab ke sab ye jaaein par daagh-e-ishq siine se ai ham-nashin na jaae dair-o-haram mein jaa ke jo chaahe phir aa sake par aave jo gali mein tiri vo kahin na jaae ham girya-naak hain ye sadaa se hai aib-posh aankhon se duur apne kahin aastin na jaae hai paara-e-aqiq jigar dekhiyo kahin ai chashm tere haath se aisaa nagin na jaae nikle na jaan tan se 'hasan' ki to tab talak jab tak tu us ke sar pe dam-e-vaapsin na jaae"
Meer HasanMeer Hasan
Quote
"dariyaa mein Duub jaave ki yaa chaah mein paDe ai ishq par na koi tiri raah mein paDe mat puchh jaur-e-gham se dil-e-naa-tavaan kaa haal bijli to dekhi hogi kabhi kaah mein paDe ik dam bhi dekh saktaa nahin ham ko us ke paas khaak us falak ke dida-e-bad-khvaah mein paDe jo dosti ke naam se rakhtaa ho dushmani divaana ho jo us ki koi chaah mein paDe aa jaa kahin shitaab ki maanind-e-naqsh-e-paa takte hain raah teri sar-e-raah mein paDe jalve do-chand hovein shab-e-maah ke abhi us maah-ru kaa aks agar maah mein paDe sulge hai nim-sokhta jaise dhuein ke saath jalte hain yuun ham apni 'hasan' aah mein paDe"
Meer HasanMeer Hasan
Quote
"jald husn-o-jamaal jaataa hai nahin rahtaa ye haal jaataa hai jab talak dekhtaa nahin us ko dil mein kyaa kyaa khayaal jaataa hai kaun se vaqt 'arz-e-haal karun vo to har vaqt Taal jaataa hai jis kaa hotaa hai gham se dil bhaari vo tire dar pe Daal jaataa hai sarson aankhon mein kyuun na phule ab zard oDhe do-shaal jaataa hai saaf samjhaa nahin mujhe 'aashiq baat kahte sanbhaal jaataa hai jaan detaa huun jald dekhun to naama-bar kaisi chaal jaataa hai nukta-chinon ne kuchh kahaa to kyaa koi is mein kamaal jaataa hai kuchh rihaai nazar nahin aati yuun hi ab kaa bhi saal jaataa hai aah misl-e-shab-e-javaani jald kyaa ye roz-e-visaal jaataa hai dilbari vo sanam kare meri kuchh bhalaa ehtimaal jaataa hai yuun khudaa ki khudaai hai maa'mur par kab apnaa khayaal jaataa hai tu to khush ho 'hasan' ke jaane se teraa ranj-o-malaal jaataa hai"
Meer HasanMeer Hasan
Quote
"aankhon mein hain haqir jis-tis ke nazron se gir gae hain ham kis ke dil kaa hamdam ilaaj mat kar ab zakhm marham-pazir hain is ke kaun aataa hai aisaa hosh-rubaa sabr o taaqat yahaan se kyuun khiske dekhti hai ye kis ki aankhon ko kyuun khule hain ye chashm nargis ke bas kahin thak bhi aasiyaa-e-falak ho chuke surma ham to ab pis ke ji se rahte hain apne us pe nisaar dil se hote hain dost ham jis ke go nahin ab kabhi to ai pyaare ham bhi the yaar teri majlis ke tu to khush hai ki tere kuche mein ek taDpaa kare aur ik siske mar gae par bhi ye 'hasan' na munde muntazir chashm the tire kis ke"
Meer HasanMeer Hasan

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb