"rang mein ham mas se batar ho chuke lek usi mas se ki zar ho chuke rukh ko tire shab se main tashbih duun par isi shab se ki sahar ho chuke chehra tiraa hai mah-e-nau ai sanam par vo mah-e-nau ki qamar ho chuke rashk-e-gul seb hai teraa zanakh lek vahi gul ki samar ho chuke qatra-e-naisaan hain vo dandaan 'baqaa' par vahi qatra ki guhar ho chuke"
is lab se ras na chuse qadah aur qadah se ham — Baqaullah 'Baqa'
"is lab se ras na chuse qadah aur qadah se ham to kyuun mile subu se qadah aur qadah se ham saaqi na hove paas tu kab jura-e-sharaab shishe ke le gulu se qadah aur qadah se ham baaqi rahe na baada to us ke evaz mein aab le khum ki shust-o-shu se qadah aur qadah se ham gardish pe teri chashm ki bahse hai ham se yaar daave ki guftugu se qadah aur qadah se ham chashm apni Tuk dikhaa de use tu ki aave baaz is bahs-e-du-ba-du se qadah aur qadah se ham bosa tire dahan se ye hangaam-e-mai-kashi le hai kis aarzu se qadah aur qadah se ham paate hain mai-kade mein 'baqaa' neamat-e-sharaab khum se sab subu subu se qadah aur qadah se ham"
اس لب سے رس نہ چوسے قدح اور قدح سے ہم تو کیوں ملے سبو سے قدح اور قدح سے ہم ساقی نہ ہووے پاس تو کب جرعۂ شراب شیشے کے لے گلو سے قدح اور قدح سے ہم باقی رہے نہ بادہ تو اس کے عوض میں آب لے خم کی شست و شو سے قدح اور قدح سے ہم گردش پہ تیری چشم کی بحثے ہے ہم سے یار دعوے کی گفتگو سے قدح اور قدح سے ہم چشم اپنی ٹک دکھا دے اسے تو کہ آوے باز اس بحث دو بہ دو سے قدح اور قدح سے ہم بوسہ ترے دہن سے یہ ہنگام مے کشی لے ہے کس آرزو سے قدح اور قدح سے ہم پاتے ہیں میکدے میں بقاؔ نعمت شراب خم سے سب سبو سبو سے قدح اور قدح سے ہم
इस लब से रस न चूसे क़दह और क़दह से हम तो क्यूँ मिले सुबू से क़दह और क़दह से हम साक़ी न होवे पास तू कब जुरआ-ए-शराब शीशे के ले गुलू से क़दह और क़दह से हम बाक़ी रहे न बादा तो उस के एवज़ में आब ले ख़ुम की शुस्त-ओ-शू से क़दह और क़दह से हम गर्दिश पे तेरी चश्म की बहसे है हम से यार दावे की गुफ़्तुगू से क़दह और क़दह से हम चश्म अपनी टुक दिखा दे उसे तू कि आवे बाज़ इस बहस-ए-दू-ब-दू से क़दह और क़दह से हम बोसा तिरे दहन से ये हंगाम-ए-मय-कशी ले है किस आरज़ू से क़दह और क़दह से हम पाते हैं मय-कदे में 'बक़ा' नेमत-ए-शराब ख़ुम से सब सुबू सुबू से क़दह और क़दह से हम
More by Baqaullah 'Baqa'
View all →"jo jahaan ke aaina hain dil unhon ke saada hain dil mein jaa dene ko vo har ek ke aamaada hain qatl se aashiq ke tu ne ab to khaai hai qasam aakhir ai qaatil ye baatein pesh-paa-uftaada hain kal ke din jo gird mai-khaane ke phirte the kharaab aaj masjid mein jo dekhaa saahab-e-sajjaada hain band mein mutlaq jo mujh ko khatra-e-sayyaad ho huun asir-e-daam par vazaein miri aazaada hain raah-paimaayaan-e-aqlim-e-adam se yaadgaar daaman-e-sahraa mein ab baaqi nuqush-e-jaada hain chashm-e-saaqi ke liye hain tegh-e-abru dosh par lag na chal un se 'baqaa' ye turk mast-e-baada hain"
"yaksaan lagein hain un ko to dair-o-haram baham jo pujte hain dil mein khudaa-o-sanam baham dekhaa to ek shoale se ai shaikh-o-barhaman raushan hain sham-e-dair o charaagh-e-haram baham baarik hain dahan se tire vaqt-e-khanda yaar karte hain did-e-hasti o sair-e-adam baham naaseh na ham tiri na hamaari sunegaa tu kyaa faaeda jo bahs karein do asam baham khar-mastiyon pe mohtasib aataa hai chal 'baqaa' baandhein ham is himaar ke donon qadam baham"
"sipaah-e-ishrat pe fauj-e-gham ne jo mil ke markab baham uThaae idhar to naale kaa taashaa kaDkaa udhar fughaan ne alam uThaae is ashk o lakht-e-jigar se ik hi faqat na mardum ko faaeda hai jo dur ke role adad kisi ne to laal ke bhi raqam uThaae sabab raqibon ke bazm mein ab gai vo aapas ki ham-nashini ham aan baiThe to uTh gayaa vo vo aan baiThaa to ham uTh aae tahi-kaf aae the ham adam se chale bhi yaan se to dast-e-khaali na tosha vaan se liyaa thaa zar kaa na saath yaan se diram uThaae 'baqaa' jo raahi hue adam ke to vaqfa hargiz karo na dam kaa ye raah hasti ki pur-khatar hai chalo yahaan se qadam uThaae"
"chashm-e-tar jaam dil-e-baada-kashaan hai shisha mohtasib aaj kidhar jaam kahaan hai shisha bazm-e-saaqi mein jo aavaaz nahin qulqul ki is qadar aaj ye kyuun pamba-dahaan hai shisha mohtasib sang liye haath mein aur su-e-falak dam-ba-dam chashm-e-dahan se nigaraan hai shisha paanv rakhtaa hi nahin naaz se baalaa-e-zamin kaf-ba-kaf bazm mein saaqi ki ravaan hai shisha hai taraavish mein 'baqaa' is se mai-e-naab-sukhan hai bajaa kahiye agar apnaa dahaan hai shisha"
"qazaa ne haal-e-gul jab safha-e-taqdir par likkhaa miri divaangi kaa maajraa zanjir par likkhaa zaifi se nahin pairon ke chiin peshaani-o-ru par ye khatt-e-naa-umidi hai ki ru-e-pir par likkhaa nahin tujh se hamein daava-e-khun gar shama ne qaatil ab apne khuun kaa mahzar gardan-e-gul-gir par likkhaa ye sab mazmun hai shirin kohkan ki ru-sapedi kaa jahaan tak mauj ne satron ko ju-e-shir par likkhaa 'baqaa' ke dil mein aa aaina teri qadr kyaa jaane abas hai naqsh-e-gul gar bulbul-e-tasvir par likkhaa"
More on Gul
View all →"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"saanvli dhuup surmai mausam phir vahi ham hain phir vahi mausam khair ho saaebaan-e-gum-gashta jhelne paD gae kai mausam daastaan-e-tazaad hai goyaa shahr-e-khubaan samundari mausam ham ne apni bayaaz mein likkhe dil pe biite hue sabhi mausam ik ta'alluq hai 'aarzi yaa'ni mausam-e-gul hai 'aarzi mausam dil-figaaron ko kaun samjhaae lauTte kab hain makhmali mausam"
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"